आँखों की रौशनी बढ़ाने के उपाय - Eyesight Weak Treatment in Hindi

आँखों

Aankhon ki roshni badhane ke upay nuskhe tarike ilaj in hindi: Bhagwan ne hame aankh diye hai jo amulya hai. Jab aap kisi ko dekhenge jis ko drishti nahin hai aur kitna musibat sahan karta hai tab aap ko aankho ka importance realize hoga. Umar ke kaaran, sahi lifestyle na hone par aur aise kai kaarano se aankh kamjor ho jaati hai. Jaaniye kaise ankhon ki roshni badhaye hindi mein, aankhon ka ilaj in hindi aur yeh ankho ko swasth rakhne ke desi tips ka istemal kare.

आंखों की रोशनी बढ़ाने के घरेलू उपाय - Aankhon ki Kamzori ka ilaj in Hindi

  • Badam aur saunf ka upyog kare.
  • Trifla ka upyog kare.
  • Amla ka upyog kare.
  • Gajar ka juice pie.
  • Akhon ki exercise kare.
  • Akhrot ke tel se malish kare.
  • Sarson ke tel se sir ki malish kare.
  • Gulab ke panee se ankh dhoe.
  • Subah hari ghass mein tehle.

आँखों की समस्या

Ab jane ankhon ki bimari ke bare mein aankhon ki bimari in hindi. TV jyada dekhne se, computer par kaam karne se, smartphone ko chipke rehne se aur jyaada padhne se aankh kamjor ho jaati hai aur myopia ya hyperopia ho jaata hai jis ke falswarup chashme pehnne padte hai. Yeh prakriya se aankhon me paani bhi aane lagta hai. Umar badhte motiya hone lagta hai aur mas peshi kamjor hone se optic neuropathy ka shikar ho jaata hai. Kam neend ke kaaran aur fluorescent lighting me jyada samay gujarne se bhi aankho ki samasya khadi ho jaati hai. Yogya santulit aahar na ho to yeh ankho ke samasyao ka kaaran ho jaate hai. Aise hee ayogya aahar bhi eye problems khadi karti hai. Behtar to yeh hai ki koi samasya khadi na hone de. Ho hee gaya hai to yahan par bataye ankho ki roshni badhane ke tips amli kare aur dekhe kaise fayda hota hai. 

Ankhon ki Roshni Badhane ke Tips in Hindi

Alag alag tarike se aap apne ankhon ki roshni badha sakte hai aur lambi umar tak good eyesight enjoy kar sakte hai. Aankhon ke liye tips in hindi padhte rahiye aur janiye ankho ko tej karne ke upay in Hindi. 

शरीर और लहू को स्वच्छ रखे

Sharir me vish hoga to ankho par asar hoga. Agar aap hafte me ek din upvas kar ke ya to do din upvas kar ke detox kare to aankho ki roshni aur chamak badh jaati hai. 

आँखों का व्यायाम करे

Aankhon ke liye gharelu nuskhe mein ankhon ka vyayam kare. Aajkal students se leke adults, sabhi TV, computer screen ya to smartphone ko lambe samay tak dekha karte hai. Is se eyes muscles kamjor ho jaate hai aur chashma aa sakta hai. Office me bhi ya to studies me reading karte ho ya computer use karte ho to yeh vyayaam ankhon ke liye kare: 

  • Har ek ghante ko ankhon ko bandh kare. Hatheliyo ko ghise aur aankho par rakhe. Aisa 5 minute tak kare. 
  • Ankho ke samne  do ankhon ke beech me ungli khada kare. Dono ankho se yeh ungli dekhe. Ab aankho ko koi door ki cheez par focus kare. Aisa 10-20 baare kare. 
  • Ankho ko gol gol ghumaye, fir dahine-baaye aur fir upar neecha. 
  • Savere ke dhoop me suraj ko ankhon par padne de magar aankh bandh rakhe. Sirf panch minute kare to bhi aankho ka health bana rahega. 
  • Savere jaldi uth ke sooraj ke ugne se pehle nange pair ghas par hale jis par dew yaane osh ho. 

एक्यूप्रेशर करे

Acupressure se aap minus ke number, plus ke number, motiya aur glaucoma jaise taklifo se bach sakte hai aur agar ho gaya hai to improve kar sakte hai ankho ka condition. 

  • Jahan aankh naak ke paas hote hai vahan par anguthe se dabav daale ko aankh relax hoga aur sar ka dard, gardan ka dard aur kandho ka dard  bhi kam hoga. 
  • Jahan par bindi lagaya jaata hai us sthan par dabaav dale anguthe dwara aur gol ghuma ke maalish kare. Ankh khuli rakhe. Aankh relax ho jaayega. ]
  • Ankho ki tej banaye rakhne ke liye aur ankho ki taklifo se chutkara paane ke liye apne pairo ke angutho ke tips ko dabaye. 

आँखों के लिए देसी नुस्खे और जड़ी बूटी और आहार

Ankhon ki jitni dekhbhal karenge to itne lambe umar tak ankho ki roshni tej rahegi. Yeh ankhon ke tips try kare. 

  • Ankhon ke health ko banaye rakhne ke liye apne aahar me peele aur lal sabji jaise lal mirch, kaddu, papeeta, pakka aam, gaajar, red-yellow capsicum ko avashya khaye. In me vitamin C ke saath beta carotene hota hai jo aankho ki roshni banaye rakhta hai. Summer me pakke aam har roj khaaye. Anya season me papeeta aur kaddu khaaye aur winter me gajar har roj khaaye. Palak aur hare patte vali sabji, nuts aur fruits khane se antioxidants milenge. 
  • Pyaj aur lehsun ke khane se sulphur, cysteine aur lecithin milenge jis se motiya nahin hoga. 
  • Alsi ke beej me omega3 hota hai jis se macular degeneration nahin hoga. Akhrot khaye kyon ki us me bhi omega 3 hai jo ankho ko tej rakhta hai lambe samay tak. 
  • Kale angur aur kishmish khane se anthocyanin milta hai jo vision improve karta hai. 
  • Computer ke samne baith ke kaam karte ha to yeh eye care tip follow kare. Har 1-2 ghante ko aankho ko paani se dho de. Bahar ghumne gaye to baad me ankho mein paani chidake aur dhul mitti nikal de. 
  • Khaane me badam har roj khaye kyonki is me vitamin E aur omega fatty acid hota hai. 
  • Khane ke baad saunf khaye to motiya ka asar nahin hoga. 

आँखों का नंबर कम करने के लिए

Barso pehle ek doctor, Dr Bates ne nature cure upay dhoondha jis se ankho ke chashme ka number mit jaata hai. Yeh kathin hai. 

  • Chasma hatane ke upay mein eye exercise kare jaise upar bataya hai.
  • Saath me khaane me surf sabji aur fruits hee sevan kare. Tel aur namak ka bilkul sevan na kare. Uble hue sabji hee khaaye. 

Yeh paddhati se number kam ho na ho magar vision to jaroor improve hoga aur swasth bhi. 

आँखो की रोशनी बढ़ाए

Jab yoga poore sharir aur dimag ko fayda deta hai to jaroor ankho ke liye bhi yoga hai. Yeh yogi kriya ankho ke liye is prakaar hai. 

  • Panch minute tak aankho ko bandh kare aur khole teji se. 
  • Hatheliyo ko ghise garam hone tak aur bandh aankh par rakhe. 
  • Ankho ko ek side kare, samne ugnli rakh ke us par focus kare aur door ke cheez par. Ankho ko doosre side ghumaye aur yeh kriya kare. 
  • Ankho ko gol ghumate hue nazdik aur door ke cheezo ko dekhe. 

Yeh sab kriya karte samay jamin par baithe aur pair seedha rakhe aur ek haath ko muthi bana ke ghutne par rakhe aur bilkul sar seedha rakh ke saamne ki aur dekhe. Swas dheeme se andar bahar kare. Haatho ki adla badli karte hue yeh exercises kare.

Jab dhoop me ghume to sunglass avashya pehne. Yeh dhyan me rahe ki sunglass par kanch aise ho jo UV rays ko block kare kyonki kale glass hone se aankh jyaada khulti hai aur agar kanch me se UV kiran dakhil hote hai to yeh ankho ko nuksan karte hai. 

Yeh galat faimi hai ki agar number aaye hai aur chashma na pehne to number badhenge. Number vale chashme pehne to muscles kamjor ho ke fir chashme bina chalta hee nahin hai. 

Number aa jaaye is se pehle yeh ankho ke swasth banaye rakhne ke tips apnaye aur khas bachcho me aadat dale kyonki TV, gaming aur phone ke upyog se bachcho ko aaj kal number aa jaata hai.

TAGS: #aankhon ki roshni ke liye dua in hindi #home remedies chashma hatane ke gharelu upay #

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

8 Comments

मैना पूरी, Jan 23, 2018

आँखों की रोशनी बढ़ने के उपाय और नुस्खे किया हैं इसके कोई टिप्स आपके पास हों तो मुझे आवश्ये हि बताएँ

रश्मि , Jan 20, 2018

आँखों को रोशनी बड़ाने के उपाय नुस्खे और तरीके किया हैं इसके मुझे टिप्स भी दें|

Ritvik, Jan 14, 2018

This is not interesting as i think sorry please tell me another one.

गौकुल , Nov 14, 2017

आँखों की रोशनी बढ़ाने के उपाय और नुस्खे किया हैं और यह भी बताएँ की इससे किस तरह से हम अपनी आँखों की रोशनी को बढ़ा सकते हैं|

मनीष कुमार, Nov 06, 2017

मेरी आँखो में आँसू आते हैं ओर खुजली भी होती है इसकी वजह से मेरी आँखो की रोशनी कम होती जा रही है इसको बढ़ाने के लिए कोई तरीका या उपाय बताएँ जिनसे मेरी आँखो की रोशनी बढ़ जाए|

deepa, Jul 19, 2017

main 23 years ki hu main job karti hu din bhar mujhe system par kaam karna hota hai aap plz koi aisa tareka btaye jisse meri aankho ko koi problem na ho aur mere sir main dard bhi hota hai plz jaldi reply kre

Niđhi kumari , Jun 25, 2017

Meri aakho se kam dikhta h padhne se mai kya karu rosni badhane ke lie mere aakhe 6/32, 6/24 h bahut se doctor ko dikhai but kuch faede nhi h mujhe kya karna chahie

lalita sharma, Apr 02, 2017

meri eyes ka number 6:50 h m kya kruuuuu

 

Sahil, Jan 09, 2018

Haan meri bhi hai 6.50 mujhe kiya karna hai please bataiye.

 

Deepak singh yadav, May 28, 2018

mere dosto meri bhi ankhe kamjor h aur ab mai ek eye drof use karna chahta hu jiska name h aisotein aap bhi use kar sakte h