33 ka ankda juari ke liye koi mahatva rakhta hoga magar pregnant mahilao ke liye to mahatva kuch aur hi hai. Taitis hafte yaane ki karib 8 mahine garbhvati hone ke aap ne poora kar diya. Is samay bahut dekhbhaal aur savdhani rakhni chahiye kyonki khatra hai premature birth ka aur doosre risks bhi.
- Pet kaafi aage ubhar aata hai. Accident se bache kyonki yeh nazuk samay hai aur thokar se ya girne se risk bahut hai mata ko aur bachche ko. Seedhi par khaas dhyan rakhe aur sahare ke saath hi chadhe ya utre.
- Bachcha pet mein karib 15 se 17 inch ka ho jaata hai aur us ka vajan bhi badhta hai jo maata ko ek bojh ban jaata hai. Bachcha pet mein laat bhi marta rehta hai.
- Agar pet bhar ke bhojan kare to pet mein dard ho sakta hai. Thoda thoda khaaye aur thode antar par. Paani ki jyaada jaroorat hai isiliye khoob paani peete rahe ya nariyal paani piye.
- Mahila ko sone mein, baithne me, khade rehne mein, chalne mein dikkat hoti rehti hai.
- Baaye taraf mud ke soye aur ghutno ke beech takiya rakhe.
- Saans lena mushkil ho jaata hai.
- Peshab bhi jyaada aata hai.
- Contractions aane ki shuruaat ho jaati hai.
- Kai mahilao mein paani chootne lagta hai. Doctor ka turant sampark kare. Aise to sex kar sakte hai magar paani (amniotic fluid) choote to yeh kaam bandh kar de.
- Thakan mehsoos hota hai. Aaram karte rahiye.
- Kegel exercise shuru kar de taaki bachche ko bahar push karne mein aap saksham ho jaaye.
- Perineum (yoni aur guda ke beech ka bhaag) par massage karte rahe.....और पढ़े>>