Bindi ke fayde in hindi: “Bindiya chamkegi”…gaya tha ek heroin ne ek purane film me. Bindiya na sirf chamakti hai balki naari ke saundarya ko bhi chamkaati hai. Mahila ke make up me aur voh bhi traditional bhartiya naari ke make up me bindi bilkul jaroori hai. Yeh naari hone ka, hindu hone ka aur sundarta ka pratik ke alava aur bhi fayde deta hai.
- Jo sthan par bindi lagaya jaata hai, bhaue ke beech aur thoda upar, voh sthan ajna chakra ka sthan hai jahan par aisa maana gaya hai ki sabhi nerves ka milan hota hai, jise Shivji ka teesri aankh ka sthan kaha gaya hai aur jise adhyatmik bhasha me inner awakening eye ka sthan maana gaya hai. Is sthan par bindi lagane se inner eye open hoti hai aur wisdom aata hai.
- Bindi lagane se tension khalas ho jaata hai aur sir me dard bhi kam hota hai. Sardard ho to ungli se bindi ke jagah ko gol gol maalish kare.
- Bindi har roj lagane se mastishk par jhurriya nahin padti hai aur vyaktitva serene aur calm nazar aata hai.
- Bindi lagane se sinus aur naak bandh hone se milta hai suraksha. Yaad rahe ki bindi kumkum se lagaye, sticker nahin lagana chahiye.
- Bindi lagane se adbhut asar yeh hota hai ki khoon ka bahav ka teji badh jaata hai chehre par aur natija yeh hota hai ki chehre ke maspeshi tang rehte hai aur jhurriya nahin padti hai.
- Bindi sthan par shirodhara yaane tel ki dhaara ki jaati hai aur is se insaan ke sharir se vish nikal ke voh sfurtila aur jawan rehta hai.
- Bindi se aankhe tej rehti hai
- Bindi lagane se kaan bhi tej rehti hai.
- Bindi regular lagane se sasu aap par khush rahegi aur pati ko aap pyari rahegi.
TAGS:#red dot on forehead #bindi jewelry #bindy irwin #forehead spots #bindi designs #forehead jewelry #what is a bindi in hindi #bindi meaning #dot head #bindi hindu #hindu dot on forehead
राधा रानी, Aug 31, 2017
बिंदी लगाने के क्या फ़ाएदे हैं इसके कुच्छ फ़ाएदे हों तो मुझे भी बताएँ कि इसके देसी या घरेलू नुस्खे हो तो मुझसे ज़रूर हि शेयर करें