अंजीर के गुण व फायदे - Anjeer (Figs) Ke Fayde aur Nuksan in Hindi

अंजीर

Anjeer (Fig) Benefits and Side effects in Hindi, Anjeer ke Fayde aur Nuksan in hindi : Anjeer yaane figs poshan ka amulya bhandar hai. Pakke, taaje anjeer to sirf sardiyo me dikhai dete hai magar sooke anjeer to aap poore saal bhar kha sakte hai. Jaaniye anjeer ke fayde in Hindi aur banaye ise apne rojinde aahar ka hissa.

अंजीर के फायदे व उपयोग - Health Benefits of Anjir in Hindi

  • Pachan tantra majboot kare.
  • Wajan kam kare.
  • Hypertension control kare.
  • Dil ko majboot kare.
  • Haddiyan (bones) majboot kare.
  • Diabetes walon ka lie anjeer fibre ka achcha sarot hai.
  • Anemia door kare.
  • Gale ka dard kam kare.
  • Asthma ke mareez anjeer ke patte ka sewan kare.
  • Anjeer shareer ko takat detee hai.
  • Sardi jukam ko theek kare.
  • Kamer aur sir ka dard theek kare.
  • Kabz theek kare.
  • Anjeer breast cancer hone se rokta hai.
  • Kidney stone se chutkara pane ke lie eska sewan roz kare.

Anjeer ke Poshak Tatva - अंजीर के गुण और लाभ

Anjir ke gun us me rahe fiber aur anya poshak tatvo se hai. 100 gram sooke anjeer me sirf 249 calories hai, 3.3 gram protein, 0.9 gram fat, 69 gram carbohydrate aur 5.6 gram fiber. Vitamin B6 4%, copper 3%, manganese 3%, potassium 3% aur pantothenic acid 3% milenge aap ko ek fig me se. Ansh maatra me hai Vitamin B1, B2, B3, Choline, folate, Vitamin C, Vitamin A, Vitamin K aur Vitamin E. Yeh calcium ka bhandar hai aur ansh maatra me phosphorus, selenium aur zinc bhi is me se paaya jaata hai. Ager fresh anjeer na mile to dried figs ka upyog kar sakte hain. Ghar me hamesha dry figs rakhe yeh energy aur nutrition se bherpoor hota hai aur khas ker mahilon ke lie eslie anjeer ke faide uthaye. Bas 2-3 sooke anjeer khaaye aur rahe tandurast. 

Anjeer ke Fayde in Hindi - अंजीर के फायदे

Anjeer ke benefits in hindi: Hum sab anjeer khana to pasand kerte hai hai per yeh nahi jante ki Anjeer ke fayde kya hai?? Anjir ke fayde anek hai. Anjeer ke labh hindi me jane to bahut hai bas thodisi maatra bhi khaaye to aap ko avashya laabh hoga. 

  • Anjeer khane ke faide in Hindi kahe to yeh aap ke pachan tantra ko sudhar deta hai aur aap ko jo jaroori potassium hai voh mil jaata hai. Potassium se cells ki karyakshamta badh jaati hai aur dil bhi majboot bana rehta hai. 
  • Anjeer ke fayde in Hindi bataye to yeh potassium yukt hai aur sodium ko balance kar ke uchch raktchaap ko kam kar deta hai. 
  • Anjeer khane ke fayde aap ke haddiyo ko bhi milta hai. Calcium se bhara anjeer haddiyo ko majboot bana deta hai. 
  • Gale me kharaash ho to anjeer ke fayede hai. Bas, ise doodh me daal ke ubale aur chaba ke khaale. Sardi jukam theek ho jaega.
  • Anemia me anjeer ke gun hindi me jaaniye. Doodh me anjeer bhigo ke khaaye to yeh shikayat nahin rahegi. 
  • Anjer benefit Hindi me jaaniye kamar dard ke liye. Pakke anjeer ke chilko ko pees ke sarson ke tel me mila ke kamar par maalish kare to kamar dard theek ho jaayega. 
  • Angir ke fayde vajan kam karne me bhi hai. Fiber is me khoob hai aur thode angir jo kha liye to bhook kam lagega. Pet bilkul saaf hoga aur kabz ki shikayat door ho jayegi. 
  • Anjeer benefits in Hindi diabetes ke mareej ke liye bhi hai. Anjeer ke fal ke badle anjeer ke patte ka churan ka sevan kare to blood sugar kam ho jaata hai. Saath me cholesterol level kam ho jata hai aur cancer ke samne bhi suraksha milta hai anjeer ke patte ka sevan karne se. 
  • Benefit of Anjeer fruit in hindi bataye to aankho ke liye bhi yeh behtreen upay hai. Anjeer me vitamin C, A aur E ke saath alpha aur beta carotene hai jo aankho ki tandurasti banaye rakhte hai. 
  • Anjeer ya dry figs ka faida un ko bhi hai jo bavasir se pareshan hai. Khaali pet anjeer ko khaa le aur gunguna paani peeye to mal tyag aasaani se ho jaata hai. 
  • Anjir ke fayde tvacha ke liye bhi hai. Kachche anjir se nikalta doodh ko tvacha par lagane se tvacha rog ka naash hota hai. Pakke anjeer badaam aur khajur ke saath khaye to khujli aur chamdi ke rog mit jaate hai.

Anjeer ko Kaise Khaye

Alag Anjeer ke fayde or benefits in hindi paane ke liye alag tarike se anjeer ko khaaye. 

  • Anjeer khane ke tarike in Hindi kahe to kabz door karna hai to anjeer ko doodh me ubal ke raat ko khaaye. Raat ko sooke anjeer bhigoye aur savere khali pet kha le to bhi pet saaf ho jaata hai. 
  • Anjir ke faide agar paana hai durbalta me to anjir ko saunf ke saath mila ke achchi tarah chaba ke khaaye 2 mahino tak. 
  • Anjeer khane ka tarika in hindi shakti badhane ke liye jaaniye. Doodh me ubal ke khaye. Ghee ke anjeer ke tukde seke aur khaaye. 
  • Lahu shuddh karne ke liye anjeer ko munakke ke saath doodh me ubal ke khaaye. 
  • Takat badhane ke liye anjeer aur badam pani me ubale aur fir kesar, chironjee, pista, kaju aur ghee mila ke 8 din tak rakhe aur fir khaye. 
  • Jeeb soojh jaaye to sookhe anjeer ka kadha mooh me ghumaye. 
  • Anjir aur gorakh imli ko pees ke har roj savere 5-10 gram khaaye to shvas rog me fayda hoga. 
  • Sharir me garmi ho to pakke anjeer me cheera kar ke chini bhar de raat ko aur savere khaaye. 15 dino me taja garmi kam ho jaati hai. 
  • Agar shardi jukham ho jaaye to anjeer ko is tarah upyog kare. Paani me ubale aur yeh paani garam garam peene se shardi kam ho jaati hai. 
  • Paani me anjeer ubale aur yeh paani se kulle karne se masudhe me dard or khoon ka behna kam ho jaata hai. 
  • Pakke anjeer ko paani me ubal ke yeh paani peene se khansi ka shaman hota hai. 
  • Prasav vaqt hote peeda se bachne ke liye anjeer ko doodh me mila ke sevan kare. 
  • Asthma (dama) se peedit ho to anjeer ko raat ko bhigoye aur subah chaba ke khaaye. 

Anjir ke fayde paane ke liye ghee ke saath ya doodh ke saath khaaye. 

Anjir Ayurvedic Nuskhe Pet ke Liye

Jaaniye anjir ayurvedic nuskhe pet ke liye. 

  • Guda chir gaya hai to anjeer sookhe le, is me 100 gram nishoth milaye, 50 gram saunf, kutki 50 gram, punarnava 50 gram aur in sabhi ko koot ke paani me ubale aur paani kam hone par chini milaye aur yeh sharbat har roj 15 din tak peeye. Yeh anjeer ke gharelu nuskhe mein se guda cherna theek kerne ka sabse asaan nuskha hai.
  • Bavasir me anjeer ko paani me bhigoye aur phir es pani ka sevan kare  bavasir ko theek kerne mein anjeer fayde deta hai.
  • Agar agni mand ho gayi hai, bhook nahin lagta hai aur khaana paachan nahin hota hai to anjeer ko sirke me bhigo ke khaaye. 
  • Anjeer paani me mila ke ubale aur peeye to kabz door ho jaata hai. 

Anjeer ke Nuksan in Hindi

Yahan ab anjeer ke side effects in hindi mein jane:

  • Sahi maatra me khaye to anjeer ke fayde bataye to anek hai. Magar is me oxalate bhi hai to jyaada khaane se dast ho jaata hai aur pathri hone ki sambhavna rehti hai. 
  • Anjeer pachne me bhaari hote hai isiliye kam kaatra me hee khaaye nahin to gas ho jaata hai. 
  • Adhik maatra me khaane se aant ko aur yakrut ko nuksan hota hai. 
  • Anjeer hota hai meetha magar jyaada khaane se blood sugar level down ho jaata hai. 
  • Anjeer jyada khaaye to sun sensitivity badh jaata hai aur surya kiran se tvacha ko damage ho ke jhurriya pad jaati hai aur skin cancer bhi ho sakta hai. 
  • Jyaada anjeer khaaye to internal bleeding ho sakta hai. 
  • Jo log allergic ho to anjeer ke fayde ke badle unhe nuksan hota hai aur allergy jaise ki asthma ho jaati hai. 

Anjeer dry fruit benefits in Hindi aap ne jaan liya. Anjeer ke nuksan bhi aap ko maloom ho gaya. Bas har roj ya hafte me 3 baar anjeer khaate rahe aur rahe swasth.

TAGS:#figs nutritional value #are figs good for diabetics #figs health benefits #fig fruit #figs benefits #benefits of figs #anjeer dry fruit #dried figs health benefits #benefits of anjeer in hindi #anjeer ke fayde batao in pregnancy #anjeer/anjir dry fruit benefits in hindi #anjeer for weight loss #benefits of anjeer for skin #anjeer ke gharelu upay/nuskhe/upchar in hindi

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

3 Comments

साक्षी , Aug 22, 2017

अंजीर खाने के फ़ाएदे मुझे नहीं पता थे लेकिन मेरे मोटापे को कम करने में ये मामूली से अंजीर ने बहुत हेल्प की जिससे मेरा वजन पहले से कम हो गया अंजीर खाने के फ़ाएदे बहुत हैं जैसे मुझे नहीं पता था आपके ये घरेलू नुस्खे से मुझे पता चला आप ऐसे ही टिप्स लिखते रहिए कियुंकी आपके ये घरेलू नुस्खे रीड करना मुझे बहुत पसनद हैं|

Sunita , Jun 09, 2017

Anjeer ko doodh main ubal kar chaba 2 kar khaane se gale ki kharash se aaram milega.

Roji, Jun 07, 2017

Anjeer ke upyog se utch raqtchaap ko rokega & wazan bhi kam karega