Benefits of Ajwain (Carom Seeds)in hindi: Ajwain ko angrezi me carom seeds ke naam se pehchana jaata hai. Ajwain teekhi aur thodee kadvi hoti hai aur ugra smell ki hoti hai. Ajwain me paaya jaata hai thymol, a-pinene, terpinene aur thymol. Rasoi mein ajwain ka khul ke upyog kiya jaata hai kyonki yeh ek khaas swad deta hai aur saath me pachan me bhi madadroop hai. Ajwain ke kai alag upyog hai aur fayde anek. Aage padhte rahiye aur jaaniye ajwain ke fayde hindi me or Ajwain Benefit in Hindi.
अजवाइन के फायदे - Ajwain ke Fayde in Hindi
- Bachchon ke pet ke keere marta hai.
- Gathiya mein jodo ka dard theek kerta hai.
- Ajwain khane se bachchon mein mitti khane ki adat chutai ja saktee hai.
- Ajwain kabz ko door kerta hai.
- Acidity door kerta hai.
- Gurde ki pathri ka ilaj karne mein upyogee hai.
- Asthma ka ilaj kerne mein upyogee hai.
- Loosemotion theek kerta hai.
- Pet ka dard teek kerta hai.
- Ajwain dant ka dard theek kerne mein aserkarek hai.
- Sardi jukam ko theek kerne ka sabse acha prakertik tarika hai.
- Irregular periods or overbleeding mein ajwain ka pani peene pie.
- Ajwain pachan samasyaon mein bahut labh pahunchata hai.
Ajwain Ke Fayde or Benefits - अजवाइन के गुण
Yahan Carom seeds benefits in Hindi mein janie:
- Rasoi me hamesha ajwain ka upyog hota hai. Ajwain ke fayde in Hindi jaaniye ki sabji me ise milane se gas ka haran hota hai, kaf ka nash hota hai aur pet me dard nahin hoga. Pachan theek se ho jaata hai.
- Benefits of ajwain in Hindi kahe to yeh gas shaamak hai. Sabji me, khas kar ke alu ya gobhi ki sabji, me agar ajwain daale to in sabji se hone vale gas ka shaman ho jaata hai. Pet me gas ho, pet ful jaaye aur pet me dard ho to ajwain aur chutki hing ko chabake khaale to turant aaram. Ajwain, jeera, sonth aur kala namak sabhi mila ke sevan kare to aur asarkarak hota hai.
- Ajwain ka upyog arthritis yane gathiya (sandhiva) me bhi kiya jaata hai. Ajwain ka churna sarson ke tel me mila ke maalish kare ya ajwain ka tel ka malish kare to dard or soojhan kam ho jaata hai.
- Ajwain ke fayede diabetes se peedit logo ke liye bhi hai kyonki yeh blood sugar kam karne me madadroop hota hai. Bas, khali pet ajwain ka paani peeye aur fayda uthaye.
- Aajwaain ke prayog mahilao ke liye bhi faydakarak hota hai. Ajwain ka paani peeye ya to ajwain ka churna chini ke saath chabake khaye to dysmenorrhea yane mahavri me dard, shwet pradar, mahavri ke pehle ke chinha jaise ke pet me dard or bechaini aur mahavri dauran kamar dard or peeth dard me kaafi raahat deta hai.
- Ajwain khane ke fayde in Hindi bataye to anek hai. Is se cholesterol level kam ho jaata hai, atherosclerosis aur slow heart se suraksha milti hai aur dil majboot ho jaata hai.
- Ajwain ke fayde in Hindi fefde aur shwas nali ke liye bhi hai. Jinhe hamesha kaf rehta hai aur jo asthma se peedit hai ya to balgam jyaada hai to ajwain, pyaj aur hara mirch ka sevan kare to shwasan kriya behad sudhar jaati hai. Doosra prayog hai ajwain churna, shringa bhasma, praval pishti aur sitopladi churna ko mila ke din me 2 baar khaaye.
- Aajwayni ke labh muscles aur haddiyon ko bhi milta hai. Khaane ke baad mukhvas me ajwain, saunf, elaichi aur til khaaye to pachan to theek hoga hee aur saath me muscles spasm aur arthritis ki taklif ho unjhe bhi aaraam milega. Jinhe gout hai voh ajwain ko celery ke beej ke saath sevan kare to soojhan kam ho jaata hai.
- नींबू के फायदे और नुकसान Ajaminen ke fayde liver aur gurde ke liye khas hai. Saath me agar bhook nahin lagta hai, pachan kriya kamjor ho, poshak tatvo ka shoshan nahin hota hai aur pet me krumi ho to ajwain ka paani me heeng aur sendha namak mila ke peene se sab theek ho jaata hai.
- Aajwain ka fayada Hindi ma agar tvacha par fode ho jaye (hives) jise urticaria kehte hai to ajwain, gud, haldi aur kala mirch ka mishran din me 3 baar khaaye. Khujli mit jaati hai.
- Ajwain ka tel sarson ke tel me mila ke jinhe lakva ka asar ho gaya hai unke ango par maalish kare to khoon ka badhav aur nerve function improve ho jaata hai.
- Ajwain ka upyog pitta ki pathri aur gurde ki pathri ko mitane me bhi kiya jaata hai.
- Agar viral infection ho gaya hai to antibiotics ke bajaay ajwain ka paani peeye to jaldi recovery hoga. Ajwain churna dahi ke saath bhi liya jaa sakta hai.
- Chehre par daag dhabbe aur keel ho jaye to ajwain ke upyog kare. Ajwain aur dahi ka paste chehre par laga ke rakhe.
- Ajwain ke beej ko kuchal ke potli banaye aur bed ke aaspaas bandh ke rakhe to machchar door rehte hai. Sardi me naak bandh ho jaaye to bhi isi tarha ki potli banake soonghe to naak saaf ho jayega.
- Purush me kamichcha kam ho jaaye aur ling kamjor ho jaaye to imli ke beej ko bhigoke paste banaye aur ajwain churna aur ghee mila ke doodh ke saathkhaaye. Purush sambandhit samayaon ko theek kerne ke lie bhi ajwain ke labh in hindi zaroor estemaal kare.
- Aam ke patte ke fayde asthma ke mareez, diabetics, kidney bimari valo ke liye anek hai. Agar aam ke patte ka churna ajwain ke churna ke saath mila ke sevan kare to aur asarkarak hota hai.
- Baal safed hone lage to ajwain ka churna, kadhi patte ka paste, kismis aur chini ko saath me ubale aur yeh paani peete rahe.
- Behrapan aane lage to ajwain ka tel kaano me daale.
Ajwain Ke Nuksan in Hindi - अजवाइन के नुकसान
Ajwain side effects: Ajwain bahut teekha hai aur is me rahe thymol essential oil bahut powerful hai isiliye seemit maatra me sevan kare. Jaaniye ajwain ke nuksan in Hindi.
- Jyaada khane par mooh me chale pad jaate hai
- Pet me daah yane jalan hota hai
- Acidity ho sakta hai.
- Kapha aur vata kam ho jaate hai magar pitta badh jaata hai isiliye pitta prakruti vale ko ajwain nahin khaana chahiye.
- Garmiyon me ajwain se pet me jalan badh jaata hai.
- Kai logo ko ajwain jyada khane se ulti hota hai aur allergy aur sar dard hone lagta hai.
Jine pet me ulcer ho, bleeding ho aur mooh me chale ho voh ajwain na khaaye. Kabz me bhi ajwain varjit hai.
Ajwain for Weight Loss - अजवाइन का पानी फॉर वेट लॉस
Ajwain tej hai aur sharir ke metabolism ko badha deta hai aur vish ko bahar nikal deta hai. Aap ab jaaniye aajwain se weight kam kare hindi me.
- Ajwain ka pani for weight loss in Hindi me banaye is tarah. Raat bhar ajwain ko bhigo ke rakhe aur savere voh paani ko khali pet sevan kare aur ajwain chaba ke khaa le.
- Ajwain se weight kam karne ke liye ajwain ka churna, kali mirch churna, sendha namak aur jeera powder ko karele ke juice me daal ke savere drink kare.
- Pachan tantra majboot ho to vajan kam hone lagta hai. Saunf ajwain ka pani for weight loss banane ke liye ek chamach ajwain, ek chamach saunf, ek chamach jeera aur ek chamach sawa beej ko paani me ubale aur chan le. Yehi paani din bhar peete rahiye.
- Yehi ajwain pani peene ke faayde aur bhi hai. Sharir me se vish nikal jaata hai, cholesterol control me rehta hai, gas nahin hota hai aur bhook bhi achcha lagta hai.
Ajwain ko thodisi maatra me har roj khaane me shamil kare to bimariyo se aap rahenge mukt. Koi bhi pet ya shwas ya haddiyo ki taklif ho to bhi ajwain se is ka chikitsa kare. Yeh ek amulya aushadh hai jo ghar me hamesha hona chahiye.
ईन फायदो के बारे में भी ज़रूर पढ़े
TAGS:#benefits of ajwain #ajwain water for weight loss #methi ajwain kala jeera benefits/side effects #ajwain benefits in periods in hindi #what is ajwain in english #benefits of ajwain water #ajwain health benefits #ajwain seeds benefits #uses of ajwain #ajwain ke gun hindi me #ajwain benefits weight loss in hindi #ajwain benefits in pregnancy #ajwain benefits for skin/hair
sana, Feb 20, 2017
Infertility me ajwain K fayde bataye.