दमे के रोगी का जीवन बहुत हद तक बदल जाता है

दमे

Asthma treatment in hindi : Dama yaane asthma literally naak me dam kar deta hai unhe jo yeh rog se peedit hai. Yeh allergies se ho sakta hai aur genetic karano se. Is rog me shwas nali me soojhan ho jaata hai yahan tak ki yeh nali sikud bhi jaati hai aur hawa jaane ka rasta bilkul kam ho jaata hai. Mausam ke badlav dama se grast logo ko aur pareshan kar deti hai. Tension or jyaada physical activity se bhi kai baar asthma ka attack aa jaata hai aur mareez saans ke liye tadapne lagta hai. 

  • Dama ya asthma ka attack hone ke shuruaat me chaati me jakdan anubhav hota hai aur saans lene me rukavat aane ke karan darad bhi hone lagta hai. Aisa lagta hai ki dam ghutne lagta hai. Fauran nasal ya oral spray ka istemal karne se kaafi had tak aaraam mil sakta hai jis karan har dama ke mareez aisa koi na koi spray apne saath hi liye ghoomta hai.
  • Doctors normally asthma ke treatment me yeh poochte hai ki attack kitni der tak rehta hai, kab aaata hai aur kitni baar aata hai din me. Raat ko shvas lene me taklif hoti hai? Shvas lene me kasht hota hai. Koi aise cheez khaane se attack ka shuruaat ho jaata hai? In sabhi prashno ke aadhar par doctor treatment plan banata hai.
  • Asthma treatment me dawai aur inhaler ya spray ka  upyog karne ka sujhaav diya jaata hai. Dawai hamesha aerosol ke roop me diya jaata hai taaki us ka asar turant ho aur aaraam mile shvaas lene me. Aerosol based inhalers me ab metered dosage dispenser bhi milte hai jis me ek spray me nirdharit samay ke liye poorta dosage mil jaata hai jo aam taur par kaafi hai.
  • Agar attack bhaari ho to nebulizer naam ka bhaari aur jyaada asarkarak yantra ka upyog kiya jaata hai. Attack me double acting medicine hote hai. Ek turant act karta hai nali ko dheela karne me aur doosra lambe samay par niyantran aur ankush rakhne ka kaam karta hai. 
  • Thode samay se research se yah sabit hua hai ki namak ek uttam upay hai aur yeh safe bhi hai aur asarkarak bhi. Aise yantra ultrasonic aadharit milte hai jo sendha (rock) salt ko hawa me baarik kano ke roop me faila deta hai. Jaisa aap jaante honge namak se kaf kam hota hai, soojhan kam hota hai aur shwas lene me aasaani rehti hai.
  • To dama ke mareez is yantra ka upyog kare to hawa me namak ke kan fail jaaenge aur aise hawa ka shvaas lene se attack aane ki sambhavna kam ho jaati hai kyonki namak lungs ki gehraiyo me pahunch jaata hai. Kisi bhi room me rehte hai usi room me yeh salt dispenser use karne se kayam ke liye fayda hota hai. Hawa me namak failane se aur aise hawa ka shwas lene se dama ke mareez ka zindagi badal jaata hai..और पढ़े>>

TAGS:#asthma hindi #asthma treatment in ayurveda in hindi #dama ka ilaj #dama ka gharelu ilaj #asthma in hindi #dama ka desi ilaj/upchar #asthma ka ilaj in hindi #gharelu nuskhe for asthma in hindi

यह भी जाने

Read More >>
Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

0 Comments