ब्‍यूटी प्रोडक्‍ट्स के स्‍थान पर नींबू से खूबसूरती पाने के पांच उपाय

ब्‍यूटी

नींबू क्या काम करने मे सहायक है?

Yahan par bataye nimbu ke 5 prayog jaroor try kare. Nimbu alag alag kaam karta hai. Jaise ki nimbu tvacha me rahe dirt aur bacteria ko bahar nikal deta hai. Nimbu se tvacha gora ho jaata hai. Nimbu ka ras lagaye to moisturizing aur cleansing effect hota hai. Dekhiye yeh 5 upay nimbu par adharit jo saundarya ko nikhare. 

रूप निखारने के लिए नींबू आधारित उपाय - रस कैसे निकले

Nimbu ka ras nikalne ka hand press log samanyatar upyog karte hai. Aap bhi kare magar nimbu ko nichodne ke bad us ke chilke ko ras me duboye aur achchi tarah masle taaki is me rahe tel bhi ras me ghul jae. Saundarya prasadhano me kai aise gharelu, prakrutik samagri hai jo sadiyo se upyog kiye jate hai aur chemical cosmetics se lakh guna behtar hai tvacha ki khubsurti nikharne me. Haldi kaho, aloe vera kaho, chandan kaho, doodh ho ya badam ho ya gulab, yeh sabhi evergreen beauty products hai. In ke saath nimbu bhi kuch kam nahin hai saundarya ke liye. Aisa kya hai nimbu me jo beautifying effect laata hai? Padhiye nimbu ke gun ke bare me aur nimbu par adharit panch upay khubsurti paane ke liye.

 

नींबू के गुण

Nimbu ka ras hee nahin, is ka chilka bhi swasth aur beauty ke liye upyogi hai. Nimbu ke tatva hai citric acid, malic acid aur ascorbic acid (Vitamin C). Vitamin C khub praman me hai nimbu ke ras me, karib 50 mg har 100 gram ras mein. In se nimbu ka khattapan lagta hai. Citric acid aur malein acid bleaching ka aur collagen banaye rakhne ke kaam me madadroop hote hai. 

  • Vitamin C ke saath potasium bhi unche praman me hai nimbu ke ras me aur yeh sharir ke cells ki karyakshamta, blood ke liye, dil ke liye aur water balance ke liye jaroori hai. Sab se khas baat, saundarya ki drashtikon se yeh hai ki vitamin C collagen production me  sahayak hai. Collagen tissues ka base hai aur jo yeh swasth aur jandar ho to tvacha hara bhara dikhta hai. 
  • Ek aur important tatva hai aur voh hai azadirachtin, jo neem me hota hai aur jo powerful bactericide aur antifungal agent hai. Yeh chilke me jyada hota hai. Isiliye saundarya ke liye nimbu upyog kare to chilke ko bhi nichodna chahiye. Balo me lagaye to rusi kam hota hai.
  • Garam pani me nimbu ka ras dale to salicylic acid ka nirman hota hai jis ka karya aspirin haisa hota hai pain kam karne me aur soojhan kam karne me isiliye nimbu ka ras garam pani me jyada fayda deta hai. 
  • 15mi sadi me europne me ladies nimbu ka ras ka upyog hont lal karne ke liye istemal karte the. 
  • Vitamins ki baat kare to nimbu me paye jaate hai Vitamin B1, B2, B3. 
  • Nimbu me hai volatile oil limonene, alpha terpinene, alpha pinene, beta pinene aur citral jo powerful antioxidant hai aur anti-aging chemicals bhi hai. Yeh antibacterial bhi hai. Yeh khansi, sardi aur bukhar ko bhi kam kar dete hai. Agar koi keeda kate to khujli aur jalan yeh chemicals se mit jaata hai.

खूबसूरती के लाभ नींबू से – नींबू के 5 सौंदर्य लाभ

Yeh basic nimbu ka ras beautification ke liye aap ka taiyar ho gaya aur 5 nimbu saundarya upay me ismein estemaal karna hai. 

Skin Toning, Hydrating aur Nourishing Face Pack 

Skin toning, hydrating aur nourishing face pack me alag samagri ka istemal kiya jaa sakta hai. Base hai nimbu ka ras. Isme ande ka peela bhag milaye to nourising aur toning face pack taiyar hua. Egg white milaye to toning aur skin tightening face mask taiyar hua. Saath me aloevera bhi aap daal sakte hai. Chahe to badam paste, chironjee paste aur avocado paste mila le.

Nimbu Beautifying Cleanser

Nimbu beautifying cleanser ke liye upar bataya hai aise nimbu ka ras le aur is me karkara namak mila ke sharir ke tvacha par ghise. Namak ke badle chini ka upyog kiya jaa sakta hai nimbu cleanser scrub banane ke liye. Thode boond tea tree oil aur ek chamach nariyal tel mila le to aur achcha. 

Nimbu Beautifying Fairness Mask

How to use lemon on face for fairness in hindi: Nimbu beautifying fairness mask ke liye nimbu ka ras le, haldi powder dale, yashtimadhu powder milaye, gulab ki pankhudi ka paste milaye aur badam ka paste dale aur yeh sab dahi me mila ke chehre par laga ke rakhe adhe ghante tak. Nimbu-baking soda bhi uttam fairness rub hai. Nimbu aur kachche thande doodh se bhi gorapan aa jaata hai. Is mask se kale dhabbe bhi kam ho jaate hai. 

Nimbu Beautifying Oily Skin Face Mask 

Lemon beauty tips face: Nimbu beautifying oily skin face mask me nimbu ka ras le aur is me milaye dahi, besan aur multani mitti. Chehre par lagane se na sirf rang nikhar jaata hai balki chehra bhi fresh ho jaata hai. 

Nimbu Hair Beautifying Care

Lemon use for hair in hindi: Nimbu hair beautifying care me nimbu ke ras me ande ka safed bhag mila ke lagaye to balo me gajab ka chamak aata hai; nimbu ras aur neem ka ras lagaye to dandruff bhag jaata hai, nimbu aur dahi lagaye to bal ghane aur kale honge; nimbu-jaitun tel ka mishran shahad mila ke lagaye to bal banenge mulayam; amla ke ras ke sath upyog kare to lambe samay tak rahenge kesh kale aur aise hee lagaye to scalp ki tandurasti bani rehti hai. 

Jaise se aap ne dekha, sirf nimbu ka upyog kare, har roj peene me is ka ras, aur saath me beautifying treatment me nimbu ka upyog kare akele aur anya samagri ke saath, to behad fayda hota hai. Nimbu se nuksan nahin hota hai. Tvacha par lagane se gandki bahar nikal aati hai, mrut koshika nikal jaate hai, naye collagen banne me nimbu sahayak hai aur tvacha ka rangat bhi sudhar jaata hai nimbu se.

TAGS: #Lemon beauty tips in Hindi #best ways to use lemon on face #benefits of lemon in hindi language #how to use lemon on face overnight #how to use lemon on face for glowing skin #lemon benefits for skin and hair #lemon in hindi #निम्बू के गुण #चेहरे पर नींबू लगाने के फायदे #lemon benefits in hindi

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

3 Comments

सेल्जा, Dec 08, 2017

नींबू के वो पाँच फाएेदे कौन्से हैं जिनसे कि चेहरे पर बियूटी लाई जा सकती है मुझे बताइए मैं भी खूबसूरत होना चाहती हूँ प्लीज़ बताइए

Sunita Kumari, Nov 10, 2017

Maine suna hai ki nimbu ke chilke ko face par scrub karne se chehara nikhar sakta hai isliye aap mujhe koi tips bataiye please

Tarun Garg, Nov 07, 2017

aapne jo nimbu ke fayEde bataye hain bahut hi kamal ke hain aur easy to affordable bhi hain thanks for the post kiyunki yeh hamare liye bahut hi fayedemand bhi hain.