बवासीर के मस्से और दर्द का उपचार के घरेलु उपाय और देसी नुस्खे

बवासीर

Bavasir halka ho ya fir bahar ki taraf badha hua ho, dono peeda dayak hote hai. Andar ke masse ho ya bahar ke, dard to hota hai, uthte, baithte, shauck ke samay aur aise bhee. Yeh 24 ghante pareshan kar sakta hai. To fir aisa kya kare ki bavasir ka dard kam ho? Yahan bataye bavasir ke peeda ke gharelu nuskhe in Hindi ka prayog kare. Peeda kam hogi aur masse bhi dheere dheere kam hote jayenge. 

Bavasir (hemorrhoids) aur Masse se Hone Vali Peeda Kam Kare

Dard hota hai kyonki sujhan ke kaaran nazuk ho jaate hai blood vessels aur thoda bhi gharshan ho to nerve ending me pain ka signal milta hai. Aise me yeh gharelu nuskhe bavasir masse ka dard kam karne ke liye pesh hai. 

  • Soojhan kam kare to dard bhi kam hoga. Is ke liye upyog kare barf ki potli. Ice ko plastic ke bag me rakhe chura kar ke aur yeh potli apne guda dwar ke aas paas 10 minute tak firaye har roj din me 2-3 baar. 
  • Dard kuch jyada hai to ghar me lignocaine spray rakhe. Yen anesthetic spray hai aur bahar masse ho aur dard karte hai to spray karne se dard ka ehsaas nahin hoga.

सम्बंधित जानकारी

  • Aloe vera aisa tatva hai ki khoon aur tvacha ke liye faydemand hai. Yeh bahar ke piles aur andar ke piles par bhi lagaya jaa sakta hai. Aloe vera ke bahar ke chilke ko nikal de. Yeh gel jo bacha hai use aap bahar ke piles par ghise to raahat milega. Fridge ke freezer me rakhe aur thoda freeze hone par guda dwar ke andar ke piles ke peeda ke liye andar ghusa ke rakhe to jalan aur khujli bhi mit jayegi. 
  • Nimbu me aise tatva hai jo blood vessels ko majboot banate hai. Nimbu ke ras se rui bhigoye aur masse par ghise. 
  • Adrak ka ras, nimbu ka ras aur shahad mila ke savere peene se dard me raahat milta hai. 
  • Badam ka tel aur jaitun ka tel mix kare aur rui ko bhigo ke bahar ke masse aur andar ke masse par lagane se soojhan kam ho ke dard bhi kam ho jaata hai. Is tel me chutki kapoor milane se aur fayda hota hai. Ek chamach jaitun tel aur badam tel ka mishran savere sevan karne se bhi fayda hota hai. 
  • Apple cider vinegar yaane seb ka sirka masse ke dard ko kam karne me sahayak hai. Rui ko bhigoye aur bahar ke masse par lagaye. Andaruni masse ke liye paani me mila ke peeye. 
  • Santre aur nimbu ka bharpur upyog kare kyonki is me hote hai flavonoid jo blood vessel me soojhan kam kar dete hai. 
  • Aerandi ke tel me zinc oxide powder milaye aur ek chutki kapoor. Nariyal tel ka bhi upyog kiya ja sakta hai piles pain treatment ke liye. 
  • Ek tub me halka garam paani dale aur ek packet epsom salt ya eno milaye aur is paani me baith jaaye. 
  • Tea bag apne pas rakhe. Thoda garam paani me ise ek minute tak bhigoye aur masse vale bhag par lagaye to sek hone se dard kam hoga aur raahat milegi. 
  • Lavender oil aur tea tree oil ka mishran kare aur masse par lagaye. 
  • Avocado ka paste aur nariyal tel ko bavasir par lagaye to dard kam hoga. 

सम्बंधित जानकारी

Yeh gharelu nuskhe se piles ka dard kam hoga magar saath me masse bhagane ke liye bhi gharelu nuskhe ka prayog kare. 

Piles ka Desi ilaj

  • Badi bawaseer ka ilaj karne ke lie muli ke ras me jeera powder mila ke piye. 
  • Gajar aur beetroot ka ras piye. 
  • Chach me jeera mila ke peeye. 
  • Har roj trifala churna aur isabgol raat ko khaye
  • Paani khoob peeye
  • Ek chamach alsi ke beej chaba ke khaye ya powder chach me mila ke peeye. 
  • Masse vale bhag par baking powder ka paste bana ke lagaye. 
  • Bargad ke patte ka ras doodh me mila ke peeye
  • masso ka desi ilaj mein adrak ka ras, tulsi ka ras aur shahad ka sevan kare. 
  • Areetha ko jala ke bhasm kare aur churna bana ke kattha , kusht faulad ke saath mila ke 1 gram har roj doodh me daal ke peeye. 
  • Gende ke patte, kali mirch aur mishri ka sevan karne se masse mit jate hai. 
  • Es masso ka desi ilaj mein ek chamach kale til khoob chaba ke khaye har roj. 
  • Mehndi ke patto ka paste ka lep kare masse par. 

Piles ka pain kam karne ke nuskhe ke saath bavasir mitane ke upay, bawasir ke masse ka gharelu ilaj bhi prayog kare to aage jaake fayda hoga.

TAGS:#bawasir ke masse #masse ka homeopathic ilaj #badi bawaseer ka ilaj #bawasir ke masse ka gharelu ilaj #homeopathic medicine for masse #bawaseer treatment baba ramdev

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

1 Comments

Madan, Jul 24, 2017

Guda ke bahr mssa ka ilaj kya hai bataao