Aam taur par nanhe munhe bachcho mein roj ke 100 baalo ka jhadna mamuli baat hai magar growth bhi to utna hi teji se hota rehta hai. Yeh chinta ki baat nahin hai magar lagataar jhadte rahe aur naye na uge to gaur karna chahiye.
Bachcho ke baal jhadne ke kaaran kai ho sakte hai.
- Bachcho mein trichotillomania ho jaate hai. Yeh koi infection nahin hai. Tanav ya aur koi maansik karan sar bachcha khud apne sar mein se baal kheench ke nikal deta hai. To yeh jaaniye ki kaunsi aisi baat hai jo bachche ko itna pareshan kar rahi hai ki voh apne baalo ko kheenchne par utar aaya hai aur use haunsla dilaye.
- Agar aap ghungralo baalo ko straightening iron se seedha karne jaaye to najuk baal gir jaayenge. Agar seedhe baalo ko perming karne ki koshish kare to bhi baal kamjor ho ke gir jayenge. Aisa na kare.
- Bachcho mein fungal infection jaise ki tinea capitis jise ringworm kehte hai voh bhi ek karan hai chote bachcho mein baalo ka jhadne ka. Antifungal shampoo or dawai se yeh theek ho jaata hai.
- Kai chote bachcho mein aisa hota hai ki us ka khud ka immune system sakriya ho ke baalo ko attack karta hai jis se baal jhadne lagte hai. Ise alopecia areata kehta hai aur parvarish na kare to sab baal nikal jaayenge. Doctor se ilaj karvana jaroori hai.
- Baal jhadte hai aur ugte hai magar yeh prakriya mein rukavat aaye to ise telogen effluvium kehte hai jis ke kaaran baal kam dikhai dete hai. Jyaada vitamin A ke karan, dawai ke karan, tanav ke kaaran, dar ke karan yeh samasya ho sakti hai. Aahar aur vatavaran sukhmay banane par baal fir ug aate hai.
- Chote bachcho ko jyaada samay dhoop mein rakhe to baalo ko nuksan hota hai aur jhadne lagte hai.
- Purna, paushtik aahar na milne par bhi baalo mein sahi vruddhi nahin hoti hai—kam ho jaate hai aur rang bhi badal sakta hai.
Bhupendra Kumar , Apr 25, 2018
Mere baal ki whait jad hokar tut rahi hai kya karu