टीनेजर्स की सुन्दरता के लिए ब्यूटी टिप्स - Beauty Tips for Teens in Hindi

टीनेजर्स

Beauty tips for teens teenagers teenage girls in hindi (टीनेजर्स के लिए ब्यूटी टिप्स): Teenage ek aisa stage hai life ka jab bachpan peeche rehta hai aur aage jawani hai. Is samay me sharir ka andar hormones ke sanchar adhik hote hai jo adulthood ki tarf le jaate hai. In ka prabhav sharir ke vikas me hota hai aur khas kar ke tvacha par bhi. Yeh period me teenagers ko kheel muhase hona sadharan baat hai. Yeh samay hai jab ki teenagers apne looks ke bare me jyada conscious ho jaate hai. Unhe celebrities ki tarah smart aur stylish banne ki ichcha hoti hai. Aise me tv ads se bahut prabhavit ho ke cosmetics ka atishay upyog agar voh kare to tajjub ki baat nahin hai. Teenagers, agar aap yeh padh rahe ho to rukiye aur sochiye ki chemicals jo cosmetics me hai voh lambe samay par tvacha ko kitna nuksan pahucha sakte hai. Beauty sirf cosmetics ke upyog se nahin aati hai. Padhiye yeh teenagers ke liye beauty tips aur bane rahe akarshak. 

Twacha ki Safai ka Dhyan Rakhe

Chehre ki tvacha aur baal hamesha saaf rehne chahiye magar yeh jaroori nahin hai ki commercial facewash ka istemal kare. Mild sabun se din me teen bar dhoye to kafi hai. Hafte me do bar scrub kare namak aur nimbu se ya chini nimbu se aur dekhe kaise prakriti chehra khila rehta hai. Is umar me kai teens ke chehre me oil ka production jyada hota hai. Aise me multani mitti ka face pack lagaye, besan haldi dahi aur neem ke patte ke paste se chehra saf karte rahe. 

Chehre ko Rakhe Moisturized

Teens bahut active rehte hai aur bhool jaate hai ki activity se aur dhoop me ghumne se chehra ki tvacha sukh jaata hai. Aage jaake kam umar me chehre par jhurriya pad jaati hai. Teen ko yeh hidayat hai ki chehre ko moisturize kare. Is me aur kuch nahin karna hai. Raat ko jaitun tel ya nariyal tel se maalish kare. Savere uth ke aloe vera laga le aur fir naha le to bhi tvacha moisturize rahega.Commercial moisturizers use karna hai to contents padh ke savdhani se upyog kare kyonki hyaluronic acid, glycols aur aise chemicals hanikarak hai. 

Tvacha ko Nikharna

Beauty creams se tvacha ko nikhare to yeh short cut hai jis ke long term damaging effects hai. Seedha saral aur safe upay hai gharelu samagri se tvacha nikhare. Is me aap upyog kare malai, badam paste, nimbu ka ras, shahad, haldi, chandan aur besan. Yeh ek mahine tak istemal kare to chehra prakrutik nikhrega aur make up ki bhi jaroorat nahin hai.

Heavy Makeup na Kare

Makeup ki baat ayi to heavy makeup se hamesha savdhan rahe aur use kare to Chinese use na kare. Hamesha top brand ka upyog kare. Occasion ke baad make up hamesha remove kare aur moisturizer ka istemal kare. 

Pani
Din me teen bar sabun se chehra na dho sake to koi baat nahin, pani se avashya dhote rahe to bhi chehra rehydrate bhi hoga aur saaf bhi. Paani peena bhi itna hee jaroori hai sharir aur tvacha me se toxins bahar nikalne ke liye aur hydrate karne ke liye. 

Dhoop se bache

Kyonki teenagers bahut active hote hai to yeh bhool jaate hai ya to dhyan me nahin hai ki agar sunlight se vitamin D utpann hota hai sharir me to jyada sunlight se UV damage hota hai tvacha ko. Tvacha kala pad jaata hai aur melanoma skin cancer bhi ho sakta hai aage jaa ke. Hamesha chehre ko dhank ke rakhe dhoop me jaye tab aur sunscreen ka upyog kare. 

Poshtik Aahar Lein

Yeh svabhavik hai ki teenagers ka aahar regular nahin hoga aur voh chatpate cheez kha lete hai. Is se sharir ko poshan theek se nahin milta hai aur is ka asar dikhave par padta hai. Chatpate cheez khane ke bajay jab bhi bhook lage to fruits aur nuts khaye. Regular meals me sabji aur fal jaroor khate rahe. 

Hontho par Dhyan de

Khas kar ke winter me cracked lips ka problem hota hai. Hamesha raat ko hontho par nariyal tel laga ke so jaye aur savere bahar jaye to bhi thodasa nariyal tel lagaye. Petroleum jelly ka istemal na kare. Coconut oil natural moisturizer hai jis se honth fatenge nahin aur rang bhi sudhar jayega. 

Nakhoon par Dhyan de

Nakhoon ko majboot aur chamkile banane ke liye diet me methi aur gelatin shamil kare. Hatho ko doodh aur nimbu ke ras ke mishran me 10 minute tak dubo ke rakhe. Raat ko nakhoon par jaitun tel lagaye. Nakhoon banenge sundar aur hath ke saundarya ko badha denge. 

Twacha ki Maalish kare

Tvacha teli ho to raat ko steaming kare. Sadharan tvacha bhi saf karne ke liye steaming helpful hai. Magar itna important tvacha ki malish hai. Moisturizer lagaye to chehre ko achchi tarah se maalish bhi kare to blood circulation improve hoke tvacha me jaan aa jayegi. 

Muskurate Hanste rahe

Koi karan na ho to bhi chehre par ek halka sa muskan rakhe. Chehre ko pleasant banane ke liye aur folds prevent karne ke liye muskurate rahe. Dimag ka haal bhi sudhar jayega. 

Yeh hai teenagers ke liye beauty tips. Aaj se shuru kare. Jeevan bhar chehra hamesha attractive rahega.

TAGS: #beauty tips for teens #teen beauty tips #skin care tips for teens #teen tips #teen girl tips #beauty tips for teenage girl #teenage skin care #beautiful teen #natural beauty tips for teenagers in hindi #simple easy beauty tips for teenagers face #beauty tips for teenage guys #tips to be beautiful in teenage #teenage girl beauty tips in hindi #simple beauty tips for teenage girls  

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

2 Comments

Mona Singal, Nov 10, 2017

Main apne daliy ki routine se bahut hi pareshaan hun jis wajah se main apne face ko lekar bahut pareshaan hun please aap mujhe koi easy tips suggest karen.

Mnorma Suri, Nov 07, 2017

Jaisa ki aapne bataya hai ki jaruri nahin hai face wash se apne chehare ko wash karen aap mild soap ka bhi istemaal kar sakte hain to kiya aap bata sakte hain konsa soap suitable hai?