Aloevera ek aisa anmol khajana hai js mein se aap ko milenge 20 amino acids.
- Aloe vera mein hai 12 anthraquinone jo ek ya doosre tarike se antibacterial, antifungal, antiviral aur analgesic yaane dard nivarak hai.
- Aloe vera mein se milenge 8 enzymes alliase, phosphatase, amylase, catalase, carboxypeptidase, cellulase, lipase aur perodidase.
- Is mein hai gibberellin aur auxin hormones jo ghaav bharne mein sahayak hai.
- Saath mei hai lignin cellulose. 9 avashyak minerals yaane khanij padarth ka khajana hai aloe vera.
- Glycosides milenge aloevera mei aur sterols jo soojhan kam karne mein aur antiseptic gun vale hai.
- Polysaccharide, polymannose aur glucomannan antiviral aur anti-inflammatory hai.
- Vitamin C, E, B, Choline, B12, Folic acid aur A is mein hai.
- Ab itne saare gun sabhi ek hi jagah mein, ek hi padarth mein aap ko nahin milega aur kahin. Isiliye jagne ke turant bad aap ko aloevera peena chahiye.
- Aloe vera peene ke liye fresh patte ko le, beech mein se kaate aur beech ka transparent hisse ka istemal kare. Bahar ke green skin ke bilkul neeche ka ras ka upyog nahin karna chahiye kyonki is mein voh allantoin tatva hai jis se dast ho jaata hai aur pet mein dard bhi ho sakta hai.
- Anthraquinone, gibberelline aur glycosides sabhi mil ke pet ki koi bhi taklif ho us ka shaman karte hai. Karib 200 jitni pet aur aanto se sambandhit bimariyon mein savere uth ke aloe vera juice peene se fayda hota hai.
- Pet saf hone ke saath sabhi vish bhi bahar nikal jayenge.
- Bhook badhta hai.
- Sardard se chutkara milega.
- Folic acid aur vitamin B 12 se lal rakt koshika mein badhotri hoti hai.
- Enzymes, peptides aur glucosides se cholesterol niyantran mein rehta hai.
- Khoon badhne se aur pet saf hone se swasth badhta hai aur chehra damakne lagta hai.
- Severe uth ke aloe vera juice peene se aap ko milenge important amino acids jis se aap din bhar urja se bhare rahenge aur shrir ki vruddhi bhi hogi.
TAGS: #aloe vera in hindi how to use #patanjali aloe vera juice how to use in hindi #aloe vera juice benefits for weight loss in hindi #aloe vera juice benefits and side effects in hindi #how to make aloe vera juice at home in hindi #aloe vera medicinal uses in hindi
Sara, Sep 02, 2017
I know aloe vera juice is a very usefull special for body but today i came to know that it also helps us to loss our weight it is amazing.