मिश्री खाने के फायदे - Multiple Benefits of Mishri or Sugar Candy

मिश्री

Mishri Health Benefits in Hindi: Aise to sugar ko health ka enemy number one maana jaata hai kyonki is me calories bahut hai aur nutrition zero. Vajan badhta hai aur diabetes ki shakyata badhti hai agar vyakti chini jyaada khaaye. Ascharya ki baat yeh hai ki mishri yane sugar candy ya rock candy faydakarak hai jahan chini nuksan karta hai. Jaaniye multiple benefits of sugar candy or misri aur is ka bhi maza le.

Misri Khane ke Fayde

  • Mouth freshner hai mishri.
  • Taja pey bhi hai mishri.
  • Khansi se chutkara dilae.
  • Misri cheene ka sehatmand vikalp hai.
  • Gale mein khrash ka prabhavi upchar hai.

मिश्री कैसे बनती है - Mishri Making Process

Mishri ya sugar candy banta hai kaise?(Mishri Kaise Banti Hai) :Sirf chini ya glucose aur fructose ke mishran ko thoda paani ke saath ubala jaata hai 140-160 deg. C. tak aur fir ise mould me daala jaata hai. 

मिश्री खाने के फायदे - Mishri ke Gun

Chini ko bhi mishri kaha jaata hai magar jo bade tukde hai aur pathar jaise nazar aata hai use mishri ya rock candy kaha jaa sakta hai. Sugar candy ek generic term hai jis me sugar se bane sweets shamil hai. Yeh mishri kam maatra me khaaye to jaroor fayda hota hai. Mishri benefits is prakar hai. 

  • Har roj sugar candy khane se daant aur sehat ko nuksan hota hai magar hafte me ek baar ya do baar khaaye to studies ke anusar ayush badhta hai yeh hai mishri benefits. 
  • Kaam me vyast ho aur energy level down ho jaaye to ek sugar candy mooh me rakhe. Misri benefits yeh hai ki turant energy milta hai aur kaam khatam karne ka taakat aa jaata hai. 
  • Benefits of misri aur bhi hai jaise ki mooh me ek tukda rakha ho to mood sudhar jaata hai kyonki is se serotonin ka utpadan hota hai. 
  • Candy sugar benefits un ko bhi hai jinhe kabhi kabhi blood pressure low ho jaata hai aur chakkar jaisa lagta hai. Bas ek sugar candy mooh me rakhe aur chooste rahe to theek ho jayega. 
  • Sardard mein hai benefits of mishri. Kabz ke kaaran ya low blood pressure ke karan sar mein dard ho to mishri ka churna isabgol ke saath lene se raahat milta hai. 
  • Health benefits of mishri kamjor aankho ke liye bhi hai. Chini ko saunf aur elaichi ke saath sevan kiya jaaye to aankh ke karan hone wala sardard nahin hoga. 
  • Benefit of misri water naak se behte khoon mein bhi hai. Bas misri paani me milaye aur thode boond naak mein daal de. 
  • Benefit of mishri water garmiyo me hai jab is me aap saunf ka powder aur gulab ke patte mila ke sevan kare. Refresh ho jayenge. 
  • Tonsil ka problem hai to benefits of eating rock candy hai. Mishri yane rock candy ko elaichi aur makhan ke saath milaye aur sevan kare.
  • Benefits of eating mishri sardard me hai jab sar ka dard sinus ke karan hai. Mishri ko tulsi ke patte aur kale mirch ke saath chaba le ya to adrak ke ras ke saath ghol bana ke piye. 
  • Bavasir ke mareej ko milta hai benefit of misri. Misri ko makhan aur nagkesar ke saath mila ke churna bana ke doodh me daal ke sevan kare. 
  • Sakar thanda maana jaata hai. Garmiyo ke mausam me sakar benefits milta hai jab is ko choosa jaaye ya to saunf ke saath khaaya jaaye. 
  • Agar chote bachcho ko sardi aur khaansi ho jaaye to benefits of mishri water unhe milte hai jab ek-do chamach unhe aap pilate rahe. 
  • Benefit of misri aur bhi hai jaise ki agar bhindi ke saath ubala jaaye to purush ka sexual power badhta hai. Aise hee mishri ko akhrot, kesar aur doodh ke saath piye to napunskta door hoti hai. Benefits of milk with sugar candy paane ke liye har roj raat ko yeh prayog kare. 
  • Jinhe bhook nahin lagta hai voh mishri aur aam ki gutli mila ke khaaye. 
  • Pet me dard hota hai to neem ke patte ka ras mein mishri mila ke sevan kare. 
  • Mishri ko pyaj ke ras me pigla de aur sevan kare to gurde ki pathri mit jaati hai. 
  • Agar saans lene me taklif ho to mishri aur kala mirch powder ko malai me mila ke raat ko sone se pehle le. 
  • Tal mishri benefits un mata ko hai jo apne bachcho ko doodh pilate hai. Til aur mishri ke sevan se doodh ka pramaan badhta hai. 
  • Mishri, badam, akhrot, saunf aur kali mirch ko powder kare aur har roj raat ko garam doodh me daal ke sevan kare to memory power badhta hai. 
  • Amla ke health benefits to har ko jaanta hai magar amla ka churna khana ya juice peena sabhi ko pasand nahin hai. Candied amla bazar me milta hai jo itna hee gunkari hai. Bachcho ko amla khilana hai to amla candy dete rahe chini ya chocolate ke badle. Aap bhi amla churna aur misri ka sevan kare. Amla powder misri benefits yeh hai ki yeh dil ko majboot bana deta hai aur heart attack aur blood pressure se mukti milta hai. 
  • Jaise amla ka candy banta hai aise hi mishri ke upyog se candied fruit banta hai aur is ke fayde aur advantages bhi hai. Advantages of making candied fruit yeh hai ki jab fruit sasta hai tab banaye aur lambe samay tak fruit fridge me rahega. Saada fruit se candied fruit jyaada tasty bhi lagta hai aur us ko alag desserts mein fatafat mila sakte hai. Udaharan ke taur par candied cherries ki baat kare. Yeh 6 mahine tak rehte hai. Aise hee pineapple, anjeer aur narangi ko candied fruit bana sakte hai. 
  • Mishri or mishrikand meetha hai magar India mein kai jagah par misir use kehte hai jo dant manjan me tambaku milaya ho. Garbhvati mahila yeh misri se daant saaf kare to hone vale bachcho par is ka bura asar hota hai. Sadharan mishri garbhvati mahilao ko takat deta hai. Mishri, badam, elaichi, pipermool aur ghee ko mila ke khaaye to takat badhta hai aur chain se neend aati hai. Yeh hai benefits of mishri during pregnancy

ताल मिश्री - Tal Mishri (Palm Candy) Benefits

Jab mishri ki baat kare to yeh voh misri hai jo ganne me se banta hai. Magar mishri tad ke ras mein se bhi banta hai aur use palm candy kehte hai. Kai jagah par nariyal ke ped ka ras ka upyog hota hai.

  • Sugar mein nutrition nahin hota hai magar palm candy yane tal mishri me Vitamin B1, B2, B3, B6 aur B12 milta hai aur saath me zinc, potassium, calcium aur iron milta hai.
  • Palm sugar me thode amino acids bhi hote hai.
  • Mishri thandak pradaan karta hai jab ki palm candy garm hai aur metabolism badha deta hai.
  • Saath me yeh mutra rog me fayda deta hai jab tal mishri doodh ke sath sevan kiya jaye.
  • Kan me dard aur gale me dard ho to palm candy ko haldi aur kala mirch powder ke saath sevan kare. 

Benefits of eating taal misri kai hai. Ek to yeh alkaline hai aur pet me acid nahin paida karta hai. Doosra, yeh energy jaroor deta hai magar bachcho ko diya jaaye to unhe hyper active nahin bana deta hai. Palm sugar ka glycemic index bhi low hai aur diabetics bhi is ka upyog kar sakte hai. Asthma mein, leprosy mein, typhoid mein, aur anemia mein taal mishri bahut fayda deta hai. Aise to palm sugar candy itna popular nahin hai India mein magar malls mein mil jayega.

TAGS: #mishri in english #mishri meaning in hindi #what is mishri #how to make mishri in hindi #मिश्री का अर्थ #मिश्री और चीनी में अंतर #मिश्री क्या है #मिश्री बनाने की विधि #mishri ke fayde in hindi #mishri ke totke #mishri ke fayade/faide#mishri ka matlab

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

4 Comments

धरम देव , Sep 09, 2017

मिशरी के क्या गुण हैं और क्या नुकसान हैं इसके सभी नुस्खे विस्तार पूर्वक बताएँ

Preet, Mar 20, 2017

Thanks for mishri benefits

Raahi, Mar 12, 2017

market mei dhaage wali mishri milti hai woh sbse best hai

vivek, Mar 08, 2017

mishri kaise banta hai

 

Utalika, Mar 10, 2017

मश्री के कण सूपरसैच्यूरेटड शक्कर के घोल को ठंडा कर बनता है। करीस्टलीकरण कि क्रीया तेज़ करने के लिये, मिठाई बनाने वालो ने बाद में शक्कर कर घोल मे छिटी-छोटी टहनी डालकर क्रीस्टल बनाना शुरू कर दिया