बाल झड़ने के कारण और उपचार - Hair Fall Treatment in Hindi

बाल

Hair Fall Treatment and Solution in Hindi (बाल झड़ने के कारण और उपचार) :Bal hai to looks hai. Bal sahi hai to looks improve hote hai. Baal jhadne lagte hai to chinta ki baat hai kyonki aage jaake hair thinning se looks bilkul badal jaate hai. Baalo ka jhadna prakrutik karya hai magar saath me naye baal bhi ugte hai. Kai baar aisa nahin hota hai anya kaarano se to fir bal jhadne ke asar dikhai dete hai. Jaaniye bal kyo jhadte hai aur bal jhadne se rokne ke upay hindi mein, hair fall tips in hindi

बाल झड़ने के घरेलू उपाय - Baal Girne ka ilaj in Hindi

  • Balo per cosmetic treatment se bhi jherte hai baal.
  • Hafte mein do baree oil masach kare.
  • Kam ammonia wale color estemaal kare.
  • Balo mein baar baar kangi na kare.
  • Balo ko dhoop se bachae.
  • Garam pani se baal na dhoe.
  • Balo ko tight na bandhe.
  • Diet mein protein, iron, zinc, vitamin B or C yukt aahar lain. 

बाल झड़ने के कारण​ - Reason of Hair Fall in Hindi

बाल झड़ना कैसे रोकें?? Yahan jane baal jhadne ke reason jinkee madd se aap pehle se baal na khade eska khyal rakh sakte hai.

  • Baal to hamesha ugte aur jhadte rehte hai. Yeh dikhai tab deta hai jab baal jhaada hai aur un ke jagah par naye baal nahin ug aate hai. Har roj 50 baal jitne jhad jaate hai. Baal jhadne ke kaaran kai hai: 
  • Hormones ka balance disturb ho jaaye to naye baal sahi samay par ugte nahin hai. 
  • Koi aise bimari ho aur dawai lete ho to in ka asar baalo par hota hai. Jaise ki cholesterol, heart aur diabetes ke liye dawai lete ho to in se bal ka jhadna mamuli baat hai. Kabhi kabhi vyakti ganja bhi ho sakta hai. 
  • Family me agar maata pita ko yeh samasya hai to santaan ko bhi yeh samasya ho sakti hai. Yeh vansh paramparagat bat hai. 
  • Scalp me agar fungus ho ya aise kitanu pade to yeh baalo ke mool se poshan choos lete hai aur naye baalo ko ugne nahin dete hai. Naye bal ke koshika nasht hone se aur purane baal ke jhadne se aisa lagta hai ki baal jhad gaye hai aur baal kam ho gaye hai. 
  • Kabhi kabhi body ka immune system baalo ke koshika ko attack karta hai aur sar par kai jagah par ganjapan pragat hota hai. 
  • Hair dye aur shampoo aur anya hair treatments agar apnaye to bal kamjor ho ke jhad jaate hai. 
  • Mahilao me pregnancy ke karan bhi hair loss ho sakta hai. Polycystic ovary syndrome bhi kaaran hai mahilao me baalo ke jhadne ka. 
  • Vitamin A ki kami ho to baal jhadne lagte hai. Aise hee protein ki kami aur vitamin B aur E ki kami se baalo ka jhadna dikhai deta hai. Iron ki kami ho to baal jhadne lagte hai. 
  • Tanav bhi baalon ke jhadne ka kaaran ho jaata hai. 
  • Badhti umar bal jhadne ka karan hai. 
  • Body builders steroids le to baal jhadne lagte hai. 

Yeh hai bal jhadne ke kaaran. Aap ko aisa lage ki baal kam ho gaye hai aur naye baal kam ugte hai to aap turan yahan par bataye hair loss prevention tips in Hindi apnaye. 

बालों का झड़ना रोकने वाले घरेलू नुस् खे - Hair Fall Control Tips in Hindi

 Ab jane baal girne ka ilaj or hair fall solution in hindi in hindi mein:

  • Bal jhadne se rokne ke upay mein pehle to aahar ko sudhare. Fresh fruit aur sabji ko dakhil kare taaki vitamins aur minerals mile. Saath me protein ki maatra badhaye aur iron jyada ho aise palak, beetroot ko khane me shamil kare. 
  • Baal girne ke gharelu nuskhe mein sharab, tambaku aur nashili padarth ka sevan na kare. 
  • Checkup karvaye ki baalo me kitanu aur fungus infection hai ya nahin. Ho to yogya treatment karvaye. 
  • Nariyal tel me vitamin E ke capsules daale aur thodasa kapur milaye. Yeh tel ko raat ko baalo ke jado me maalish kare. 
  • Balo ko jhadne se rokne ke tips me baalo ko shampoo se na dhoye balki amla, shikakai aur aritha ka hee upyog kare. 
  • Hair fall prevention ke liye har roj nahane se pehle baalo me nimbu ka ras lagaye. Nimbu ka ras aur aerandi ka tel ka mishran bhi laga sakte hai. 
  • Balo ko girne se bachane ke liye unhe majboot banaye ande ke peele bhaag ka upyog se. Nimbu ke ras ke saath mila ke lagaye balo ke jado mein. 
  • Hair fall tips me aap dahi ka upyog kare. Khatta dahin balo ke jado me laga ke adhe ghante tak rakhe. 
  • Baal jhadne ke gharelu nuskhe in hindi mein sabse ahem baat hai ki hair dye, bleaching, straightening iron aur curling jaise prayog na kare. Ager kerte rahenge to en nuskhon ka koi aser nahi hoga yeh balo ko kanjor bhi banate hai.
  • Bal ko girne se bachaye yogasan dwara. Shirsasan aur sarvangasan karne se labh hoga. 
  • Bal jhadne na de neem ke upyog se. Fungal infection, dandruff aur kitanu ko nash karne ke liye neem ka tel lagaye. Neem ke patte ka paste lagaye to bhi fayda hoga. 
  • Hair loss prevention ke liye Gudhal ke fool aur patte ka paste banake baalo mein lagaye. 
  • Baal dhone ke baad kanghi na kare aur towel se bahut roughly na ghise. Hair dryer ka bhi upyog na kare. Baalo ko garam paani se na dhoye, yeh kamjor honge. 
  • Agar baalo me rusi jaise infection hai to neem ke paste ke saath lehsun ka paste mila ke baalo mein lagaye. 
  • Balo ka girna rokne ke upay mein vyayaam avashya kare. 

बाल को झड़ना बन्द करे और नए बाल उगाए - Hair Growth Tips in Hindi

Sirf baalo ko jhadne se rokna kaafi nahin hai baal ugane ke upay hindi me jo batae ja rahe hai enka bhi prayog kare. Saath me aap ke bal atishay jhad gaye hai to bal ko ugane ke nuskhe or बाल उगाने के आयुर्वेदिक उपाय ka bhi prayog kare to jane hair fall treatment in hindi me:

  • Dadi me ke nuskhe baalo ko ugane aur majboot banane ke liye hai nariyal tel. Thodasa garam nariyal tel ko baalo me achchi tarah maalish kare to bal lambe, kaane aur ghane ho jaayenge. 
  • Bal jhadne se roke aur ugaye hair oil jariye. Nariyal tel, til ka tel aur sarson ke tel me daale amla, mehndi, yashtimadhu, brahmi, bhringraj, jatamansi ka churna ka paste. Halke aanch par ubale paani udne tak aur chaan le. Yeh oil ka hamesha upyog kare hair loss and hair growth ke liye. Baalo me tel laga ke 10 minute tak jaroor malish kare jis se circulation improve hoga. 
  • Naye baal ugane ke liye pyaj ka ras nikal ke har roj baalo me lagaye to naye baal jaldi se ugne lagenge. 
  • Aloe vera, nimbu ka ras, pyaj ka ras, beetroot ka ras aur amla ka ras mila ke baalo mein lagaye aur dekhe kaise naye baal ugte hai aur ghane aur lambe bhi hone lagte hai. 
  • Pyaj ke ras ke sath kadi patte ka ras mila ke lagaye to hair growth hone lagta hai. 
  • Hair growth ke liye hare dhaniye ka ras apne baalo me lagaye aur dhaniya khaaye. 
  • बालो को उगाना chahte hai to amla ka sewan kare. Amla ka sevan aur baalo me lagaane se baal girne se ruk jate hai aur naye ugne lagte hai.
  • Balo ka girna rokne ke upay mein bhrigraj tel se malish kare yeh apke balo ki jado ko mahboot ker esko jhdne se rokta hai.

Yeh ayurvedic hair loss prevention tips aur hair growth tips (बाल उगाने के उपाय )se nuksan nahin hota hai. Samagri aap chahe aise mix and match kar sakte hai aur pramaan kam jyada bhi ho sakta hai. Try kare sabhi en Hair Fall Treatment in Hindi ke nuskhon ko aur dekhe kaunsa jyaada fayda deta hai. hair fall solution in hindi for man mein bhi enhi nuskho ka upyog kare chahe men ho ya women dono en nuskho ka upyig ker sakte hai. Hair growth tips in hindi for men bhi yahi hai purush en nuskho ka upyog kare aur ganjepan se bache.

TAGS:#beauty tips for hair in hindi # बाल झड़ने की दवा #how to stop hair fall in hindi #hair care in hindi #hair problem solution in hindi #beauty tips in hindi for hair #hair tips in hindi #hair care tips in hindi #hair treatment in hindi #नये बाल उगाने की दवा #बाल उगाने का तेल #gharelu nuskhe for hair in hindi #balo ka girna/jharna in hindi #baal jhad ka ilaj in hindi #बाल झड़ने की दवा आयुर्वेदिक

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

9 Comments

aniket kharwar, Sep 01, 2018

Mst hai apke nuskhe

Tanak, Aug 15, 2018

Balo ko jadne ke rokne ke upay batain

पूनम, Mar 26, 2018

हेयर फॉल बहुत जायदा होते हैं प्लीज़ कोई उपाय बताइए इसका सही उपचार किया है इसका कोई देसी इलाज हो टो वो भि बताइए तथा इसके कारण भि बताएँ जिनसे ह्म बच सकें|

Deepak Soni, Jan 25, 2018

Kuch din pehale mere ko dengue ho Gaya tha usme weakness bahut aa Gayi hai tab se mere Baal bahut jhadane lag gaye hain lagbhag aadhe se Adhik Baal jhad chuke hain koi ilaj ho to bataiye please

राजवीर सिंग, Oct 24, 2017

बाल झड़ना आजकल नॉर्मल बात हो गई है इसका इलाज आना चाहिए इसीलिए मुझे बताएँ जिससे कि मैं अपने बालों को झड़ने से बचा सकूँ|

स्वीटी, Oct 13, 2017

बाल झड़ने के कारण किया हैं मुझे इसके उपचार नुस्खे और इलाज बताएँ प्लीज़

अंकित रावत, Sep 04, 2017

मेरे बाल बहुत तेजी से झड़ रहे है मेरी उम्र अभी 17 साल की है पर पता नही क्यों झड़ रहे है अगर आप भाइओन के पास कोई सल्यूशन हो तो प्लीज़ बताएँ

 

उत्तम सिंग, Nov 17, 2017

मेरे बाल बहुत ख्तम हो गये हैं झड़ झड़ के इसे रोकने के लिए कोई घरेलू उपचार बताएँ जिससे कि मेरे बालों का झड़ना बंद हो सके|

सत पाल बाजवा, Sep 03, 2017

बाल झड़ने के कारण क्या हैं और इसके उपचार क्या हैं या फिर आपके पास कोई इलाज या नुस्ख़ा हो तो मुझे ज़रूर बताएँ मेरे बाल बुरी तरह से झढ़ रहे हैं समझ हि नहीं आ रहा क्या करूँ प्लीज़ मेरी मदद करें जिससे मेरे बाल झड़ने रुक जाएँ और हो सके तो यह भी बताएँ कि मेरे बाल फिर से घने कैसे हो सकते हैं इसकी भी जानकारी ज़रूर ही शेयर करें|

संजीव कुमार शर्मा, Aug 29, 2017

मेरे वाइफ के बाल सर से बहुत जाएदा गिर रहे हैं तो कोई सल्यूशन दीजिएगा जिससे बालों का गिरना बंद होके घने लंबे तथा सिल्की हो जाएँ|