Bawaseer or Piles ke masse ka ilaj in hindi (बवासीर का इलाज): Masse, bawaseer ya angrezi me piles/hemorrhoids jo bhi kaho, yeh mareez ko hairan pareshan kar dete hai. Khoon nikalta hai, maltyag vakt peeda bhi hoti hai aur vyakti hairan pareshan ho jaata hai. Na kha sakta hai, na pee sakta hai, na baith sakta hai aur na chain se so sakta hai. Operation ek raasta hai. Doosra yeh hai ki bawasir aur masse ke liye gharelu ayurvedic upay ka prayog kare jo yahan par hindi me bataye gaye hai. Yeh ayurvedic piles treatment, khooni bawasir ka gharelu ilaj in hindi se kaafi farak padega aur aaram milega.
Piles ke Prakar
Piles andaruni hote hai aur external yane ki bahar dikhai dene vale. Piles ka prakop halke se leke serious tak hota hai jis me chote chote dane jaise hote hai baahar ya andar jo halka hai aur aage badh ke soojhan kaafi hota hai aur khoon bhi nikalta hai. Is ke peeche ke kaaran ho sakte hai ki paramparagat taklif family mein, Pregnancy, Aant me tumor hona ya growth hona, lambe samay tak hard chair mein baithe rehna. Lambe samay tak shauch ko roke rakhne se aur kabz se bavasir ho sakta hai. Fiber na ho aahar mein to bhi kabz ho sakta hai aur bavasir.
Prakrutik Ayurvedic Gharelu Upchar Bavasir ke Liye
Ab jane piles ka ayurvedic ilaj in hindi me:
- Bawasir ka ilaj mein Jamun ki gutli ka churna, aam ki gutli ka churna milaye barabar maatra mein aur ek chamach chaach me mila ke din me do baar sevan kare to aaraam prapt hoga khuni bavasir mein.
- Bawasir masse ka ilaj karne ke lie har roj raat ko bavasir se peedit vyakti agar ek chamach isabgol ka sevan kare to kabz ki shikayat nahin rehti hai aur mal tyag karne me aasaani rehti hai.
- Ek gharelu ayurvedic upay bavasir ke liye hai bade elaichi. Bade elaichi ko bhuj kar churna banaye aur khali pet yeh paani me mila ke peeye to piles theek ho jayenge.
- Bawaseer ke ayurvedic upay mein aap paani ko na bhule. Paani khoob piye to mal naram honge.
- Bawaseer mein dahi aur chaach amulya upay hote hai. Chaach me jeera powder dale aur barik kate hue pyaj ke tukde daal ke sevan kare to khoon girta ho to band ho jayega.
- bawasir ka desi ilaj mein kale til ko halka sa bhun le aur makhan ke saath mila ke har roj khaye to yeh gharelu bavasir ka upay aap ko raahat dega.
- Bawasir ke ghareup upchar me upyog kare kismis ka. Har roj 50 gram kismis raat ko bhigo ke rakhe aur savere is ka paani aur kismis chaba ke kha le. Bavasir dheeme se mitne lagenge.
- Padhte rahiye ayurvedic upay bavasir ke liye aur jaaniye ki kanchnar gugul ke upyog se khuni bavasir sookh ke mit jaate hai aur pet ki pachan kriya majboot ho jaati hai.
- Agar taiyar ayurvedic dawai ka upyog karna hai to kanchnar gugul vati, sanjivani vati aur vara churna ki goliya din me do baar khaaye. Yeh andaruni masse ko sukha dete hai prakrutik tarike se.
- Gharelu upay piles ke liye hai ki aerandi aur til ke tel ke mishran se maalish kare. Aap chahe to ayurvedic paddhati se bani nirgundi tel aur kasisadi tel ka upyog kare masse par din me do baar maalish karne ke liye.
- Piles intestinal aur pachan tantra sambandhit taklifo se hota hai. Aise me pet ko saf rakhna aur aanto ko saf rakhna jaroori hai. Piles ho jaaye to Ayurvedic ilaj hai trifala churna ka regular sevan. Trifala na lena ho to sirf haritaki aur jimikand ke churna har roj rat ko sone se pehle sevan kare.
- Bawasir ke ayurvedic ilaj mein upyog kare kachche papita ka. Papita ka paste banaye aur sarson ke tel mein mila ke lep kar masse par.
- Piles ke masse khatam karne ka ilaj mein Aloevera juice lagaye bavasir vale jagah par aur aloevera juice bhi piye.
- Bawasir ke masse theek karne ke lie har roj khane mein gaajar, chukandar aur muli ka upyog kare. Har roj muli ka ras peene se bavasir me fayda hota hai.
- Jeera halka sa bhun ke baarik churna banaye aur sarson ke tel me mila ke bavasir par lep laga ke 15 minute tak rakhe.
- Bawasir ka gharelu ilaj mein pudina aur adrak ka ras har roj savere peete rahe.
- Nimbu ka ras piye aur bavasir vale jagah par lagaye to soojhan kam hoga.
Aise hee aap apple cider vinegar bawaseer par lagaye to yeh sookh jayenge magar jalan tej hoga isiliye dilute kar ke lagaye.
Bawaseer ke Liye Anya Gharelu Nuskhe
Khooni bawasir ka ilaj in hindi :Bawasir ke upay me aap try kare yeh nuskha. Piles ka pakka ilaj mein paani me neem ke patte aur haldi daal ke ubale. Ab chote se tab me gunguna garam pani dale aur is me yeh neem-haldi ka paani milaye. Yeh tub me adhe ghante tak baithe rahe. Pani ke prayog se sach me raahat milta hai aur bavasir kam ho jaate hai. Tambe ke bartan me paani raat bhar rehne de aur savere uth ke 2-4 glass ya to jyaada jitna ho sake itna peele.
Parhej
Bawaseer me ayurvedic ilaj karte ho to parhej palna hai. Bawasir me kya nahi khana chahiye??? Khatte, mirchi vale, masaledar aur tale hue cheez na khaaye.
Bawasir bimari ka ilaj karne ke lie bawasir me dhyan rakhe aahar par, ayurvedic piles ka ilaj kare aur jaldi se is haalaat me aaraam paye. Bawasir ke ilaj karne ke lie operation ki jaroorat kam rahegi. yeh nuskhe piles ka roohani ilaj hai enka zaroor estemaal kare.
जल्दी बवासीर ठीक करने के लिए यहाँ भी जरूर पढ़े
TAGS:#khooni bawasir ka desi ilaj in hindi #haldi se bawaseer ka ilaj #bawaseer ka ilaj baba ramdev in hindi #badi bawaseer ka ilaj #bawasir ilaj hindi #bawasir ke dard ka ilaj#khooni bawasir ka gharelu ilaj #khooni bawasir ka gharelu ilaj in hindi