Benefits of Pomegranate Juice in Hindi (अनार रस के फायदे) : Falo ke ras me anar ras ka ek alag sthan hai. Aam ka ras swadisht aur madhur jaroor hai, ananas ka ras khatta meetha hai aur santre ka ras bhi khatta meetha hai. Anar ka ras meetha aur khatta hai aur us me thodas tura swad bhi aata hai jis se voh ek alag shreni me hai. Swasth ki drashti se bhi anar ka juice vishisht hai. Health benefits of pomegranate juice bejod hai jo aap aage padhte rahiye aur jaaniye anar ke juice ke fayde aur apnaye ise apne jeevan mein.
अनार रस के पोषक गुण - Pomegranate juice nutrition facts in hindi
Pomegranate uice nutrition facts me jaaniye ki anar poshak tatvo ka bhandar hai. Is me se aap ko milenge thoda protein, thoda fat, carbohydrate, vitamin B group ke vitamin, vitamin K aur C, potassium, zinc, phosphorus aur copper. Saath me hai karib 100 alag polyphenol jaise punicic acid, punicalagins jo sharir me se vish bahar nikal de aur granatin B. Saath me tannin bhi hai. Vish nikal ne ka sakshamta naapi jati hai ORAC value se aur anar ke ras ka naap hai 2341 micromol TE/prati 100 gram me yane ki yeh anya fal se bhi jyada hai. Kyonki beej me aise reshe hai jo pachan me bhaari hai to anar ka juice ka sevan karna uttam hai. How to make pomegranate juice? Yeh tarike bhi jaaniye.
अनार का रस कैसे निकले - How to make anar juice in hindi
Health benefits of pomegranate juice paane ke liye pehle anar ka ras nikalna hoga. How to make pomegranate juice bilkul saral hai. Yeh paddhati apnaye:
Yeh taiyar hua pomegranate juice. Aise hee peene me maza hai. Saath me upar jeera ya kala mirch aap chahe to dale magar chini ke saath mila ke kabhi bhi sevan na kare agar anar ke juice ke fayde chahte hai. Anar ka ras aap chahe to safed-gulabi anar me se nikale ya to lal kandhari anar me se. Best pomegranate juice jis me poshtik aur swasth vardhak tatva hai to yeh lal anar me se milenge. Padhiye aage aur janiye pomegranate juice benefits in Hindi. When to drink pomegranate juice? Pratah kaal yeh anar ka ras piye to rasayan ka kaam karta hai aur sab se jyada fayda hota hai. Anar ka ras peene ke baad doodh, chai, coffee na piye.
अनार रस के उपयोग - Use of pomegranate juice in hindi
Uses of pomegranate juice ki baat kare to yeh ek lijjatdar paye hai. Yahan Bharat me to jyadatar sir aise hee pee lete hai anar juice ko. Iran aur Middle East me anar ke ras ko ubal ke anya padarth ke saath mila ke vyanjan me upyog me liya jaata hai. Israel me anar ki kheti khoob hoti hai aur anar ka ras nikal ke wine banaya jaata hai jo ki bahut mashoor hai. Anar ka ras aap pee sakte hai aur apne balo me aur tvacha par lagaye to fayda hota hai.
अनार रस के फायदे वजन कम करने के लिए - Pomegranate juice benefits for weight loss in Hindi
Benefits of pomegranate juice in Hindi vajan kam karne ke liye kai hai. 100 gram juice me sirf 83 calories hai magar yeh poshtik tatvo se bharpur hai. Is me rahe polyphenol tatva vasa ko niyantran me rakhte hai. Triglyceride vasa ko yeh kam karta hai, LDL cholesterol ko kam karta hai aur HDL yane good cholesterol ki maatra badha deta hai. Pachan sudhar jaata hai, sharir me se vish nikal jaata hai aur parinam yeh hai ki vajan kam karne ke prayas me aap safal rahenge.
अनार रस के फायदे पुरुषो के लिए - Pomegranate juice benefits for men in hindi
Dil, dimag, rakt vahini ke liye pomegranate juice benefits anek hai. Saath me pomegranate juice benefit for men kuch alag aur vishesh hai:
त्वचा के लिए अनार का रस - Pomegranate juice for skin in hindi
Sirf anar ke ras me aise tatva hai jo tvacha ke liye behad labhkari hai. Anar ke juice ke fayde tvacha ke liye kuch is prakar hai:
बच्चो के लिए अनार दाने का रस - Pomegranate juice for babies in hindi
Kyonki anar ke juice ke fayde itne hai to aap sochenge ki chote babies ko kyon na de. Jaroor pilaye pomegranate juice apne nanhe munhe ladle ko. Magar 8 mahine ke baad.
अनार का रस रखे यकृत मजबूत और तंदूरस्त - Pomegranate juice for liver in hindi
Anar ke ras me hote hai vish pratirodhak rasayan aur yeh rasayan yakrut ki karyakshamta badha dete hai. Yakrut vasa ko niyantran me rakh sakta hai. Jinhe sharaab peene ke aadat hai to pomegranate juice se yakrut ka nuksan kam hota hai.
माहावारी के समय अनार के रस के फायदे - Pomegranate juice for periods in hindi
Mahavri ke samay bahut sare mahilao me dard hota hai jo peeda se mukti ke liye pomegranate juice ka sevan karna chahiye. Mahavri ke samay savere anar ka ras ek cup piye to taklif kam hoti hai.
वजन बढ़ाने के लिए अनार का रस - Pomegranate juice for weight gain in hindi
Benefits of anar juice vajan badhane ke liye bhi uplabdh hai. Yeh kaise? Anar ke ras se pachan sudhar jaata hai, poshtik tatva milte hai, vish sharir se nikal jaata hai, maspeshiyo me navchetna aa jaati hai aur anar ka ras rasayan bhi hai. Parinam yeh hai ki sharir naye mas peshi ke nirman ka karya saralta se karta hai aur khurak ko achchi tarah se istemal kar ke vajan badhane me sahayak hota hai anar ras ka sevan.
मधुमेह मे अनार का रस - Pomegranate juice for diabetics in hindi
Anar ke ras me hote hai vish nivaran tatva aur tannin jo madhumeh ke rogi me insulin ka upyog karne ki shakti badha deta hai. Saath me yeh LDL cholesterol aur triglyceride ko niyantran me rakhta hai aur lahu me sharkara ko kam kar deta hai. Savere khali pet 100 ml anar ka ras piye to madhumeh ke rogi din bhar sfurtile rehte hai.
अम्लपित्ता मे अनार का रस - Pomegranate juice for acidity in hindi
Jinhe amlapitta (acidity) ki shikayat hai to anar ka ras ka sevan kam kare kyonki anar ka ras me acidity jyada hota hai.
खाँसी मे अनार का रस - Pomegranate juice for cough in hindi
Khansi ho jaaye to goli ki jaroorat nahin hai. Anar ka ras le aur is me shahad, chutki dalchini, chutki kali mirch aur chutki mulethi churna mila ke peeye to soojhan kam hoga jis soojhan khansi ki vajah hai. Dimag ko bhi shant kar ke yeh khansi ka shaman karta hai.
अनार का रस बवासीर के मस्से के लिए - Pomegranate juice for piles in hindi
Jinhe bawaseer kr masse ki taklif hai voh anar ka ras piye aur saath me anar ke chilke ka bhi ras piye aur masse par lagaye. Khoon nikalta ho to har roj 2 cup anar ka ras piye.
दिल की तंदूरस्ती के लिए अनार का रस - Pomegranate juice for heart in hindi
Lambi umar tak dil ko majboot banaye rakhna hai to har roj anar ka ras piye. Anar ka ras dhamniyo ko majboot banata hai, is ke bheeter ke diwal par vasa ko chipakne nahin deta hai, LDL cholesterol ki maatra kam karta hai aur HDL cholesterol badha deta hai. Athesclerosis ko door rakhta hai. Khoon ka bahav sudhar jaata hai agar roj anar ka ras ka sevan kare to.
गर्भवती महिला के लिए उत्तम अनार का रस - Pomegranate juice during pregnancy in hindi
Garbhvati mahila ko anar ka ras avashya peena chahiye. Is me hai loha tatva aur folic acid jo bhrun ke vikas ke liye jaroori hai. Anar ka ras peene se bhrun ka tantra pranali ka sahi vikas hota hai. Vitamin C aur Vitamin K anar ke ras me paryapt maatra me hai jis se bhrun ki haddiya majboot hoti hai aur mas peshiyo ka sahi vikas hota hai. Pet me palte bachche ka dimag ka bhi tej vikas hota hai anar ke ras ke sevan se. Bachche ko janam dene ke samay bhi anar ka ras peene se labour aasaani se ho jaata hai. Garbhavasta me mahilao ka rakt chaap uchch ho jaata hai jo anar ka ras niyantran me rakhta hai.
नवजात शिशु को दूध पिलाने वाली माता के लिए अनार का रस - Pomegranate juice during breastfeeding
Jo maata khati hai to vahi us ke bachcho ko us ke doodh dwara milta hai. Anar ke sabhi poshak tatvo ka fayda doodh peete bachcho ko dena ho to maata ko avashya anar ka sevan karna chahiye. Chote navjat shishu ko doodh pilati maata ke liye anar ka ras amrut hai aur yeh pet ki taklif, anemia, aur dant ki taklif se bachaye rakhta hai. Maata ko poshan milta hai, tandurast rehti hai aur bachcha bhi.
बुखार में अनार के जूस का प्रयोग - Pomegranate juice during fever in hindi
Health benefits of pomegranate juice in Hindi bataye to bukhar ke samay bhi anar ka ras faydemand hota hai. Pomegranate juice yane anar ke juice ke fayde bukhar dauran yeh hai ki is me keetanu nashak gun hai, pratirodhak takat badhati hai aur bukhar me teji se aaraam dilati hai. Ek cup din me do baar de mareez ko aur dekhe kitna anar ka ras ka fayda hota hai bukhar mein.
सर्दी जुखाम मे अनार का रस - Pomegranate juice during colds
Anar ke ras me dher saare antioxidant tatva hai aur yeh shardi ho jaaye to kaam me aate hai. Jinhe shardi ho jaye voh garam pani me anar ka ras kali mirch mila ke peeye to fauran balgam nikal jayega, soojhan kam hoga aur raat milegi.
अनार जूस के नुकसान - Pomegranate juice side effects in hindi
Anar ke ras me hai bahut hee shaktishaali rasayan aur poshak tatva. Is ka matlab yeh hai ki hamesha anar ka ras seemit maatra me sevan kare nahin to benefits of anar juice ke badle side effects of anar juice ka aap ko anubhav hoga:
Best pomegranate juice voh hai jo laal bilkul pakka, bade size ke anar me se nikala ho aur taaja sevan kiya jaaye. Anar ka juice ke fayde uthane ke liye seemit maatra me khali pet har roj savere piye. Dawai lete ho koi bimari ke liye to doctor ki salah suchan se anar ka ras peeye....और पढ़े >>
Neerja Singh , Oct 16, 2017
Main roj subah uth ke ek glass anaar ka juice peeti hun isse mujhe kaafi taqat milti hai aur saath hi fresh bhi mehsus karti hun.
Shalini Jain , Oct 12, 2017
Anar ka juice hamare sharir mai blood level ko control karta hai agar kisi ko blood ki kami hai to aap anar ka sevan karna start kar den
Govind, Oct 11, 2017
Mujhe pehle bahut khansi hoti thi jab maine aapke yeh anar ke juice ke benefits padhe to mujhe pata chala ki anar ke juice se khansi chali jaati hai to maine 15 din anar ka juice piya or iska laabh uthaya.
Gurmeet Kaur , Oct 10, 2017
Jaisa ki maine suna hai ki anar ka ras cancer ke khatre ko kam kar deta hai aisa kiya sach mai hota hai please aap mujhe batayen.
Anshul , Oct 09, 2017
Anar ke juice mai bahut mehatavpurn tatv hote hain aur iske juice ka roj sevan karne se chehra ka rang saaf hota hai aur rangat aati hai.
Parvez Alam, Oct 06, 2017
My hemoglobin is very low last time that was only 6. Can you please tell me pomegranate juice can help to increase the hemoglobin level please tell me the right way to increase level of hemoglobin.
Karan Sharma , Oct 04, 2017
Anar juice ke fayede aur nuksan kamal ke likhe hain aapne apne article mai inme se kiye sare fayede aur nuksan to aise hai jinke bare mai mujhe idea bhi nhi tha
वीरेंदर बिंदल, Sep 27, 2017
अनार के दाने खून का लाल कण बढ़ाते हैं जिससे हुमारे शरीर मे एनर्जी आती है अनार के दाने शरीर के लिए बहुत फ़ाएदेमंद है ओर इससे खून भी बनता है यह हार्ट के मरीज के लिए बहुत अच्छा होता है मैने ये आपके बेनिफिट्स ऑफ पोमेग्रनेट बहुत हि अच्छा है
दविंदर कुमार , Aug 19, 2017
हेलो सर एंड मैडम मैं खाली पेट अनार का जूस पी रहा हूँ मुझे इसके फ़ाएदे और नुकसान बताएँ
Sonu, Aug 11, 2017
anaar khane se kabzi ho jaati hain kuch solution batayen mereko waise bhi khoon ki kami rehti hai
roja , Jul 20, 2017
hello mam or sir main 21 years ki hu mujhe anemia ka problem hai kya aap mujhe ye bta sakte hai ki mujhe anar khane se ya chukandar khane se jaldi recovery hogi
moni, Jul 15, 2017
hello muje nhi pta tha ki anar ke itne fayde hai thanks to dadi maa ke desi gharelu nuskhe in hindi jisne mujhe itne sare fayde btaye hai
Durgesh, Nov 10, 2017
Thanku so much for your help given to me