केले का सेवन करे और स्‍वास्‍थ्‍य रहे - Banana Kela Health Benefits in Hindi

केले

Banana Benefits in Hindi Language : Banana yaane kela ke gun koi nahin gaata hai. Yeh saste daam me bikta hai magar aam aadmi ke liye aam se bhi jyada poshak aur gunkari hai. Jaaniye kele ka raaz. Khaaye ise hardam aur rahe tandurast hamesha. Prastut hai banana kela health benefits in Hindi.

केले के फायदे और गुण

  • Sugar aur fiber ka behatrin srot hai kela.
  • Blood sugar niyantrit kerta hai kela.
  • Tanav kam kerne mein maddgar hai kela.
  • Dil ke mareezo ke lie bahut faydemand hai kela.
  • Naksir ka rog samapt kare.
  • Wajan badhane ke lei bahut maddgar hai kela.
  • Gabhwati mahilaon mein vitamin aur minerals ki kami poori kare.
  • Bachchon ke vikas mein bahut faydemand hai kela.
  • Bujurgon ke lie bahut faydemand hai kela.

Health Benefits of Banana in hindi

Pakke kele me poshak tatva anek hai. Ek kele me se aap ko milega vitamin B6, sodium 1 mg, potassium 358 mg, carbohydrate 23 gram, protein 1.1 gram, vitamin A, Vitamin C, Bitamin B6, Magnesium, copper, biotin or manganese. Jaise aap dekhte hai kele ke fayde me mukhya yeh hai ki yeh potassium ka khajana hai. Ansh maatra me hai folate, pantothenic acid, alpha aur beta carotene, lutein, zeaxanthin, Vitamin E, chromium, calcium selenium, molybdenum, phosphorus aur zinc. 

Kele Khane ke Fayde in Hindi

Kele khane ke fayde in Hindi jaaniye aage. Har roj ek kela khaye to bhi kaafi hai aur do khaye to aur bhi achcha. 

  • Kele me potassium bharpur maatra me hai jo dil aur blood ke liye behtreen hai. Roj 2 kele khaye to aap high blood pressure se bach ke rahenge aur atherosclerosis bhi nahin hoga. Kele me se milta hai campesterol, stigmaesterol aur sitosterol. Yeh sterols cholesterol ka absorption rok deti hai aur cholesterol level parinamswarup kam rehta hai. Kele me fiber jyaada hai, soluble aur non-soluble, aur is se dil surakshit rehta hai. 
  • Banana benefits in Hindi kahe to yeh fal aap ke pachan tantra ke liye uttam hai. Yeh meetha jaroor hai magar blood sugar level ko control me rakhta hai kyonki kele me pectin fiber hai voh digestion kriya ko control kar lete hai. Har roj kele khane ke benefit yeh hai ki aant me bifidobacteria ka praman badh jaata hai. 
  • Benefits of banana in Hindi atheletes aur sportsmen aur jo majdoor karte hai unke liye vishesh hai.  Atheletes kela khaa ke performance kare to stamina badh jaata hai aur cramps nahin hota hai kyonki kele me hai potassium aur sugar jo energy pradan karta hai. 
  • Kela ke fayde weight loss me bhi hai. Kele me calories kam hai aur poshak tatva jyaada. Kele se energy milta hai aur aap do kele khaaye to din bhar energy se bhare rahenge. Fiber se bhook jaldi nahin lagega aur parinam yeh hai ki vajan kam karne ke prayas me aap safal rahenge. 
  • Kela khane ke fayde aur bhi hai jaise ki yeh antioxidants se bharpur hai aur aap ke sharir se vish nikal denge. Is me hai dopamine aur catechins. 
  • Dopamine se banana k fayde yeh hai ki aap ka mood bhi achcha rehta hai. Agar depression aur tanav ho to kela khaaye. Banana me tryptophan bhi hai jo mood sudhar deta hai. 
  • Banana fruit benefits in Hindi diabetes ke mareez ke liye bhi hai. Yeh meetha hone ke bavajood is se insulin sensitivity badh jaata hai aur diabetics jo injection lete hai unhe kam maatra me lena padega. 
  • Banana khane ke fayde unhe bhi hai jinhe kidney sambandhit takleef hai. Potassium se kidney ki karyakshamta sudhar jaati hai. Swasth ho to unko lambe samay tak gurde ki taklif nahin hoti hai kela khane se. 
  • Agar aap har roj workout karte hai jaise ki cycling, swimming ya aerobics ya to athletics mein bhaag lete hai to banana milk shake banake piye jis me ho banana, shahad aur doodh. Beneifts of banana shake in Hindi bataye to energy ke saath electrolyte milta hai jis se lambe samay tak aap exercise kar sakte hai. Exercise ke baad bhi yeh banana smoothie ke fayde yeh hai ki electrolyte balance fir se restore kar deta hai. 
  • Banana ke fayde Hindi me bataye to bodybuilders ko muscles ke vruddhi me sahayak hota hai. 
  • Bnana ka fayda aap ko turant mehsoos hoga jab aap din bhar kam kar ke thak ke choor ho gaye hai aur mood down hai. Ek-do kele khaa le. Lunch me bhi kela khaaye to deri tak kam kar sakenge. 
  • Benefits of eating banana with milk in Hindi yeh hai ki aap ko poora poshan milta hai. Raat ko neend na aaye to banana kela doodh ke saath khaaye aur dekhe kaise aap aaraam se so jaate hai. Banana me tryptophan aur vitamin B9 ke kaaran sharir shant pad jaata hai aur tanav bhag jaata hai. 
  • Kela ka fayda ek aur yeh hai ki aap ka pet foola nahin rahega. Khaane ke baad gas ho jaane ki sambhavna hai aur kele se gas kam banta hai. Yeh pet me gas paida karne vale bacteria ko nash kar deta hai. 
  • Kele k fayde me yeh bhi hai ki kai logo ko meetha khaane ki aadat hai. Sugar vali cheez khaye to nuksan hai magar kela khaaye to craving kam ho jaata hai aur poshan bhi milta hai. Junk food khane se to kela khana kai guna labhkari hai. 
  • Banana ke fayde Hindi me jaaniye ki yeh prebiotic ka uttam source hai aur pachan sudhar deta hai. Kabz ki shikayat nahin rehti hai har roj kela khane se. 
  • Kele khane ke fayde haddiyo ko bhi hai. Is me calcium aur phosophorus hai jo haddiyo ko banaye majboot aur jo fructooligosaccharide hai yeh calcium ko absorbkarne me sahayak hote hai. 
  • Kele se immunity badhta hai aur is me rahe delphinidin cancer se surakshit rakhta hai aap ko. 
  • Kela khaye aur rakhe aanko ki roshni barkarar!
  • Diarrhea (dast) ho to kela khaaye. 
  • Kele khane se asthma ka risk kam ho jaata hai. 
  • Acidity me kela labh deta hai. 
  • Kela khaye to hangover kam ho jaata hai. 
  • Kele ke andar kapoor bhar ke rakhe aur bavasir ho to aise khaaye to fayda hoga.

Mota Hone ke Gharelu Nuskhe

Duble patle ho to mehngi whey protein aur aise supplement lene ke badle kele ke fayde uthaye. 

  • Savere 6 kele khaaye aur 1 liter doodh piye. 
  • Kele ko ghee me pakake khaaye. 
  • Kela khane ka tarika hai ki pakka kela khana chahiye. Adha kachcha kela pachne me bhaari hai kyonki is me starch hai voh gas karta hai. Pakne par yeh fructose me badal jaata hai aur supachya hai. 
  • Kela khane ka tarika hai ki aap plain kela khaaye ya to fruit salad banaaye jis me ho papeeta, kela aur chiku. Is par kala mirch, sendha namak aur nimbu ka ras aur chahe to jeera powder daal ke khaaye. 
  • Ho sakte to kela sardiyo me raat ko na khaaye aur ice-cream ke saath na khaaye. 
  • Kele ko mash kar ke doodh ke saath rogiyo ko diya jaa sakta hai aur bachcho ko khilaya ja sakta hai. 
  • Kele ke saath singdaane ya kaaju khaaye to poshan aur enegy milega aur sharir ka vajan badhega. 

Kele ke Side Effect

Agar aap aisa sochte hai ki kela khane me fayda hee fayda hai to kela benefits and side effects in Hindi bataye aap ko. 

  • Kele me potassium adhik hota hai aur adhik potassium khale to hyperkalemia ho jaata hai jis se heart attach, irregular heartbeat, uneven pulse rate, aur ulti-chakkar jaise ho sakta hai. 
  • Kele kha ke dant saf na kare to danto me sadan hota hai. 
  • Kele se nerve damage ho sakta hai kyonki kele me hai vitamin B 6 jis ki adhik matra me sevan kare to yeh taklif hota hai. 
  • Kela jyada khale to kaf badhta hai. Kaf prakriti ke logo ko kela dopahar me khana chahiye. 
  • Kela khaaye to neend bhi aa sakti hai. 
  • Kele se pet me dard ho sakta hai
  • Gehra asar yeh hai ki anaphylactic shock ho sakta hai yaane ke blood pressure bilkul low ho jaata hai, dil ki dhadkam dheemi pad jaati hai, chakkar aata hai aur serious ho jaata hai jis gambhir halat me hospital me dakhil karna padta hai. 
  • Achchi tarah pake kele na khaye to kabz hoga. Kele par dark brown spots ho aise kele hee khaaye. Kachche kele se gas bhi hota hai. 
  • Jyada kele khaye to diabetes ho sakta hai. 
  • Kidney ki bimari ho to kela kam khaye. 
  • Allopathic dawai ka treatment chalta ho to doctor se pooch ke kela khaaye. 

Hindi Beauty Tips with Banana

Kele khaye to swasth ke liye achcha hai. Is ke alava jaaniye hindi beauty tips with banana. 

  • Kele ka paste banaye aur doodh, haldi ke saath tvacha par lagaye to daag dhabbe kam ho ke tvacha harabhara aur lachila ho jayega. 
  • Baalo ke kele ka paste lagaye to baal ghane aur mulayam honge. 
  • Kele ko chehre par malne se moisturizing effect hota hai aur budhape ke chinha lambi umar tak nahin aate hai. 
  • Kela lagaye tvacha par to surya kiran se shyam hogaya ho aise tvacha me nikhar aata hai. 
  • Kele ko shahad ke saath, nimbu ke ras ke saath mila ke face mask banaye. Rang sudhar jayega. 
  • Kele ke sath baking soda aur haldi face mask se mrut koshika nikla jayegi aur tvacha saf suthra aur komal hoga. 
  • Kela, dahi, narangi ke chilke ka paste lagaye to chidra chote honge aur jhurriya se aap bache rahenge. 

Yehi paste aap baalo me bhi laga sakte hai. 

Banana kela health benefits aur side effects aap ne jaan liye. Kele ko family ke har koi ko khilaye aur rahe tandurast aur khush.

TAGS:#Banana khane ke benefits in hindi #Banana ke Benefits aur Fayde #Banana medicinal uses hindi #Health Benefits Of Eating Bananas #Kele Khane ke Fayde #banana health benefits for men in hindi #daily eating banana benefits #banana fruits benefits #banana nutritional value benefits #health benefits of banana #benefits of eating banana #banana shake benefits #banana benefits for skin #benefits of banana in hindi #kele ke fayde

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

4 Comments

परवेश कुमार, Jul 20, 2017

केले को खाकर हम सबसे जल्दी अपना वजन बड़ा सकते हैं इसे दूध के साथ भी ले सकते हैं या बनाना शेक भी बना के पी सकते हैं इसके मेन फ़ाएदा यह है की इससे पेट भी जल्दी भर जाता है

Jennifer, Jan 09, 2017

nce tips

Livia Schacter, Jan 06, 2017

nice tips.

Mohit, Jan 05, 2016

Main 20 saal ka Hoon mujhe banana bahut pasand hai per Jab bhi khata hoon constipation ho jatee hai kya karoon