Health benefits of pomegranate seeds in hindi (अनारदाना के फायदे) : Anar dana swad ka ek anokha sangam hai. Is me khatta, meetha aur toora swad hai jo man ko bhaa jaata hai. Jaise yeh khane me swadisht hai aise is ke swasth ke liye bhi fayde hai. Anar swargiya amrut hai aur anar dana ka niyamit sevan karne se vyakti lambe samay tak jawan rehta hai. Jaaniye anar dana khane ke fayde. Aise kaunse tatva hai anar me jo is ke aise jadui gun dete hai? Padhte rahe aur apnaye anar ko apne jeevan mein.
अनार दाना के पोषक गुण - Pomegranate seeds nutrition in hindi
Anar ke chilke ko nikale to andar laal ya to safed-gulabi rang ke daane nikalte hai jo poshtik tatvo se bhara hai. 100 gram anar dana agar khaye to aap ko milenge kai poshtik tatva. Jaaniye pomegranate seeds nutrition fact:
3.5 gram fiber
12 gram sugar
1.5 gram protein
1 gram fat
Vitamin C, Vitamin K, Vitamin B group ke vitamin, potassium, copper, phosphorus, zinc, antioxidant punicic acid, ellagic acid aur punicalagin. Pomegranate seeds nutrition ki baat kare to yeh green tea, red wine ya berries se bhi uttam gun vaale hai jahan tak antioxidant gun ki baat kare aur anya swasth vardhak gun ki baat kare to.
Chahe to anar dana ko aap chaba ke khaye ya to ras nikal ke piye. Ras nikal ke peena jyada uchit hai kyonki beej me aise resedar tatva hai jise pachana mushkil hai isiliye jab chaba ke khaye to ras nigalne ke baad baaki ka hissa thoonk ke bahar fenk de. Niyamit sevan se aap ko milenge benefits of pomegranate seeds. Yeh kaunse hai? Aage padhiye.
कैंसर से सुरक्षा – Protect yourself against cancer
Anar dana me rahe punicalagin, ellagic acid, anthocyanin aur punicic acid sharir me se vish ko bahar nikal dete hai, pratirodhak shakti badha dete hai aur cancer se surakshit rakhenge aap ko. Inhi tatvo se sharir me soojhan kam hoga aur kitanu ka bhi nash hota hai aant mein. Jodo ka dard (sandhiva) jaise taklif me bhi anar ke fayde bejod hai.
दिल, दिमाग़, लहू संचार, रक्तचाप के लिए अनुकूल – Pomegranate benefits for Heart, brain, blood circulation, blood pressure
Anar dana me se milega potassium aur kai vish door karne vale tatva jis se dimag tej ho jaata hai, yaad shakti badhti hai, lahu shuddh ho jaata hai, dil majboot banta hai aur raktchaap niyantran me rehta hai. Uchch raktchaap ho to niyamit anar dana ras piye aur 6 mahine me bilkul niyantran me aa jayega. Padhai karte students jo anar dana ka sevan kare to thakaan kam lagta hai aur dimag tej ho jaata hai. Badhti umar me alzheimer ka khatra rehta hai jo tal jaata hai pomegranate juice ke sevan se.
वजन कम करे अनार – Manage weight with pomegranate seed
Health benefits of pomegranate seeds kai hai jaise aap ne upar dekha. Lahu ko shuddh kar ke, vasa ko kam kar ke aur pachan agni sudhar ke anar vajan ko niyantran me rakhne me bahut safal hoga. Aajmaye yeh anar dana totka aur dekhe is ke fayde 6 mahine mein. Purusho mein mardangi badhati hai anar aur mahilao ko mahila sambandhit prashano se mukti dilati hai yeh amrut tulya super food.
थकान दूर करे और शरीर का दर्द दूर करे अनार दाना – Reduce pain and fatigue with pomegranate seeds
Jo log mehnat karte hai aur workout karte hai to maspeshiyo me dard hota hai aur thakaan lagta hai. Ek adha glass anar ka ras piye to health benefits of pomegranate seeds yeh hai ki sabhi dard kam ho jaate hai aur fir se tajgi aa jaati hai.
बालो के लिए, त्वचा के लिए बेहतरीन है अनार – Pomegranate seed best for hair and skin
Anar dana ak ajaibi hai kyonki yeh vyakti ko jawan rakhta hai. Na sirf apne ander ke granthi balki tvacha aur baalo par bhi anar dane khane ke fayde dikhte hai. Is ke poshak tatva, tannic acid, punicic acid aur ellagic acid ke kaaran tvacha me collagen ki badhotri hoti hai jis se tvacha hara bhara rehta hai aur jhurriya padti nahin hai lambe samay tak. Baal ke jad bhi majboot hote hai anar dane ke sevan se. Andar se aur bahar se tandurasti badhaye anar dana ka niyamit sevan kar ke. Diabetes ke mareez bhi agar anar dana khaye to lahu me sharkara ka praman niyantran me rahenga. Garbhvati mahila ko khas har roj anar dana ka ras nikal ke peena chahiye.
सूखे अनार दाना के स्वस्थ लाभ - Dired pomegranate seeds health benefits in hindi
Taaje anar dana ka swad ek hai magar is ke gun suke anar dana mein bhi hai. Suke anar dane ka swad khatta, madhur aur toora hai. Aam taur par suke anar dane ko pees ke churna banaya jaata hai aur yeh churna ke saath chini, kala namak aur amchur mila ke goli bana ke pachan badhane aur gas ka shaman karne ke liye khaya jaata hai. Suke anar dane ka churna ko aap ghar me sabji aur salad aur chatni me bhi upyog kare to lijjat badh jaati hai. Dried pomegranate seeds health benefits me pachan hi nahi balki aur bhi upar bataye gaye fayde milte hai. Khas kar ke dil ki bimari ho to suke anar dana ka churna ko paani me mila ke savere piye.
TAGS: #anar dana ke fayde in hindi #anar dana benefits in hindi #anardana powder #anar dana ke faide #anar dana khane ke fayde #benefits of pomegranate in hindi #anardana churan/goli #pomegranate in hindi #pomegranate seeds in hindi #pomegranate tree in hindi #anar seeds #anar pomegranate #benefits of pomegranate seeds in hindi
Jatin Ahuja, Oct 16, 2017
aapne jo anar daane ke fayede bataye hain wo kamal ke hain aur yeh easily affordable bhi hain. Thanks for the post
Parkash Asthana, Oct 12, 2017
Aapne jo anar ke fayede bataye wo mast hain lekin kiya BP low patient jiska hemoglobin hi kam hai jisko 2 baar TB bhi ho chuki ho kiya usko anar ka sevan karne chahiyen?
Ronak, Oct 11, 2017
yeh anar ke fayede bahut achche hain maine inko read kiya mujhe anar ke baare mai itna nahin pata tha jab maine inko padha to mujhe pata chala ki anar ke fayede bahut hote hain aapke yeh gharelu nuskhe bahut achche hain.
Palvi Mishra , Oct 10, 2017
Anar ke chilke ka powder hamare heart ke liye achcha hota hai agar aap is powder ka ek chammach paani mai daal karke ubbalen aur roj piyen isse aapke heart related bimari dur ho jaayegi.
Naina Sharma , Oct 07, 2017
whatever you told in this article that was awesome and well written and also easy to understandable to me. Thanks for the post
Shweta, Oct 07, 2017
Yahan bataye gae anar ke seed ke faayede in hindi bahut achche hain.
Shrindar Singh Sodi, Oct 04, 2017
Whatever you written in the article the benefit of pomegranate seed that was awesome and well written i liked the post and also this one increase the knowledge to me.
साक्षी, Aug 10, 2017
अनार खाने के फ़ाएदे बहुत होते हैं ये हम सब जानते हैं लेकिन आपके घरेलू नुस्खे से पता चला की ये बालों के लिए भी फ़ाएदेमंद हैं और आज कल बाल झड़ने की समस्या से मैं भी बहुत परेशान भी थी लेकिन अब मैने नियमित रूप से अनार खाने शुरू किए जैसे मुझे फ़र्क भी दिखा अनार के फ़ाएदे बताने के लिए थैंक्स सो मच
rajni, Jun 25, 2017
anar khane se anima ki kami door hoti hai tatha safurti bhi milti hai main yeh kar chuki hun app bhi karie avash fhada hoga
ramesh, Jun 21, 2017
jiska pait naram rehta ho too anar ke daano ko chaba 2 khaye too zindgi bhar ke liye theek hoga aisa mera vishwas hai
hemraj, Jun 18, 2017
anar ko roz khane se pet patla hoga aur chehre par lalima bhi aayegi meri too roj ki dincharya hai.
bindu , Jun 14, 2017
Anar ke khane se vayakti active rehta hai aur vitain A aur B ki kami nahin rehti
Anil Kumar , Jun 11, 2017
Anar ke khane se raqt ki matra main badotri hoti hai . Pait theek rehta hai
santosh , Jun 11, 2017
Anar ke sevan se proteen aur fiber se shareer ka sucharu roop se se theek hota hai.
Vipin , Jun 11, 2017
Anar ke roz upyog se cancer nahin hota aur blood main lal karno ko taqat milti hai.yeh maine upyog kiya hai mera homoglobin sahi ho gaya hai
Amit Gupta, Dec 29, 2017
Koi kahta hai wajan badhata hai koi kahta hai kam karta hai sahi kiya hai bhai wo bataiye?