एलोवेरा के सौंदर्य लाभ व फायदे - Beauty Benefits of Aloe Vera in Hindi

एलोवेरा

Jo duniya aloe vera ke naam se jaanti hai use ghrut kumari ya kumari kehte hai Hindi me aur sadiyo se is ka upyog hota aaya hai na sirf swasth ke liye balke khas kar ke saundarya prasadhan me. Aloe vera adhbhut hai kyonki is me bahumulya compounds hai jis se tvacha ko, baalo ko, pet ko aur rogo me fayda milta hai.

एलोवेरा के गुण

  • Aloe vera me 150 se jyaada poshak tatva hai. In me hai 22 amino acids jo sharir ko chahiye. Sirf adha cup aloe vera juice savere piye to yeh poshak tatva milte hai aur sharir ko healthy bana ke looks improve karte hai. 
  • Aloe vera ke patte me hai anthraquinone emodin aur aloin jo pet ko saaf karne me sahayak hai aur tvacha ke upar koi bhi daag, infection ho to mita dete hai. Tvacha ko komal, namiyukt aur cirulation improve karne me sahayak hai.  
  • Aloevera benefit milte hai is me rahe enzymes se jo pachan sudhar dete hai. Yeh hai amylase, bradykinase, catalese, cellulase, lipase, oxidase aur cretaine phosphokinase. Enzymes pachan ke saath vitamin ke upyogita ko badha dete hai. 
  • Aloe vera vitamin B group ke vitamino ka bhandar hai. 
  • Lignins jo aloe vera me hai vo tvacha me andar tak utar jaate hai, nami yukt bana dete hai, jhurri khatam karte hai aur sada jawan bana dete hai. 
  • Saundarya ke drishtikon se dekhe to aloe vera me jo polysaccharide aur monosaccharides hai voh bahut upyogi hai. Khaane se to pet aur aant ko fayda hoga magar tvacha ko namiyukt banaye rakhna hai to aloevera ke yeh tatva bahut achcha kaam karte hai. Acemannan immune system ko majboot bana deta haiaur saath me cells me se vish bhi bahar nikal deta hai. Yeh AIDS aur Feline leukemia ke treatment me upyogi hai. 
  • Aloe vera me hai mishran lecithin ka, monosulfonic acid, giberlin aur prostaglandin jo sharir ko swasth aur jawan banaye rakhte hai aur is ka asar tvacha par hota hai jo damakta hai. 
  • Aloe vera me hai saponins jo tvacha par laga ne se tvacha ko saaf kar dete hai aur infection se ladte hai. Phytosterol jaise campesterol, lupeol aur sitosterol soojhan kam karte hai aur wrinkles ka nash kar deta hai. 

Khoobi yeh hai ki aap bina jyada mehnat ke ghar ke pot me aloe verra uga sakte hai aur is ka fresh juice ka hamesha upyog karna uchit hota hai. Jaaniye aloe vera beauty benefits in Hindi aur har roj istemal kare. 

एलोवेरा का चेहरे पर उपयोग - Aloe vera Beauty Benefits in Hindi

  • Aloe vera fresh hamesha har roj savere sevan kare. Saath me apne tvacha par laga ke rakhe 10-20 minute tak aur baad mein snaan kare. Sirf chehra hee nahin, hathon par, kamar aur pet par aur pairo par bhi lagaye. Aisa karne se tvacha komal rahegi, rang nikhar jaata hai aur skin infection ho to khatam ho jaata hai. 
  • Chehre par har roj aloe vera istemal kare to jhurriya nahin padti hai. Agar ho jaaye to multani mitti,ande ka safed bhag aur ghrut kumari ka gel ko mila ke chehre par lagaye to jhurriya mit jaati hai. 
  • Agar dhoop me ghumna padta hai to tvacha ka rang sudharne ke liye baad me aloe vera aur haldi ka mishran laga ke ghise. 
  • Ankhon ke neeche kaale daag ho jaaye to nariyal tel, aloe vera aur nimbu ka ras ka mishran ka upyog kare. 
  • Winter me tvacha ko moisturize karne ke liye aloe vera me 2-3 boond nariyal tel daal ke raat ko tvacha par laga ke rakhe. 
  • Tvacha ko scrub karna hai aur komal banana hai to aloe vera, nariyal tel aur namak ya chini powder se scrub banaye. Chahe to aloe vera, dahi, haldi aur besan ka mishran ka upyog kare aur chehra hee nahin, poore badan ko scrub kare. 
  • Chehre par keel ho jaaye, daag ho jaye aur acne se pareshan ho to aloe vera lagaye. Akele aloe vera ke patte ko le aur gel nikal ke baad me patte ke neeche ka bhag ko chehre par ghise. Aloe vera ke gel mein neem ka paste aur haldi mila ke lagaye to keel mit jayenge aur dag mit jayenge. 
  • Body scrub ke liye aloe vera shresht hai. Is me besan, chaval, oatmeal aur jaitun ka tel mila ke upyog kiya jaata hai. Tvacha saaf hone ke saath moisturize bhi ho ke jawan jazar aata hai. 
  • Chehre par aur pet ke aas paas agar stretch marks ho jaaye to aloe vera me gulab jal daal ke maalish kare. Aloe vera me multani mitti, ande ka safed bhaag mila ke mask bana ke laga ke rakhe 30 minute tak. 
  • Makeup nikalna hai to aur kuch nahin, bas aloe vera ras kaafi hai. Make up nikane ke saath yeh tvacha ko poshan bhi deta hai aur moisturize bhi karta hai. 
  • Tvacha ka swasthya badhane me aloe vera me rahe amino acid bahut sahayak hote hai. Is se collagen badhta hai aur tvacha hara bhara dikhta hai. 
  • Ghav lage, jal jaaye tvacha to us par aloe vera ka gel laga de. Koi keede ne kaata hai to aloevera juice lagaye to aloevera juice for skin benefit milega. 
  • Aloevera gel fayda fate hue aedi ko bhi milte hai. Bas nariyal tel ke saath lagaye ya to aerandi tel ke saath. 
  • Kale honth gulabi karne ke liye aloevera ka upyog kare. Gulab jal ke saath ya to nariyal tel mein mila ke istemal kare. 

एलो वेरा केश के लिए

Tvacha ko jaise aloevera fayda deta hai aise hee baalo ke liye bhi aloe vera uttam hai. 

  • Baal dhone ke adhe ghante pehle aloe vera gel laga ke rakhe to baal silky soft honge. 
  • Aloe vera se poshan milta hai baalo ko jis se baal ugte hai, kaale hote hai aur naram bhi hote hai. 
  • Aloevera dandruff treatment me bhi uttam hai. Bas aise hee ya to nimbu ke ras ke saath lagaye. 
  • Kyonki aloe vera antifungal aur antibacterial hai to fungal infections me aloe vera ramban ilaj hai balo ke liye. 

Hamesha upyog karte rahe aap aloevera benefits skin aur health ke liye aur dekhe kitne kam daam me kitne jyada fayde milte hai.

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

5 Comments

प्रिंयका, Feb 20, 2018

एलओवेरा से फेस पर सौन्द्र्या का लाभ कैसे उठा सकते हैं इसके बेनीफीट्स के बारे में विस्तार से बताइए

वृंदा वाजपाई, Jan 22, 2018

एलोवेरा के फाएेदे किया हैं इससे कोई भी अपना सौन्दर्या किस तरह से बढ़ा सकता है इसके बारे में विस्तृत जानकारी दें|

पिंकी डॉली, Aug 31, 2017

एलओवेरा से अपने सोन्दर्ये को कैसे बढ़ा सकते हैं एलओवेरा के लाभ भी बताएँ इसकी पूरी जानकारी मुझे आपसे जाननी है कियोंकि मैं भी इससे लाभ उठना चाहती हूँ आप मेरी मदद ज़रूर करें जिससे मैं अपने चेहरे के सोन्दर्ये में निखार ला सकूँ|

सोनू , Aug 30, 2017

एलओवेरा के बहुत से फ़ाएदे हैं मैने यहाँ बताए गए सारे नुस्खे ट्राइ किए हैं और मुझे इस से बहुत फ़ाएदा हुआ है थैंक्स फॉर शेयरिंग ऑफ दिस आर्टिकल

पूजा, Aug 21, 2017

एलोवेरा के सौंदर्य लाभ व फायदे क्या क्या हैं मुझे इसकी जानकारी की ज़रूरत है मैं भी एलोवेरा से अपने चेहरे की तव्चा को सुंन्दर बनाना चाहती हूँ क्या आप मेरी मदद करेंगे