जाने बवासीर के 10 असरदार घरेलू उपचार - Piles ka ilaj ke 10 Gharelu Nuskhe in Hindi

जाने

Piles Treatment At Home in Hindi (बवासीर का इलाज): Bavasir andaruni hote hai aur external yaane gudadwar ke bahar nikal aate hai. Dono haalaat mein jab bhi baithe to bahut dard hota hai. Shauch kriya me peeda hoti hai aur khoon bhi nikalta hai kabhi kabhi. 

Bavasir hone ke kai kaaran hai. Magar jab bavasir ho jaaye to pehla prashna hai ki kaise is haalaat se chutkara paaye ya to aaraam mile aise kya kare. Pain killers ya anya dawai lene se behtar hai ki aap yahan par bataye 10 gharelu nuskhe piles ke liye hindi me hai un ka prayog kare. 

खूनी बवासीर का उपचार - Bawaseer ka Gharelu Nuskhe Desi Upchar

Ab aap jane home remedies for piles in hindi me or bavasir ke gharelu nuskhe raahat ke liye:

  • Khuni bavasir ka ilaj hai kale til aur makhan. Til ko halka sa bhun le aur makhan ke saath chaba ke khaye. 
  • Bavasir mitane ke desi gharelu upay me upyog kare kele ka. Pakke kele ko kate aur us par katha chidak ke raat bhar rakhe aur savere yeh tukde kha jaaye. 
  • Piles ka desi ilaj karne ke liye badi elaichi ko bhun le tave par us ka chilka kala hone tak aur fir thanda kar ke churna bana le. Yeh churna pani me mila ke savere sevan kare. 
  • Bavasir ka gharelu ilaj karne ke liye tub me baithe. Paani halka sa garam ho aur is me aap neem ke patte ka ubala hua paani daale aur ek chamach sarson ka tel. 15 minute tak baithe rahe is paani mein. Paani khud bhi khoob peete rahe din bhar. 
  • Baseer ka ayurvedic ilaj in hindi mein bavasir ka ayurvedic upchar is tarah kare. 100 gram areetha ko jala ke kala kare aur pees ke powder banaye. Is me safed katha powder milaye aur saath me adha chamach kusht faulad churna. 1 gram yeh mishran ko 10 gram makhan me mila ke khaye aur upar doodh pee le to ek mahine me bavasir mit jayenge. 
  • Piles treatment at home in hindi mein muli ka ras nikale. Is me baarik peesa hua jeera mila ke adha cup har roj ek mahine tak piye to bavasir mit jayenge. 
  • Nimbu ko kaate aur kate hue bhag par katha powder lagaye. Raat bhar rehne de. Savere yeh tukde ko choose. 15 din tak kare to bahut farak padega. Katha ka powder aur babul ped ke chal ko ubale aur is ka paani bavasir par lagate rahe to yeh shrink ho jayenge. 
  • Bawaseer ka desi ilaj mein pyaj ko baarik kate aur dahi me milaye aur jeera powder chidak de. Yeh dahi har roj dopahar ko khaye aur dopahar ko kuch aur na khaye. 
  • Aise hee bavasir ho jaye to dopahar ke bhojan me sirf papita ko kaate aur is par shahad, neera powder aur sendha namak mila ke khaye. 
  • Bawaseer ka gharelu ilaj mein bargad ke ped ke patte ka doodh nikale aur doodh me mila ke sevan kare to piles shrink ho jayenge prakrutik tarike se. 

Anya upay me bavasir par aap aerandi ka tel laga sakte hai. Is me kapoor milaye aur fir thoda boric acid powder aur yeh malam bavasir par ek mahine tak lagate rahe.

 बवासीर परहेज - Parhej 

In me se jo ilaj aap ko suit hota hai us ka prayog kare. Piles ho jaye to khane me parhej rakhna jaroori hai. bawasir me kya nahi khana chahiye yeh prashen hum sab ke dimag mein ata hai. Mas, machli, ande na khaye. Udad ki daal na khaye. Bavasir ho to gud, angur aur aam bhi varjit hai. Lal mirchi, masaledar vyanjan aur tale hue cheez bhi na khaye. Sharab, tambaku, coffee aur chai bhi bandh kar de to jaldi se is haalat me se chutkara milega.

TAGS:#badi bawaseer ka ilaj #bawaseer ka gharelu upchar in hindi ##bawaseer treatment baba ramdev #bawasir ke masse ka ilaj #haldi se bawaseer ka ilaj #home remedies for bawaseer in hindi #bawaseer ke lakshan #symptoms of piles in female in hindi #bawaseer ka ilaj baba ramdev in hindi #piles treatment in hindi # #home remedies for piles in hindi

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

4 Comments

pooja, Jun 28, 2018

aapne batayi huyi sabhi information bahuthi faydemand hai sir..thank u sir..

रघुबीर सिंग, Mar 10, 2018

बवासीर के इलाज के 10 घरेलू नुस्खे उपाय और उपचार किया हैं मुझे इसके बारे में विस्तार से बताइए

raju, Mar 17, 2017

Mujhe do mahine se baba seer m bahut khoon aa raha hai koi accha sa gharelu upay bataye main 40saal ka hu

healthnuskhe, Feb 21, 2017

Your each article is very valuable for health point of view. Nice job Sir!!