अनार के फ़ायदे, अनार के स्वास्थ्य लाभ - Pomegranate Benefits in Hindi

अनार

Pomegranate Benefits in Hindi (अनार के फायदे) : Purane Iran me aur aaj bhi vahan par anar ko jannat ka fal maana jaata hai. Anar yaane pomegranate to aise hee khaya jata hai aur is ka ras ko ubal ke kai aise swadisht vyanjan me upyog kiya jaata hai. Yahan par India mein bhi anar ko khaya jaata hai magar vyanjan mein paka ke khane ki pratha kam hai. Jaaniye anar ke fayde in Hindi me aur upyog kare ise har roj. Kaafi fayda rahega swasth ke liye. 

1. अनार क्या है?  - What is Pomegranate in Hindi
2. अनार के उपयोग - Uses of Pomegranate Fruit in Hindi
3. अनार के औषधीय गुण - Pomegranate Nutrition in Hindi
4. अनार कैसे खाए - How To Eat Pomegrante Fruit in Hindi
5. अनार के फायदे  - Anar Ke Fayde in Hindi

अनार क्या है?  - What is Pomegranate in Hindi

Pehle jaaniye what is pomegranate in Hindi. Anar ko english me kya kehte hai? Anar ko English mein pomegranate kehte hai aur is ka latin naam hai Punica granatum L. Alag bhasha me alag naam hai jaise ki Grenade, Chinese apple aur dalima. Is ka ped karib 10-12 foot ki unchai ka hota hai aur yeh golakar fal hai jis ke upar toora kadva chilka hai aur andar dane hai jise anar dane kehte hai aur yehi khane me liya jaata hai. Chilke ke bhi kai upyog hai aushadh ke roop me aur kapde ko rangne ke liye. Anar do prakar ke hote hai. Ek ke andar dane safed ya halke gulabi hote hai aur doosre me chilka bhi laal hota hai aur daane mi laal hote hai jise kandhari anar kehte hai. Anar se judi prachain kaal se kai aise katha hai jaise ki anar amar jindagi deta hai aur Egypt me jab kisi ko dafnaya jaata tha to un ke saath anar bhi dafna dete the. Greece me shaadi byah me anar ka khulla upyog hota hai. Anar shubh maana jaata hai aur is ka fool prem ka pratik hai. Jaaniye anar fruit benefits in Hindi aur pomegranate fruit me rahe poshak tatvo ke baare main. 

अनार के उपयोग - Uses of Pomegranate Fruit in Hindi

  • Anar ke daane khaane me upyog kiya jaata hai. Aise anar khaye to bhi swasth vardhak aur swadisht hai. Tvacha ke liye aur baalo ke liye bhi uttam hai anar ras. 
  • Anar ke daane me se ras nikala jaata hai aur fresh piya jaata hai. Israel me ek kism ke anar me se anar ka wine yane anar ka sharaab banaya jaata hai aur lokpriya hai. 
  • Anar dane ko suka ke powder kiya jaata hai aur anar powder ko anya tatva ke saath mila ke Paachak goli ki tarah bikta hai. 
  • Anar ka ras ubal ke ek chatni jaisa banaya jaata hai. 
  • Anar ka chilka aushad gun vala hai. Chilke ko kapde rangne ke upyog me bhi liya jaata hai. 

अनार के औषधीय गुण - Pomegranate Nutrition in Hindi

Anar me dher sare poshak tatva hai. 100 gram anar me se milega: Protein 0.95 gm,Fat 0.3 gm, Fiber 0.6 gm, Sugar 16.57 gm, Carbohydrate 17 gm, Vitamin B3 0.3 mg, Vitamin B2 0.063 mg, Vitamin B1 0.03 mg, Iron 0.3 mg, Calcium 3 mg, Vitamin C 6.1 mg, Vitamin B9 6 mg, Vitamin B6 0.105 mg, Vitamin B5 0.596 mg, Magnesium 3 mg, Phosphorus 8 mg, Zinc 0.12 mg, Potassium 259 mg.
Punicic acid, punicalagin – yeh dono tej antioxidant hai. 

Is ke alava anar me anya antioxidant tatva hai jo ki green tea ya red wine se bhi adhik uttam hai. Anar fruit me se milega tannin jo toora hai aur soojhan kam karta hai. Pelletierine tatva beej aur chilke me hai aur krumi nashak hai. Anthocyanin cancer se ladte hai aur badhti umar ko rokte hai. Punicic acid tvacha par jhurriya hone par rok lagati hai. Pomegranate seeds yane anar sab se uttam antioxidant hai. Chahe ras piye ya dane chaba ke khaye. Ucch koti ke antioxidants hone ke karan nutritional value of pomegrante bahut umda maana jaata hai. Anar rasayan hai aur sharir me amla kam kar deta hai aur saath me soojhan bhi. 

अनार कैसे खाए - How To Eat Pomegrante Fruit in Hindi

अनार खाने का तरीका yeh hai ki Pakka anar ka hee upyog kare. 

  • Upar ke chilke ko nikal de aur patle andar ke chilke alag kar de.
  • Anar ke daane chabaye aur jo bacha hai beej ke bhaag use thoonk de kyonki is me hai padarth jo asani se pachte nahin hai. 
  • Pet me krumi ho, dard ho ya aant me taklif ho ya dast ho to chilke ko bhun ke powder bana ke chaach ke saath sevan kare. 

Pomegranate powder yane anar dane ka churna ko chini ke sath mila ke goli bana ke pachan ke liye khaya jaata hai aur anar dana powder ko curry banane me upyog kare to swad anokha milta hai, khas kar ke mutton curry. Is churna ka upyog fruit juice me, soup me, ice cream me, salad me upyog kare to pomegranate health benefits sabhi milenge. 

Aage padhte rahiye aur janiye anar benefits in Hindi

अनार के फायदे  - Anar Ke Fayde in Hindi

त्वचा के लिए अनार के उपयोग - Pomegranate Benefits For Skin in Hindi

  • Anar me hai vitamin C, E aur A jo tvacha ko jhurriya se bachaye rakhti hai. 
  • Anar ka ras peene se aur tvacha par laga ne se tvacha ka telipana kam hota hai aur muhase kam hote hai. 
  • Anar me lahu tatva jyada hai to peene se ya khane se aur tvacha par lagane se tvacha me lahu ka sanchar sahi hota hai aur tvacha me tajgi bhar aati hai aur mulayam ho jaati hai. 
  • Tvacha par lagane se mel nikal jaata hai, mrut koshika nikal jaati hai, tvacha ko poshan milta hai aur tvacha hara bhara jawan rehte hai. Is me rahe tatva collagen ka nash hone se bachaye rakhte hai aur koshika ke vikas me sahayak rehte hai. 
  • Punicic acid se rakshan milta hai aur tvacha namiyukt rehti hai jo rukhi tvacha me khas faydakarak hai. 

अनार के फायदे त्वचा के लिए - Pomegranate Skin Benefits in Hindi

  • Daag dhabbe nahin padte hai aur pad gaye hai to anar ke upyog se nikal jaate hai. 
  • Dhoop se hote nuksan se bachaye rakhta hai anar. 
  • Tvacha ko cancer se surakshit rakhta hai anar me rahe ellagic acid tatva. 
  • Anar me rahe polyphenol tatva soojhan kam kar dete hai aur sankraman mita dete hai.
  • Anar ke beej ka tel lagane se tvacha ki daraar aur rukhi tvacha se chutkara milta hai. Yeh tel se psoriasis aur eczeme bhi mit jaati hai. 

गर्भावस्था मे अनार के फायदे – Pomegranate Benefits During Pregnancy in Hindi

  • Mahilao ke liye bhi pomegranate health benefits anginat hai. Health benefits of pomegranate khas kar ke garbhvati mahilao ke liye kai hai. 
  • Har roj anar ka ras garbhvati mahila sevan kare to pomegranate nutrition aur pomegranate vitamins to milte hee hai magar aur bhi fayde hai. 
  • Anar ke ras me hai khoob lahu tatva aur saath me folic acid jis se pet me rahe bachche ka vikas sahi hota hai. 
  • Garbhvati mahilao me ulti aur mitli yeh aam shikayat hai. Har roj anar fruit khane ke fayde in Hindi kahe to ulti bahut kam ho jaati hai. 
  • Ek aur anar fruit benefit hai ki garbh me rahe bachche ke dimag ka vikas sahi hota hai aur us ko koi nuksan nahin hota hai. Us ko khoon paryapt matra me milti hai. 
  • Premature birth yane akal janm hone ki sambhavna kam ho jaati hai. 
  • Garbhvati na ho to bhi pomegranate health benefits mahilao ko mahavri ke samay hone vali peeda se chutkara dilati hai aur jin ko menopause ka daura shuru hua hai to bhi raahat milti hai is ke lakshan se. 
  • Lahu tatva paryapt matra me hone se anar har ek mahila ko anemia se bachaye rakhti hai. 
  • Breast cancer se rakshan milta hai anar ke sevan se. 
  • Mahilao ko trichomoniasis sankraman ho jaaye to anar ras ke sevan se yeh door ho jaata hai. 

अनार के गुण वजन कम करने मे सहायक – Pomegranate Benefits for Weight Loss in Hindi

Aap safed anar khaye ya lal kandhari anar, yeh aap ko vajan kam karne me aur vajan niyantran me rakhne me sahayak hai. 

  • Cholesterol aur triglycerides kam kar deti hai
  • Pachan sudhar jaata hai anar ke sevan se
  • Lahu ka sanchar theek ho jaata hai
  • Sharir me se vish nikal jaata hai
  • Anar ke beej ka tel aur xantigen aur brown algae ka upyog kare to vajan kam hone lagta hai.

In sebhi karyo se pomegranate health benefit yeh hai ki vajayan kam hota hai ya to niyantran me rehta hai. Savere ek ya adha glass anar ka ras piye. 

अनार के फायदे छोटे बच्चो के लिए - Benefits of Pomegranate For Babies/Toddlers in Hindi

Health benefits of pomegranate chote bachcho ke liye bhi khoob hai. Is me hai uttam Vitamin B group ke vitamin, Vitamin C aur E; aur saath me loha tatva aur folic acid. Anar pachak bhi hai aur bhook badha deta hai aur saath me pet me se krumi ko bhi nash kar deta hai. Dast ho jaye to anar ke ras se bina kisi nuksan se dast bandh ho jaata hai bachcho me anar ke ras se. 

अनार के औषधीय गुण वीर्यावर्धक है - Benefits of Pomegranate for Sperm in Hindi

Iran me sadiyo se anar ko paurush badhane vala mana jaata hai. Health benefits of pomegranate for men yeh hai ki anar ka ras agar niyamit roop se le to shukrani umda hote hai aur shukranu ki maatra bhi badhti hai aur anar viryavardhak bhi hai. 

मधुमेह मे अनार के फायदे - Benefits of Pomegranate for Diabetes in Hindi

Benefits of anar in Hindi madhumeha ke mareez ke liye bhi hai. Is ke ras me rahe antioxidant tatva LDL cholesterol ka shoshan par rok laga deta hai aur sharir ke pratirodhak koshika aur majboot ho jate hai aur aage jaake jo atherosclerosis ka khatra hai, us se diabetes ke mareez ko itna khatra nahin rehta hai. 

अनार के लाभ से लहू रहे स्वस्थ - Benefits of Pomegrante for Blood in Hindi

  • Anar super food hai aur pomegranate health benefits rakt sanchar ke liye uttam hai. Chilke ka churan bana ke sevan kare to is me rahe antioxidants aur vitamins se lahu shuddh ho aata hai. 
  • Anar ka ras peene se rakt vahini me vasa ka jamavat nahin hota hai. 
  • Anar ke ras ka sevan se LDL cholesterol aur triglyceride niyantran me rehte hai aur HDL cholesterol jo “good cholesterol” hai us ki maatra badh jaati hai. 
  • Anar ke ras peene se uch raktchaap ka khatra tal jaata hai. Ek saal tak piye to is haalat se chutkara milta hai. 

अनार के स्वस्थ्य लाभ गर्भाशय के लिए - Benefits of Pomegranate for Uterus in Hindi

Liverpool ke vaigyanik ne shodh kiya hai ki anar dane me ek steroid hota beta sitosterol jo garbhvati mahila ko diya jaaye bachche ke janam ke samay to garbhashay ke sankuchan kirya me madadroop hota hai aur janam asani se de sakti hai. 

अनार के उपयोग से दिल रहे मजबूत और स्वस्थ - Benefit of Pomegranate for Heart in Hindi

Anar me vitamins hai, antioxidants hai aur loha tatva hai jo sabhi mil ke dil ki tandurasti banaye rakhne me sahayak hai. Rakt vahini swach rehti hai, lahu ka sanchar tej ho jaata hai hriday me aur dil ki bimariyo se insan bacha rehta hai. Ho jaye to bhi anar ka ras peene se khatra kam ho jaata hai. 

अनार से शरीर को फायदे - Benefits of Pomegranate For Body in Hindi

Anar me rahe tatva se lahu ka sanchar tej ho jaata hai, lahu swachch ho jaata hai, pachan sudhar jaata hai aur dimag aur tantra pranalika ki karyakshamta bhi badh jaati hai. Anar me cancer virodhak flavonoid tatva hai aur sharir me se vish bahar nikal jaata hai. Har roj anar ka sevan kare to vyakti rehta hai jawan aur sfurtila lambi umar tak. 

अनार के फायदे जननक्षमता बढ़ाने के लिए - Benefits of Pomegranate for Fertility in Hindi

Anar me loha tatva, folic acid aur anya poshak tatva hai jo mahilao ke sharir ki tandurasti badha deti hai. Sharir se vish nikal jaata hai. Swasth badhta hai. Aise hee purusho ko bhi anar ke fayde hai. Yane ki agar pati patni har roj anar ka sevan kare to prajanan ya janan kshamta badh jaati hai aur garbh dharan karna aasaan ho jaata hai. 

अनार के औषधीय गुण अर्योग्यवर्धक है - Pomegranate Benefits for Health in Hindi

Tandurasti banaye rakhne ke liye har roj anar ka sevan kare aur dekhe anar khane ke fayde kitne hote hai. Yeh rog pratikarak shakti badhata hai, jawani barkarar rakhta hai, dil aur dimag ki majbooti banaye rakhta hai, vasa ki maatra kam karta hai, lahu swach kar deta hai aur haddiyo ko bhi majboot bana deta hai. Anar ke dane chabaye to dant bhi saf rehta hai aur kitanu ka nash hota hai. Jo anar khaye voh rahe Alzheimer se surakshit. Health benefits of pomegranate in Hindi anginat hai, seb se bhi jyada, angoor se bhi jyada. 

पुरुषो के लिए अनार के फायदे - Pomegranate Benefits For Men in Hindi

  • Dil, dimag, lahu, tvacha aur gurde-yakrut ko majboot banane ke alava pomegranate health benefits purusho ke liye khas hai. Anar ek vajikaran hai jo Queen Margaret University Edinburgh me prayog se sabit hua hai. Is se testosterone ki maatra badh jaati hai. 
  • Anar ka ras piye to purusho me ling ki kamjori door hoti hai aur utthan sahi hota hai. 
  • Shukranu ki gunvatta aur maatra me badhotri hoti hai. 
  • Prostate cancer se surakshit rehte hai jo anar ka niyamit sevan karte hai. 

अनार के फायदे बालो के लिए  - Pomegranate Benefits For Hair in Hindi

  • Mahilao ko agar apne baal lambe, kale, ghane aur mulayam rakhna hai to anar ka avashya sevan kare kyonki is me hai har koi tatva jo baalo ko poshan deta hai. Is me rahe loh tatva se baalo ka jhadna bandh hota hai.
  • Anar ke ras se baalo ki samasya jaise ki rusi, sabhi door ho jaate hai. 
  • Anar ka ras peene se baalo ke jad majboo ho jaate hai is me rahe punicic acid ke karan. 
  • Jis ke baal shushk aur sahi nahin rehte hai to anar ka ras lagane se mulayam ho jaate hai. Anar ke beej ka tel khas gunkari hai. 

अनार के गुण से यकृत को फायदे - Pomegranate Benefits For Liver in Hindi

  • Pomegranate health benefits beshumar hai aur yakrut ko bhi yeh tandurast banaye rakhta hai. 
  • Anar me beta carotene aur antioxidant hai jis se yakrut saaf rehta hai aur karyakshamta badh jaati hai. 
  • Is me rahe vish nikalne ke padarth (antioxidant) lahu ko bhi saaf kar ke yakrut par bojh kam kar dete hai. 

अनार के लाभ से चेहरे की त्वचा को फायदे - Pomegranate Benefit for Face in Hindi

  • Anar ka ras piye aur tvacha par lagaye. Lahu ko saaf kar ke chehre par ronak la deti hai. 
  • Anar me rahe tatva collagen ke nirman me sahayak hote hai aur jhurriya mit jaati hai. Chehra jawan rehta hai. 
  • Chehre par anar ka ras lagaye to namiyukt ho jaati hai aur saath me keel, muhase aur daag-dhabbe khatam ho jaate hai. 

Yeh hai anar benefits in Hindi. Aap chahe to pomegranate supplement le magar taja anar ka ras amrit samaan hai. Ras na piye to anar ke daane avashya khane to anar khane ke fayde avashya prapt honge.

TAGS: #pomegranate benefits in hindi #benefits of pomegranate in hindi #what are pomegranates good for #अनार का जूस #अनार के स्वास्थ्य लाभ #अनार के गुण #how do you eat a pomegranate in hindi #benefits of eating pomegranate #pomegranate juice benefits for men in hindi #pomegranate/anar fruit in hindi #pomegranate in pregnancy #anar ke fayde in hindi me #anar fruit benefits in hindi #anar khane ke fayde in hindi #about pomegranate in hindi #pomegranate juice benefits in hindi 

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

6 Comments

Rishabh Malhotra , Oct 16, 2017

Whatever you told the benefit of pomegranate that was awesome and mind blowing in this post there are some benefit for that i was blank this post helps me to increase my knowledge at some high level.

Sunidhi , Oct 12, 2017

Aapne jo anar ke ras ke fayede bataye hain wo jhakas hain aur sach bhi hai kiya aap mujhe bata sakte hain ki iska koi side effect to nahin hai? please batayen

Tarun verma , Oct 10, 2017

Aapke duwara btaye gaye tips kamal ke hain lekin maine suna hai ki yeh garbhwati mahilaon ke liye kamal ki chij hai yeh kaise hai kiya aap mujhe bata sakte hain.

 

Tej Pal, Oct 11, 2017

Haan aapne sahi suna hai anar garbhwati mahila ke liye bahut fayedemand hai aanar khane se bachcha sawasth paida hota hai.

Rakesh Kumar , Oct 07, 2017

Mera hemoglobin bahut hi jayeda low hai kiya pomegrante ka juice peeney se hemoglobin sahi ho jayega? please batayen

Rishabh Malhotra , Oct 04, 2017

Maine suna hai ki kisi kisi ko anar ke dane kha lene se pet mai dard start ho jata hai lekin jab uska juice nikala jata hai us time bhi to daane pis jate honge uska juice pine ke baad kya us wakt pet mein dard nhi hoga?

riya, Jul 12, 2017

very nice article and its covering full story of pomegranate.