Turmeric Health Benefits : Haldi bina sabji socha nahin jaata hai. Haldi na sirf golden rang deta hai balki us ke fayde bhi anek hai. Cancer se bachane se leke tvacha ke saundarya ko nikharne ke liye, haldi (turmeric) ke upyog anek hai aur hazaro saalo se India mein aur duniya mein gharelu nuskhe mein aur aaj kal cosmetics mein upyog kiya jaata hai. Ayurved mein Sushruta ne bhi haldi ko vish nikalne ke liye upyog kiya hai. Sanskrit mein haldi ke 53 alag naam hai jo us ke gun par aadharit hai. Haridra yaane Hari ko pyara ek naam hai aur laxmi is ka doosra. Aur naam kane to kaveri, mangalprada, mehagni, pavitra, shobhna, shiva, shyama, soubhagya, vishagni aur yuvati hai. Aaiye jaane haldi ke fayde in Hindi aur apnaye desi gharelu nuskhe haldi par aadharit.
जाने हल्दी क्या है?
Haldi ek rhizome ya mool hai aur us ka rang peela hai. Saath mein haldi ki ek alag khushboo hai. Aam taur par haldi ko upyog karte hai sabjiyon mein aur is ka upyog kapde ko rangne mein bhi kiya jaata hai. Haldi ke aushadh gun hai us ke andar chemicals ke kaaran. Mukhya tatva hai curcumin aur demothoxycurcumin. Is ke saath hai doosre teliya padarth, zingiberene, atlantone, turmerone aur thodasa protein aur starch. Turmeric mein hai sesquiterpene jaise termerone, Beta termerone, curcumene aur doosre. Haldi ka khushboo aata hai zingiberene, arturmerone aur turmerone se. Haldi me hai stigmasterole, Beta sitosterole aur 2 hydroxymethyl anthraquinone. 100 gram haldi me se milega 390 kcal, 10 gram fat, calcium, phosphorus, sodium, potassium, iron, thiamine, riboflavin, niacin, ascorbic acid, 8 gram protein aur fiber. Haldi mein alpha linolenic acid aur omega 3 fatty acid bhi paaya jaata hai. In sabhi tatvo se haldi ke fayde anek mil jate hai. Cineole jo haldi mein hai cough ka nash karti hai aur gas ka shaman karti hai. Haldi se soojhan mit ajata hai, yeh pachan badhata hai, bacteria ka nash karta hai aur anti-viral bhi hai. Haldi sevan kare to khoon svach ho jaata hai aur tvacha damakne lagta hai. Shvas sambandhit bimariyo mein bhi haldi uttam hai.
हल्दी के फायदे और हल्दी के देसी घरेलू नुस्खे
Haldi mein jo gunkari tatva hai voh hai curcumin aur yeh tel mein achchi tarah se ghul jaata hai isiliye hamesha haldi ka upyog ghee ya doodh ke saath kiya jaata hai. Kai cases mein haldi ko shahad ke saath ya to nimbu ke saath upyog kiya jaata hai.
हल्दी दूध के फायदे
Agar sehat banaye rakhna hai to doodh peena chahiye kyonki doodh ke payde anek hai. Yehi nahi, dhood ke opaye bhi anek hai jab voh haldi ke saath kiya jaaye.
- Garam doodh mein 1 chamach haldi milaye to is ke andar ka curcumin doodh ke fat mein mil jaata hai. Is ke peene se pachan sudhar jaata hai, kaf bahar nikal jaata hai, khoon saaf hota hai aur aant me bacteria ka nash hoke vish bahar nikal jaata hai. Haldi-doodh peene se vajan bhi niyantran mein rehta hai.
- Doodh aur haldi ka mishran tvacha ke liye utna hi gunkari hai. Shyam tvacha ko nikharne ke liye yeh mishran besan ke saath mila ke upyog kare. Tvacha par lal chakte ho jaaye to haldi doodh lagane se mit jaate hai.
- Mahilao ko mahavri ke samay jo kasht hota hai uska nivaran hai doodh haldi. Ek cup raat ko lene se taklif nahin hota hai. Delivery ke samary bhi yeh mushkile kam kar ke doodh ki maatra badhane mein sahayak hai.
- Kyonki haldi mein voh tatva hai jo vish ko bahar nikal dete hai, to doodh ke saath haldi peene se yakrut aur gurde bhi vish-mukt ban ke uchch karyakshamta kar sakte hai. Agar kidney problem ho, urinary tract problem ho, jaundice ho gaya ho aur fatty liver ho to avashya haldi se fayda hota hai.
- Jinhe gathiyo ka dard ho to unhe doodh haldi avashya peena chahiye raat ko.
- Gale mein dard, kharaash, khaansi aur shardi ho to haldi doodh ke seven se sab kuch mit jaata hai. Neend bhi achchi tarah se aati hai.
- Haldi dudh ke fayde hai ki iska mishran peene se cancer pratirodhak shakti badhta hai aur jinhe cancer ho un ko bhi sahayak hai, khas kar ke agar chemo therapy lete ho to.
- Shaam ke thakaan ko door karne ke liye chai ke badle ek cup haldi-doodh piye to yeh haldi doodh pene ke fayde turant dikhenge. Aap bilkul relax ho jaayenge aur fresh bhi.
हल्दी से बवासीर का इलाज
Jahan dawai ka asar nahin hota hai vahan par haldi ka upyog bawaseer (piles) ke liye uttam hai. Haldi se bawaseer ka ilaj in Hindi is prakar kare:
- Haldi ko desi ghee ko garam kar ke mila le aur paste bana le. Raat ko sone se pehle is paste ko guda ke andar aur bahar achchi tarah ghis ke laga le. Yeh ek week tak regular kare magar pehle 3 din kare aur 2 din na kare aur phir shuru kare. Sone se pehle ek chamach ghee mein adha chamach haldi mila ke chaate.
- Haldi ko fresh aloe vera ke patte ke juice ke saath mila ke paste bana ke guda dwar ke andar aur bahar mal de.
- Bahut hee peeda hoti ho mal tyag mein to haldi aur petroleum jelly ko mila ke mal tyag ke pehle guda dwar ke andar laga de aur bawasir ka ilaj kare.
Haldi ke fayde anek hai aur alag samagri ke saath mila ne se aur alag effect hote hai. Jaise ki haldi aur shahad. Haldi aur shahad ka mishran ko garam paani mein nimbu ke ras ke saath lene se pet saf hota hai, kaf bahar nikalta hai, vish bahar nikalta hai, aant ki bimari mein raahat milta hai aur immunity badhta hai. Haldi aur shahad ke fayde tvacha aur baalo ke liye bhi anek hai. Tvacha ko bejaan se jaandaar bana deta hai shahad haldi ka lep. Baalo mein se rusi bhaga ke shahad-haldi ka lep aap baalo ko mulayam aur swasth rakhta hai.
कच्ची हल्दी के फायदे
- Hum jo haldi powder ke istemal karte hai voh haldi ke gaanth sukha ke process kar ke peesne ke baad paya jaata hai jis se kau gun ka nash hota hai. Kachchi haldi sardiyo mein aksar milta hai aur kachcha khaane se aur anya labh hote hai.
- Kachchi haldi pet mein rahe sabhi bacteria ko nash kar deta hai aur immunity badh jaata hai.
- Kachchi haldi ke fayde aur bhi hai jaiise ki psoriasis ho to kachchi haldi ka paste lagaye aur cancer se bhi aap rahenge surakshit. Tvacha ki baat hai to kachchi haldi to shresht hai magar yeh 12 mahine nahin milta hai.
हल्दी के फायदे त्वचा के लिए
- Haldi mein anti-fungal aur anti-bacterial gun hai. Haldi ko doodh aur shahad mein mila ke lagane se aap ko milenge haldi ke fayde for skin.
- Tvacha ka rung nikhar jaayega; tvacha komal hogi, jhurriya kam hongi aur tvacha saaf rahega. Tvacha ke rog ho to haldi ko ghee, sarson ke tel, lehsun ke paste aur neem ke paste ke saath mila ke upyog kiya jaata hai.
- Sardiyon mein haldi aur malai rakhe skin ko crack se surakshit.
- Chehre ko gora banane ke liye haldi aur nimbu ka ras ka upyog kare. Yeh upay keel ke liye bhi kaam aayega.
- Haldi ko badam ke paste mein mila ke chehre par lagaye to kuch aur hi baat hai.
हल्दी करे कैंसर (Cancer) का ईलाज
Haldi se cancer ka ilaj in hindi jaaniye.
- Kale gaay ka taaja mutra ekatrit kar ke aur ek glass gaumutra mein do chamach haldi mila ke dheeme aanch par ubale aur 15 minute ka baad use thanda hone rakh de.
- Har roj 2-4 chamach savere khali pet, dopahar ko aur raat ko sone ke pehle sevan kare to cancer samapt ho jaata hai. Ubalte samay is mein punarnava churna milane se aur achcha asar hoa hai.
- Gende ka phool ko haldi ke saath pees le aur peeste samay gaumutra mila le aur use cancer ke ghaav par lep kare.
हल्दी के नुकसान
Haldi ke gun in Hindi aap ne jaan liye aur haldi khane ke fayde. Magar atishay haldi ka sevan kare to phir haldi se nuksan ho sakta hai.
- Jinhe liver mein soojhan hai to haldi pareshan kar sakti hai.
- Gallstone ho gaye ho to bhi haldi na khaaye.
- Garbhvati mahilao mein haldi jyaada khaane se garbhashay ka sankuchit ho jaana, rakt straav aur dard hona samanya baat hai.
- Madhumeh mein jyada haldi se blood sugar bahut down ho jaata hai.
- Purusho mein jyada haldi se virya vikar hota hai.
- Jyaada haldi khaane se pathri hota hai, immunity kam ho jaata hai, gas hota hai, aur matli ho sakta hai.
Yeh hai haldi ke fayde aur nuksan aur upyog karne ke desi nuskhe. Haldi hamesha kam maatra mein istemal kare jahan khaane ki baat hai. Tvacha par bharpoor istemal kare befikr.
TAGS:#health benefits turmeric #turmeric benefits for health #the health benefits of turmeric #what are the health benefits of turmeric #20 health benefits of turmeric #turmeric health benefits research#urmeric and its health benefits #cooking with turmeric health benefits #turmeric health benefits for men