Amla Juice aur Amla Khaane ke Fayde : आंवला के गुण फायदे एवम उपयोग

Amla

Benefits of Amla in Hindi (आंवला के फायदे) :Amla ek aisa fal hai jo rasayan hai aur hamesha hame taro taja aur javan rakhne mein madadroop hota hai. Is ke sevan aur upyog se rog door rehte hai aur sharir ka swasth bane rehta hai. Ayurved mein ise amrut maana gaya hai. Yeh pitta shamak hota hai aur dimag ko bhi tej bana deta hai. Lambe samay tak rakhne par ya cooking karne par bhi is me rahe vitamin C ka naash nahin hota hai. Sharir ke sabhi ango ke liye aur sabhi umar mein amla rambaan aushadh hai. Aaiye jaane amla khane ke fayde aur amla juice benefits. Amla juice ke fayde aap jaanenge to aap ise apne rojana jindagi ka hissa bana lenge. 

आंवला के गुण फायदे और उपयोग - Health Benefits in Hindi of Amla Juice

  • आंवला खाने से लीवर को शक्ति मिलती है|
  • आंवला खाने से आंखों की रोशनी बढती है।
  • डायबिटीज के मरीजों के लिए आंवला बहुत फायदेमंद होता है।
  • आंवला शरीर की त्वचा और बालों के लिए बहुत फायदेमंद होता है।
  • सुबह नाश्ते में आंवले का मुरब्बा खाने आपका शरीर स्वस्थ बना रहता है।
  • आंवले के चूर्ण का उबटन चेहरे पर लगाये चेहरा साफ होगा दाग धब्बे दूर होंगे।
  • पथरी की शिकायत होने पर सूखे आंवले के चूर्ण को मूली के रस में मिलाकर 40 दिन तक सेवन कीजिए।

Amla Juice ke Fayde : आंवला जूस के फायदे

Agar khana hajam nahin hota hai aur pitta badh gaya hai to amla juice ke fayde jaan ke us ka upyog kare. Yeh tridosh har hai aur khaas kar ke pitta shamak hai. Amla juice benefits in hindi me bataye to pitta ke shaman se aap nirogi rahenge lambi umar tak.

Amla ke Benefits in Hindi - आंवला के फायदे

  • Winter mein har roj amla juice lene se amla juice ke benefit milega jis mein ek hai ki vitamin C dwara sharir ka immunity badh jaata hai. 
  • Pachan tantra majboot hoga. Yeh hai ek amla churan ke fayde.
  • Dimag tej ho jaayega isiliye bachcho ke liye shresht hai.
  • Dil majboot rahega isiliye badhte umar valo ke liye uttam hai. Yah aavle ke fayde main important fayda hai. 
  • Blood purify ho jaata hai jo sabhi ke liye faydakarak hai. Yeh bahut labhkari fayda hai kyonki is se energy rehta hai sharir mein aur cancer se bhi aap bach ke rahenge.
  • Amla juice ya amla churna sevan kare to aankho ki tanduristi barkarar rehti hai. Amla churna ke fayde aur bhi hai jaise ki sharir ko detoxify karna. 
  • Agar aap amla ka juice ya amla churna sevan karna pasand na kare to amla ka murabba bana ke saal bhar khaate rahiye. Amla ka murabba ke fayde vahi hai jo fresh amla se milta hai. Upar se, garmiyon mein amla ka murabba aur gulab ka sevan se sharir thanda rehta hai aur loo lagne ki sambhavna kam ho jaati hai. 
  • Amla ka murabba ke fayde mein yeh jaane ki amla rejuvenating aur restorative (rasayan) hai to aap ke tissues majboot aur strong rahenge budhape mein bhi. 
  • Aapko agar mooh mein chaale pad gaye ho to amla churna aur shahad mila ke chaate. 
  • Agar aap ko neend nahin aati hai to amla juice piye ya to amla ka churna doodh mein mila ke piye. Anidra ki shikayat kam ho jaayega, tanav kam hoga. Bas amla churna khaate rahe aur amla churna ka benefit paate rahe. 
  • Amla ke fayde mein aap ko yeh jaanna hai ki yeh ek wonderful detoxifier hai. Free radicals ko sharir mein se bhaga ke yeh jo aging ke chinha aate hai use rok deta hai. 
  • Agar aap motape se pareshan hai ya vajan nahin badhta hai to yeh metabolism ke karan hota hai.  Amla ke fayde in hindi mein ek aur baat hai ki yeh metabolism sudhar deta hai. Patle log tandurast ho jaate hai aur cholesterol kam hone se mote log patle hone lagte hai. 
  • Agar aap shaadi suda hai aur prajanan kshamta badhana chahte hai to jaaniye amla upyog. Har roj raat ko doodh ke saath amla churna, shatavri aur ashwagandha ka sevan kare.
  • Amla powder benefits bataye to yeh shwas aur dama sambandhit bimario mein bhi kaam aata hai. Kyonki yeh sharir ko detoxify karta hai aur kapha ko door karta hai to shwaas lena aasaan ho jaata hai. 
  • Amla juice peene ke fayde diabetes valo ke liye bahut hai. Savere khali pet amla juice peene ke fayde mein blood sugar level control mein aa jaata hai aur mutra sambandhit pareshaniya bhi door ho jaata hai. Amla ke gun jitne gaaye itne kam hai. 
  • Chyavan prash mein mukhya tatva hai amla. Benefits of amla mein jaaniye ki jab aap chyavanprash ke roop mein le to aankh, dil, dimag, blood circulation, skin aur taqat sabhi par positive hota hai. Aap young rahenge. 
  • Amla churna triphala churna ka ek hissa hai. Yeh pachan tantra sudhar deta hai aur kabz ki shikayat kabhi nahin rehti hai. Yeh hai amla khaane ke fayde.  
  • Amla khaane ke fayde mein ek aur hai ki aap ke daant saaf aur majboot rahenge. Magar paani se mooh saaf karle. Kyonki is mein citric acid hota hai isiliye yeh daant ke enamel ko bhi pighla deta hai. Yeh hai amla juice benefits and in Hindi
  • Amla juice side effects in Hindi mein savdhani rakhe jab aap ko aamvaat ho. Acidity mein amla acidity aur badha deta hai. Aise hi agar kapha ho gaya ho to amla ka sevan na kare. Kisi ko iron deficiency ho to bhi amla ka sevan na kare kyonki yeh iron ko baandh ke baahar nikal deta hai. Ek aur side effect yeh hai ki agar adhik maatra mein khaa le to amla se tvacha rukhi ho jaati hai. 
  • Amla vrushya aur kaam shakti badhane vala hai. Healthy aur happy married life ke liye amla juice ya churna har roj le. Yeh hai amla khane ke fayde mein se ek important fayda. 
  • Kisi ko gaane ka shokh hai to us ko amla ras k fayde milte hai. Is se kanth aur svar madhur ho jaata hai. 
  • Jalan ho to amla ras ke fayde le. Yeh daah ko kam kar deta hai. 
  • Aavle ke fayde aur bhi hai. Bukhar aaya ho to amla churna garm pani mein dal ke piye. 
  • Amla juice peene ke bad parhej yeh rakhe ki doodh ya dahi na khaaye. Ambla ke faide hai to galat tarike se upyog karne mein nuksan bhi hai. 
  • Amla ke ras ko pene ke fayede yeh hai ki summer mein aap cool rahenge aur thakan kam ho jaayega aur aap refreshed ho jaayenge. 
  • Amla ras k fayde mein ek yeh hai ki agar ulti hoti hai to is ka sevan kare to ulti bandh hoga. 
  • Mahilao ko jo pareshaniya hoti hai jaise menorrhagia aur bleeding aur masik dharm me taklif to amla ras ke fayde unhe jaroor milte hai aise haalaat mein. 
  • Gharelu nuskhe for cough mein amla ka prayog hota hai. Amla churna aur haldi ya to amla juice aur haldi mila ke peene se kaf ka shaman hota hai. 

Sharir ke andar amla gajab ka kaam karta hai. Magar amla aur amla juice aap ke tvacha, nakhoon aur baalo ke liye bhi uttam hai. 

Amla for hair growth : आंवला के बालों के लिए लाभ

Kesh ke liye amla shresht hai. Amla ka juice baalo mein lagane se yeh lambe samay tak safed nahin honge. Amla hair oil ke upyog se baal ghane aur kaale rehte hai. Baal lamba karna hai to amla juice lagaye baalo mein. Agar rusi se pareshan hai to amla ka juice jado mein lagaye. Agar baal ko mulayam banana hai to amla aur shikakai se baal dhoye aur shampoo ka upyog na kare. Amla for hair growth mein aap amla ka ras aur pyaj ka ras lagaye balo mein to naye baal ug aate hai.

सुंदर चेहरा चाहिये तो पियें आंवला जूस - Amla for Skin in Hindi

Amla itna hi gunkari hai tvacha ke liye jitana voh baalo ke liye hai. Beauty Uses Of Amla Juice bahut hai jaise agar aap ke tvacha par daag dhabbe ho, tvacha shyam ho ya to texture barabar nahin hai to benefits of amla juice in hindi mein aap amla juice ko haldi ke saath mila ke lep karte rahiye bahut jaldi farek dikhainga.

Amla ayurved mein takradhara roop mein psoriasis ka ilaj mein liya gaya hai. Amla churna paani mein bhigo ke paani daal ke maatra 16th ho jaaye tab tak ubale. Ab ise chaan le aur is mein bilkul khatta chaach mila de. Yeh mishran psoriasis vale jagah par 10 minute tak din mein do baar ghiste rahiye. 

  • Skin ke liye use of amla aap ne jaana. 
  • Amla bahut upyogi fal hai. Amla nuskhe mein nakhoon par lagaye to chamakne lagenge. Bartan saaf kare to chamakne lagenge. 
  • Amla juice aur amla ke fayde aap ne dekha ki anginat hai. Uses of amla in hindi mein jo abhi nuskhe batae hai zaroor try kare. Ek din bhi amla lena na chukiye!

TAGS :#patanjali amla juice benefits in hindi #amla benefits in hindi #amla juice ke fayde #आवला/आमला के गुण #amla juice benefits and side effect of amla in hindi #amla churna ke fayde #amla churna/murabba benefits in hindi #amla ka murabba ke fayde #amla ke fayde hindi me #amla powder benefits in hindi #आँवला रस/खाने के फायदे #आंवला के नुकसान

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

57 Comments

Sha, Apr 24, 2018

amla ke fayde apne bahut acche se bataye hai great job

रीमा सेन, Mar 06, 2018

लौकी का जूस जितना बालो के उपयोगी है उतना ही स्किन के लिए अगर आपकी स्किन में चमक नहीं है या पिम्प्लेस के धब्बे पड़ गए है तो लौकी के जूस में शहद एक चुटकी हल्दी और निम्बू निचोड़ कर मिला ले फिर ये मिक्सचर अपने चेहरे पर 1 घंटे तक लगा रहने दे|

फलक, Mar 01, 2018

ताजे आंवले के रस में मिश्री मिलाकर पीने से बवासीर या पाईल्स रोग में लाभ मिलता है इसके अलावा आंवले का फल भी बवासीर में उपयोगी होता है जो पुराणी बवासीर को भी ठीक कर देता है|

Naina Sukhdev, Feb 14, 2018

Maine suna hai ki agar hum roj hum ek glass anvla ka juice piyenge to isse hamare baal ghane aur saath hi majboot ho sakte hai kiya aisa sach main hai kiya please help me

ANAMIKA LAKRA, Feb 14, 2018

Mere baal jhadh rahe hain koi upay bataiye mere umar 20 saal ki hai please help me.

 

Nishant Tomar, Feb 17, 2018

Agar aap apne jhadte baalon se pareshaan hain to aap roj subah shaam ek Amla khayen isse aapke baal majboot aur kale aur ghane honge iske alawa aap pyaj ke ras ka bhi istemaal kar sakte hain.

Kareena Sethi, Feb 13, 2018

Mere chehare par bahut hi jaayeda daag hain jisse mera chehara bahut hi jaayeda bekar lagta hai kiya hum isko anvla se chuta skate hai please aap mujhe iske liye kuch batao

Sushmita Chodhary, Feb 08, 2018

Mera rang bahut hi kala hai agle month mai meri shaadi hai kiya aap mujhe koi tarika bata sakte hain gora hone ke liye kiyunki main apne rang se bahut pareshaan hun kiya amla hamare chehre ke rang ko nikharne mai koi help kar sakta hai please bataiye?

प्रिंसी, Jan 27, 2018

आँवले और आँवले जूस के किया फाएेदे हैं मुझे इसके नुकसान और साइड एफेक्ट्स भी बताइए|

मोनिका, Jan 07, 2018

आँवला और आँवले जूस के किया फाएेदे हैं तथा यह भी बताइए की इसके नुकसान किया हैं और किया इसका कोई साइड एफेक्ट भी है प्लीज़ बताएँ

Sabiya , Dec 15, 2017

Very good Idea as you mentioned i n your article

संध्या, Dec 09, 2017

आँवले जूस और आँवला के बेनीफीट्स नुकसान और इसके साइड एफेक्ट्स किया हैं मुझे जानना है?प्लीज़ शेयर मि

बलदेव राज, Dec 08, 2017

आँवला के और आँवले जूस के किया फाएेदे हैं मुझे बताएँ साथ में मुझे यह भी जानना है की इसके नुकसान और साइड एफेक्ट्स भी किया हैं सब कुच्छ जानना चाहता हूँ| प्लीज़ बताइए

राजेश कुमार, Dec 05, 2017

आँवला जूस के किए फाएेदे हैं और आँवले के किया फाएेदे हैं मुझे इसके फाएेदे और नुकसान जानने हैं और मुझे इसके साइड एफेक्ट्स भी बताएँ|

विनीता पुरी, Nov 30, 2017

आँवला जूस और आँवले के किया बेनिफिट्स हैं और साथ में मुझे यह भी बताएँ कि इसके किया नुकसान हैं|

हर्षित बंसल, Nov 20, 2017

आँवले जूस और आँवले किया फाएेदे हैं तथा इसके साइड एफेक्ट भी किया हैं यह सभी बातें मुझे विस्तार से बताइए|

Aaryan Vishvas, Oct 02, 2017

As you will inevitably learn on your path to losing weight, effective weight loss is not only about watching what you eat, but much more about changing your lifestyle. This means changing your habits and how you approach your day-to-day life. Read this information to help you throughout the process.

संतोष कुमारी, Sep 20, 2017

सुबह नाश्ते में आँवले के मुरबे को खाने से शरीर स्वस्थ रहेगा आँवले के चूर्ण को उबटन बनाकर चेहरे पर लगाएँ चेहरे के दाग धबे दूर हो जाएँगे डायबिटीज़ के लोगों को आँवला खाने से फ़ाएदा होता है आँवला खाने से शरीर में ताक़त आती है आँवला खाने से लिवर को ताक़त मिलती है आँवला खाने से आँखों की रोशनी बढ़ती है पति वाले मरीज को आँवले के चूर्ण को मूली के रस मिलाकर 40 दिन तक सेवन करें पथरी से राहत मिलेगी आँवला शरीर की तव्चा और बालों के लिए फाएेदेमंद होता है|

Rajeshwari Devi, Aug 11, 2017

anwala juiceaur anwale ke kya faayede hain kya iske nuksaan bhi hain dono yaani ki faayede aur nuksaan ki jaankaari ki jarurat hai vistaar se bataenge to behtar hoga samjhne men

संजू सैमसन , Aug 09, 2017

आँवला बालों के लिए बहुत फ़ाएदेमंद होता है आँवले के चूरन का उबटन बनाकर चेहरे पर लगाएँगे तो चेहरे के दाग धबे दूर हो जाएँगे आँवला खाने से आँखों की रोशनी बड़ती है आँवला खाने से लीवर की शक्ति बड़ती है पथरी की शिकायत होने पर आँवले के चूरन को मूली के रस के साथ मिलाकर 40 दिन लगातार सेवन करें डायबिटीज़ के पेशियंट के किए आँवले बहुत फ़ाएदे मंद होता है सुबेह के वक्त आँवले का मुरबा रोज खाने से शरीर सवस्थ बना रहता है|

jeenat , Jul 19, 2017

mera baal pahle bahut jhdte the lekin maine jabse amla ka khana start kiya jabse mere baal to jhdna kam ho gya aur saath hi saath mera chehra mein bhi ek alag se chamak aa gye hai shi main amla khane ke anek fayde hai

सुनीता, Jul 19, 2017

आँवले के खाने से डायबिटीज़ के मरीज को आराम मिलता है आँवला खाने से सेहत ठीक रहती है आँवला खाने से लेवर को मजबूती मिलती है आँवला खाने से आँखो की रोशनी तेज होती है और यादाशत बदती है

Deepesh, May 28, 2017

2-3 amla ka fresh ras nikal kar khali pe hi piye yeh jayda asar karta hai fresh amla na ho toh amla powder 1 chammach 1 cup mei mila ke pe le

Milli, May 26, 2017

desi ilaj sabse best hai

Esha, May 15, 2017

amla motapa kam karne mei madad karta hai

Pinto, May 12, 2017

very nice article and inputs.. happy to share with my friends

arun kumar, Apr 14, 2017

Good for health

Likesh, Mar 18, 2017

amla vitamin C ki kami pori karta hai skin bhi glowing banata hai

Nalini, Mar 12, 2017

amla churan mila ke pani ke saath le garmi ka bhukhar bhi utar deta hai

BranSlodia, Mar 09, 2017

amla ke fayde bahut badiya batae gae hai

hitesh panjwani , Mar 08, 2017

Liver cirosis ka koi treatment hai kya aap k pass.

Yashnoor, Mar 05, 2017

amla apni health ke according khaye, kai logo mei yeh acidity bada deta hai

JasonCaf, Feb 20, 2017

meri beti ko amla candy aur muraaba bahut pasand hai

 

Rohit uikey, Jun 22, 2017

His kisi ko amla juice or amla candy chaiye bilkul premium quality ka amla juice or candy ...

Talvir, Feb 14, 2017

amla juice khali pet le jayda asar karta hai

Esha, Feb 12, 2017

amla ka juice khali pet hi le amla na mile toh amla powder ke cup pani mei mila kar khai pet le

Jamestix, Feb 03, 2017

As you will inevitably learn on your path to losing weight, effective weight loss is not only about watching what you eat, but much more about changing your lifestyle. This means changing your habits and how you approach your day-to-day life. Read this information to help you throughout the process.

Rudra, Jan 18, 2017

Aaj ka good news amla peene se bahut saara fayda hai hai hume to nahi hua aap log use karke dekh lijiye

 

Mamta, Jan 18, 2017

mein roz subah amla ka juice pitee hoon esse mera weight bhi control mein rehta hai digestion bhi

Namra, Aug 09, 2016

आंवला रस मे हल्दी और शहद मिलाकर पीने से मधुमह की बीमारी मे आराम मिलता है

saba, Aug 06, 2016

amla is a amrit for us

bashu, Aug 06, 2016

आंवला खाने से आंखों की रोशनी बढती है...

pihu, Aug 04, 2016

सुबह नाश्ते में आंवले का मुरब्बा खाने आपका शरीर स्वस्थ बना रहता है...

Hritish, Aug 02, 2016

amla ke fayde aapki eyes ko strong karta hai eye site theek karta hai

Mukunda, Jul 30, 2016

Amla ke side effect se skin dry ho sakte hai

Kuldev, Jul 28, 2016

amla ke gun sehat ko aur tandurst banate hai

Lavitra, Jul 26, 2016

Amla thoda thanda hota hai isse body temperatue bhi kam hota hai cold badh sakta hai

Ishit, Jul 24, 2016

amla ras ke fayde in hindi khoon bhaut badata hai

Jayadeep, Jul 23, 2016

Jayda amla khane se aapko dast bhi ho sakte isme fiber jayda hota hai aur pet saaf karta hai

Gopan, Jul 21, 2016

badhajmi mei amla churan khane ke fayde hota hai

Yuval, Jul 20, 2016

amla juice benefit in hindi yeh aapka blood circulation bhi accha karta hai

Vaarin, Jul 17, 2016

amla ke side effect in hindi agar aap iska achar jayda khate hai toh yeh diabetiecs le liye theek nhi hai

Prasoon, Jul 16, 2016

amla ke upyog immunity badane ke liye hota hai

Ramakant, Jul 12, 2016

amla balo ke liye bahu accha hai iske pani se aap baal dho sakte hai

Namit, Jul 11, 2016

amla juice patanjali benefits in hindi aapko ready to eat milta hai aur fresh hota hai bina milvat ke

Unnat, Jul 09, 2016

Cough khansi bulgam mei amla la murraba dudh ke saath din mei 3 baari le

Suvidh, Jul 06, 2016

amla juice benefits in hindi amla baalo ko kala aur ghana karta hai

Tungish, Jul 05, 2016

diabetes mei haldi ka churna amla ke saath mix karke le

Vishvas, Jul 03, 2016

amla se with kam bhi ho jata hai yeh ek side effect bhi hai par jo apna wajan kam karna cahate hai unke liye acha hai

Wadee, Jul 01, 2016

amla ke side effect aapko constipation ke roop mei ho sakta hai agar aap jayda qty lete hai