35 के बाद मां बनने वाली महिलाओं के लिए आई एक बड़ी गुड न्यूज

35

Aaj ke zamane me ladkiya bhi advanced padhai karti hai aur shaadi ke baad set hone me samay lagta hai jis se voh bachcha paida karne ka nirnay taal deti hai. Magar 35 ke umar ke baad pregnant hona mushkil hota hai aur baby defects ki sambhavna bhi badh jaati hai. Ab good news yeh hai ki 35 ke baad bhi garbhvati hona aasaan hai. 

  • Health supplements ka sahara le to mile iron, folate, vitamins aur minerals poorte praman me jis se fertility badh jaata hai aur garbh dharan karne ke chances improve hote hai. 
  • Aahaar me hari patti vali sabji, rajma, matar, daal, santre, nimbu aur anya fal jyaada khaaye.
  • Swasth rehne ke liye har roj savere vyayaam avashya kare
  • Tanav kam karne ke liye pranayam aur yoga bhi savere uth ke niyamit roop se kare. 
  • Jean Twenge ne ek kitab likha hai jis me us ne saaf sabit kar diya hai ki 35 ke baad bhi garbh dharan ho sakta hai bina mushkil ke. Saaf jahir hua hai ki swasth aur aahaar ka mukhya bhaag hai garbh dharan karne me. Tanav ko bhi kam kare to safalta milega. 
  • Saath me shatavri, ashwagandha, lodhra, ashoka chaal churna jaise ayurvedic churna ka bhi sevan kare. 
  • Prakrutik prayatna ke baad bhi garbh na thehre to IVF paddhiti jaroor apnaye. 
  • Late pregnancy se umar badhti hai…to jaroor koshish kare aur maata bane!....आगे पढ़े>>
Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

3 Comments

Joyti , Mar 20, 2018

Main 35 saal ki ho chuki hun or main pregnant hona chahti hun kaafi koshish karne ke baad bhi pregnant Nahin ho pa rahi hun iske chalte mere pati mujhse nirash hain kirpya Mera marg darshan karen.

Laksha, Mar 04, 2017

mei 35 ko hone wali hu aur pregenacy ke liye kaise karu

 

renu, Jul 17, 2017

husband ke saath thodi duriya kam rakhe unke liye time nikale aur unko bhi kahe ki aapke liye time nikalethoda deeraj rake ho jaayega par jayda late mat kariyega isse aapke bacche par asar pad sakta hai saath mein aapke health par bhi

Garima, Feb 20, 2017

35 ke baad ma banna safe hai please bataye

 

mona, Jul 17, 2017

puri tarah se nhi kah sakte hai ki ye safe nhi hai lekin thoda risky hai kyunki isse jo bachhe hote hai wo jayda mature nhi hote thoda bahut problem hota hai maan ko bhi aur bachho ko bhi Baaki ki aap deshi gharelu nuskhe mein aap jaan sakte ho