खूबसूरत दिखने के 12 आसान तरीके

खूबसूरत

खूबसूरत दिखने के आसान घरेलू नुस्खे/तरीके (beauty tips in hindi) : Khubsurat chehra ho to social circles me koi bhi popular hota hai ya hoti hai. Sundar hona jaroori nahin hai. Chehre ki tvacha agar koi blemish bina ho aur glowing ho to voh khud khubsurat bana deti hai vyakti ko. Kyonki chehra hamesha khulla rehta hai aur kyonki chehre ke tvacha me tel ka utpadan hota hai aur gard jama ho jaata hai to jaate din nuksan hota hai. Chehre ko khubsurat rakhna hai to dekhbhal kare koi samasya khadi ho us ke pehle aur chehre ke tvacha ko hamesha swasth, saf, chamkile aur bedaag rakhe. Yahan par bataye khubsurat dikhne ke 12 aasaan gharelu nuskhe,  khoobsurat dikhne ke tarike in hindi me jo bataye gae gai se har prakar ke tvacha sambandhit dosh aur dekhbhal karna aasaan ho jaata hai. Cosmetics aur creams ki jaroorat nahin hai. Yeh sabhi gharelu samagri par adharit hai jo prakritik hone ke karan koi nuksan nahin karenge. 

Chehre ki Tvacha ki Safai

Alcohol based cleansers se skin dry hota hai. Yahan par bataye chehre ki tvacha ki safai gharelu samagri aur paddhati se nuksan to nahin hoga magar fayda hee fayda hai. 

  • Steaming kare har roj ya har dusre din raat ko sone ke pehle. Steaming karte jaye aur rui se tvacha ko pochte rahe to dirt nikal jayega. 
  • Facial scrub banaye namak aur nariyal tel, chini aur tel ko mila ke. Anya scrubs me masur dal, haldi, dahi ka mishran istemal kare. Dead skin cells nikal jayenge aur chehra saf suthra aur glowing banega. 

Nourishing Mask

Tvacha sharir ka sabse bada granthi hai aur ise poshan ki jaroorat hai. 

  • Andar se poshan dene ke liye fal, sabji, protein yukt aahar aur fats ka purte praman me sevan kare. 
  • Paani bhi khub piye taaki cells hydrate rahe aur silvate jaldi se na pade. 
  • Coffee aur chai kam piye kyonki yeh dehydrating hote hai. 
  • Chehre ke tvacha ko upar se poshan dene ke liye hafte me 2-3 baar facial nourishing mask ka upyog kare. Anda, dahi, doodh, badam, chironjee, avocado,  aur aloe vera yeh samagri hai jo tvacha ko poshan dete hai aur sundar bana dete hai. 

Jhurriya Door Kare aur Door Rakhe

Laparvahi se jhurriya akal hee aa jaate hai. Khas kar ke dry skin me yeh samasya jaldi pragat hoti hai. Jhurriyo ke liye gharelu upchar is prakar kare: 

  • Raat ko aerandi tel aur nariyal tel chehre par mal de to tvacha moisturize hoga aur silvate nahin padenge. 
  • Paani khoob peete rahe. 
  • Oily skin ho to multani mitti, ande ka safed bhag aur aloe vera gel ka paste chehre par lagaye. 
  • Masur dal ka paste dahi ke sath upyog kiya jaa sakta hai. 
  • Avocado paste se bhi fayda hota hai. 

Daag Dhabbe Hataye

Daag dhabbe khusurti kam kar dete hai. Yeh gharelu daag dhabbe hatane ke upay apnaye aur paye clear skin: 

  • Samay ka abhav hai to alu ka tukda, ananas ka tukda, papita ka tukda aur nimbu ko apne dag dhabbe vale bhag par ghise har roj. 
  • Bleach me hydrogen peroxide ke thode boond baking soda me mila ke lagaye dag par. 
  • Strawberry lagaye to dag mit jayenge. 
  • Haldi aur doodh bhi tvacha se dag dhabbe mita dete hai. 

Chehra Chamkaye

Bejan tvacha poshan ke abhav se aur chehre par gard aur mrut koshika hone ke karan hoti hai. Chehra damkaye gharelu nuskhe dwara: 

  • Nariyal tel, nimbu ka ras, shahad aur doodh mila ke chehre par ghise.
  • Exfoliating scrub me chini aur tel ya namak aur tel se tvacha ghise
  • Masoor dal ka paste banaye aur doodh mila ke lep kar ke rakhe. Sukhne par ghis ke nikale. 
  • Fruits jo bhi khaye, thodasa apne chehre par avashya lagaye. 
  • Rukhi tvacha vale apne chehre par avocado, badam aur chironjee  ka paste malai ke sath lagaye. Ghar se bahar jaye us ke pehle chehre nariyal tel lagaye. Pehle hatheli me 2-5 boond le, hatheliyo ko ghis de aur fir hatheliyo ko chehre par ghise. 

Jawan aur Hara Bhara Banaye Tvacha ko

Chehre ki tvacha agar hara bhara ho to silvate kam hongi aur aap jawan dikhenge. Jawan dikhne ke liye gharelu nuskhe is prakar kare: 

  • Sab se saada gharelu nuskha hai malai, haldi aur chandan powder ka lep. Yeh har roj raat ko lagaye aur dekhi lambi umar tak kaise chehra jawan rehta hai. Poori rat nahin rakhna hai to adhe ghante ke bad dhoye aur fir aloe vera juice ko halke hatho se chehre par mal de. 
  • Aur kuch nahin to sirf kachcha doodh se chehre ko ghisne se nikhar amar rehta hai.
  • Sirf aloe vera lagaye to bhi kaafi fayda hoga. 
  • Gulab pankhudi paste aur chironjee paste lagaye aur chehre ko hara bhara rakhe. 
  • Tvacha ko thandi hawa aur dhoop se bacha ke rakhe jawan dikhne ke liye. 

Dark Circles

Vitamin B kam hone se, dehydration se aur umar se aankhon ke neeche dark circles aa jaate hai. Neend na ho to bhi aisa hota hai. 

  • Dark circles mitane ke liye ankho ke neeche badam ka tel raat ko laga ke so jaye. 
  • Dark circles par baking soda ghise savere, thodasa pani mila ke. 
  • Nimbu ka chilka ghisne se dark circles mit jayenge. 
  • Santre ke chilke se dark circle se multi milti hai. 
  • Aahar me Vitamin B jyada ho aise padarth khaye aur paani khoob piye. 

Sunscreen

Dhoop me jaye to suncreen ka upyog uchit hai magar commercial sunscreen ka upyog na kare. Gharelu sunscreen me kakdi ka juice me gulab jal aur thodasa glycerin milaye. Yeh rui se chehre par lagaye. 

Dhoop se Bache

Research me yeh dikha hai ki tvacha ko sab se jyada surya kiran se hota hai. Jab bhi bahar jaye to gloves pehne, chehre par kapda dhak de aur googles pehne. Gharelu sunscreen lagaye. Aur kuch nahin to thodasa nariyal tel laga le chehre par. 

Toning Kare

Tvacha mulayam aur lachila banane ke liye toning karna avashyak hai. Toning ke liye yeh gharelu toning samagri ka upyog kare jis se tvacha soft, supple aur sundar ho jaayega. 

  • Doodh lagaye raat ko tvacha par.  Is me kesar milaye to bahut khoob. 
  • Doodh ka malai lagaye. 
  • Ghee aur makhan bhi shresht hai tvacha ke liye. 
  • Badam aur chironjee ka paste. 
  • Coffee aur chocolate bhi toners ke liye istemal kar sakte hai adbhut toning ke liye. 

Eye Beauty

Ankhon ke upar ka bhag aur neeche ka bhag ke tvacha ke khubsurti ke liye eye pack lagaye. Ankhon ke liye eye pack is tarah banaye: 

  • Masur dal ka aata le aur nimbu ka ras aur tamatar ki guda ka paste sabhi milaye aur chutki haldi milaye. Yeh ankhon ke sabhi baaju lagaye. 
  • Aloe vera, avocado ka mishran bhi shresht hai ankho ke liye eye pack banane ke liye. 
  • Kakdi ka juice se tvacha hee nahin, ankh bhi tej aur chamkile banenge. 

Oily Skin

Oily skin jaldi se dirty ho jaata hai aur jyada chamak ke karan looks bigad deta hai. Oily skin gharelu nuskhe is prakar kare: 

  • Multani mitti, chandan powder aur aloevera ka juice ka mishran chehre par lagaye aur 10 minute bad ghis ke dho de. Tel sabhi nikal jayega. 
  • Baking soda paste se chehra ghise. 
  • Kakdi ka juice aur tea se chehra ghise. 
  • Alu se chehra ghise.

Yeh hai voh jaroori 12 tips jo aap avashya dhyan me rakhe aur practice kare jis se chehra hardam jawan rahega.

TAGS: #सुंदर दिखने के तरीके #सुंदर बनने के उपाय #खूबसूरत दिखने के तरीके #चेहरे की सुन्दरता के लिए कुछ घरेलू नुस्खे #खूबसूरती के उपाय #beauty tips in hindi for face #beauty tips hindi #face beauty tips in hindi #beauty tips for face in hindi #home beauty tips in hindi

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

9 Comments

Monika Bedi, Nov 10, 2017

Aap agar khubsurat dikhna chahte hain to sabse pehle aapko apna khaan paan sahi karna padega and then aapko apne lifestyle mai bhi changes laane padenge jisse ki aap khubsurat dikh saken.

Pooja Jain , Nov 07, 2017

Aapne jo tips batayen hai ki kaise aap khubsurat dikh sakte hain wo bahut hi achche tarike se likha hua hai yeh bahut hi sahi tarike se describe kiya

सुनीता, Oct 27, 2017

चहेरे को खूबसूरत दिखने के लिए वो सभी उपाय और नुस्खे दें जिनसे कि हमे अपने चेहरे को खूबसूरत बनाया जा सके? प्लीज़ शेयर मी

सुनीता सूरी , Aug 28, 2017

आपने जो खूबसूरत दिखने के लिए 12 तरीके बताए हैं वो अच्छे हैं लेकिन किया लड़कों पर भी ये स्टेप्स एप्लीकेबल हैं अगर नहीं तो लड़कों के लिए भी डालें

सुहेल, Aug 26, 2017

आपने जो ब्यूटी टिप्स बताए हैं वो तो बहुत ही अच्छे से लिखा हुआ है इसके अलावा आपने इनको व्यापक रूप से बहुत अच्छे से लिखा हुआ है गुड जॉब

सरोज सैनी, Aug 23, 2017

मैं 21 साल की हूँ मेरे चेहरे पर बहुत सारे काले धबे हैं जिसकी वजह से मुझे मुह्न को कवर करके चलना पड़ता है प्लीज़ इन धबोन को दूर करने का कोई उपाय बताइए

कुलवंत कौर, Aug 17, 2017

खूबसूरत दिखने के कौन कौन से उपाए हैं घरेलू या देसी उपाए हों तो मुझ से शेयर ज़रूर करें

पूर्णिमा, Aug 14, 2017

मेरी आँखो के नीचे डार्क सर्कल हैं और आँख के पास थोड़ा डार्क सा दाग भी है किया इसको दूर करने का कोई घरेलू उपाय आप बता सकते हैं या देसी इलाज हो प्लीज़ शेयर मी

अनिता , Aug 05, 2017

हेलो मैंने कई तरीके अपनाए हैं पर मुझे इससे उतना जाएदा फ़र्क नहीं पड़ा मैने कई लोगों से पूछा तो कह रहे हैं ये नहीं छूटेगा मैं ये जानना चाहती हूँ की दाग होने का कारण किया हैं आप ने जो खूबसूरत दिखने के जो 12 नुस्खे बताए हैं वो अच्छे हैं आप प्लीज़ इसके होने का कारण भी बता दीजिए कियुंकी मैं मेकअप भी नहीं करती फिर भी दाग हैं