Health Benefits of Jaggery in Hindi: Gur or Gud or Jaggery ya gul ya bellam ya vellam…kuch bhi kaho, yeh meetha aur lubhavna cheez man ko aur dil ko bhaa jaata hai. Is mein poshak tatva bhi hai aur har roj khaane se swasth ke liye faydakarak hai. Adhunik dhang se banayi gayi gud me chemicals hote hai aur us ke poshak tatvo ko nikal diya jaata hai isiliye hamesha desi gud ya organic gud ka hee sevan karna chahiye gud ke swasth fayde paane ke liye. Gud gehra peela ya halka brown color ka pasand kare, bilkul safed jaisa peela gud refined hota hai aur haanikarak hota hai.
गुड़ खाने के फायदे - Gur Benefits in Hindi
- Iron ki kami door kare
- Digestion ko theek kare.
- Periods ke dard ko theek kare.
- Haddiyon ko majboot ker jodo ke dard ko theek kare.
- Twacha ko swasthya aur akershek banata hai.
- Khansi jukam ko theek kare.
- Asthma mein faydemand hai.
- Energy badhae.
- Immunity badhae.
Jaggery ya Gud ke Tatva
Unrefined jaggery mein 50% sucrose hota hai aur nimn maatra mein manganese, magnesium, protein, iron, sodium, selenium, zinc, Vitamin B, phosphorus aur copper hota hai. Potassium ki maatra adhik hai jis se yeh dil ke liye faydemand hai. Jaaniye gud khane ke fayde aur apnaye ise apne rojinde aahar mein. Chini ko hata de jeevan mein se. eslie ager yeh Kaha jae is jaggery good for health??? to eska utter hai haan jaggery bhi humare shareer ko swasthya rakhne mein madd kertee hai.
Gud ke Swasthya Fayde - Jaggery Health Benefits in Hindi
- Bhojan ke baad gud ka chota tukda saunf ke saath khaye. Gud pachan tantra ko sudhar deta hai aur kabz ki shikayat nahin rehti hai.
- Gud mein iron hota hai. Gud anemia mein faydakarak hai. Thodasa bhi khaye to iron milta hai jo aasani se sharir mein absorb ho jaata hai.
- Gud ke benefits aur bhi hai. Kaha jaata hai ki regular jaggery khaane se liver ka swasth barkarar rehta hai aur gud liver mein se gandki bahar nikal deta hai.
- Jaggery benefits immunity boost karne mein bhi hai. Is me rahe selenium aur zinc anti-aging hai aur rogo se surakshit rakhenge aap ko.
- Gud ke benefits hindi me aage bataye to is ke khaane se aap ko takat milti hai aur pure din aap josh se kaam kar sakte hai. Gud aur copra ya gud aur til savere khaane se behad fayda hota hai.
- Gud ke fayde mahilao ko bhi hai. Mahavri me hone wali pareshani se chutkara paane ke liye mahavri dauran gud ka sevan kare. Mahilae agar niyamit gud aur chana khaye to unhe iron aur folic acid achchi tarah se milta hai.
- Jaggery benefits in Hindi aap ko milte hai shardi aur jukham mein. Gud ka paani garam kar ke adrak aur nimbu ke ras ke saath sevan karne se energy rehta hai aur jaldi se recovery hota hai.
- Jaggery ke fayde aant ko bhi milta hai. Magnesium ke karan aant saaf aur swasth rehte hai.
- Garmiyo me gur benefit deta hai kyonki yeh sheetalmaana jaata hai aur is ka saunf ke saath sharbat bana ke avashya piye.
- Gud ke fayde hindi me aap ke dil ko bhi milta hai. Gud me jyaada potassium hota hai jo blood circulation aur heart ke liye behad faydakarak hai. Blood pressure niyantran me rehta hai.
- Yehi potassium ke karan jaggery ke fayde aap ko weight loss mein bhi milta hai. Potassium se muscles takatvar bante hai aur metabolism boost hota hai.
- Gud niyamit khane se swasan kriya tej rehti hai aur asthma aur bronchitis me fayda hota hai. Til ke saath khaaya jaata hai aise haalaat mein.
- Doodh me chini ke badle gud daal ke peene se haddi majboot hoti hai aur ghutno ka dard nahin rehta hai.
- Gud me rahe tatva jaise selenium, copper aur zinc aap ke nervous system ko bhi surakshit rakhenge, yeh gud ka fayda hai dimag aur gyantantu ke liye.
- Gud ka fayda kidneys ke liye bhi hai. Gud mutral hai aur peshab achchi tarah se pas hota hai. Prostate aur kidney problems me gud avashya khaane nimn maatra mein.
- Hichki aati hai to gud ke labh uthaye. Sonth ke saath mila ke khaaye aur garam paani peeye.
- Gud ke fayde thandi ke mausam mein hai ki yeh garmi deta hai aur urja pradaan karta hai. Gud, ghee aur bajre ki roti khaye.
- Purush agar gud khaye to gud ke fayde purusho ke liye yeh hai ki virya ki maatra badhti hai aur takat badhti hai.
Benefits of Palm Jaggery in Hindi - हथेली गुड़
Palm jaggery health benefits in hindi: Palm jaggery indian jaggery se alag hotee hai yeh gare (darkcolor) mein hotee hai yeh dark unrefined sugar hai jo crudhed sugercane ko dehydrate kerke banaee jatee hai. Ab jane health benefits of palm jaggery in hindi me:
- Esmein sabse zyada matra mein minerals hote hai jo humaree healthy body ke lie bahut zaroori hote hai.
- Palm jaggery mein prachur matra mein iron hota hai jo humare shreer mien hemoglobin ki matra ko bara ker anemia ko theek kare.
- Yeh humare digestive system ko theek kerta hai.
- Palm jaggery humare shareer ki energy ko boost kerta hai.
- Palm jaggery humare shareere se unwanted toxins ko nikal ker shareer ko healthy banata hai.
- Palm jaggery kabz se chukara dilata hai.
- MIgraine mein aram dilata hai.
- Yeh common ailments ko theek kerne mein madaroop hota hai jaise dry cough, cold, asthma.
Jaggery Benefits for Hair and Jaggery Benefits Skin in hindi - गुड़ त्वचा के लिए और केश के लिए
- Gud ke fayde tvacha ke liye bhi hai. Khaane se tvacha ko poshan milta hai. Gud ko pighla ke nimbu ke ras ke saath mila ke lep kare to facial scrub behtreen hota hai.
- Gud pimples aur acne treatment mein bhi faydakarak hai. Jhurriya aur daag dhabe mitane ke liye gud khaaye aur gud ka lep lagaye chehre par.
- Benefits of jaggery for hair in hindi mein apko batana batana chahenge ki gud ke fayde baalo ke liye bhi hai. Multani mitti, gud aur dahi ka lep baalo me lagaye to ghane, kaale aur mulayam rehta hai aap ke kesh.
Gud ke upyog anya hai. Yeh sirf khadya padarth hee nahin hai. Purane jamane me chuna aur reti ya mitti ke saath mila ke makaan banane me upyog kiya jaata tha. Gud pooja mein bhi upyog hota hai aur prasad ke roop mein banta jaata hai. Gud aur tambaku ka mishran ko chikni ke roop me bana ke log apne daanto par ghiste rehte hai. Gud pashu ko khilaye to doodh badhta hai.
Gud ke fayde anek hai. Magar yeh bhi dhyan me rakhe ki jyaada praman sucrose ka hai to jyaada khayenge to gud ke nuksan honge jaise ki weight increase hoga aur diabetes hone ki sambhavana badh jaati hai. Kyonki sabhi gud banane vale safai se nahin banate hai to pet me krumi bhi ho sakta hai. Gud ko mooli aur machli ke saath na khaye. Yeh viparit aahar nuksan karta hai. Niyamit khaana hai to 50 gram se adhik na khaaye.
Chocolate kyon khaaye? Swadisht desi gud se mooh meetha kare bhojan ke baad.
TAGS:#gud ke fayde in hindi jaggery benefits #Jaggery Health Benefits in Hindi #benefits jaggery or gur in hindi #health and beauty benefits of Jaggery #गुड़ के फायदे #gud ke fayde in hindi jaggery benefits #jaggery benefits for weight loss in hindi
रीमा सेन, Aug 28, 2017
गुड का टेस्ट मीठा होता है लेकिन इसके फ़ाएदे बहुत हैं लेकिन क्या इसका सेवन डायबटीज़ वाले लोग कर सकते हैं कियुंकी इससे तो उनका डायबटीज़ लेवल तो बहुत हाइ हो जाता होगा प्लीज़ शेयर मी विध आन्सर