Cow Ghee Benefits in hindi : Gaay sachmuch poojniya hai. Agar is ka doodh amrit samaan hai aur gaumutra aushadh hai to gaayka ghee kuch kam nahin hai. Bas, pure cow ghee milna chahiye to us ke khaane ke saath aap us ke adbhut upay bhee kar sakte hai.
- Bachcho ko sirf gaay ka ghee khilaye, dairy ka ghee nahin aur dekhe kaise un ka dimag aur aankh dono tez ho jaate hai.
- Khud raat ko gaay ke ghee ke do boond apne naak me daale to kharab sapne aane bandh ho jaayenge.
- Khurrate lete ho to naak me gay ka ghee daal ke so jaaye to khurrate ho jayenge shaant aur neend bhi achchi aayegi, itni achchi ki doosre din savere hee aap ki aankh khulegi.
- Jin ko aant ke problems hai un ko shuddh gaay ke ghee se milega vitamin D, A aur E khoob achchi tarah se. Vitamin E cancer se bachayega.
- Lactose aur casein intolerant vyakti ke liye gaay ka ghee uttam hai.
- Shuddh gaay ke ghee me hota hai conjugated linoleinic acid jis se cholesterol kam hota hai aur blood pressure down hota hai. Saath me hai butyric acid jis se aant ka swasth behtreen rehta hai aur sharir detoxify hota hai. Yeh diabetics ke liye shresht hai aur tel ke avadhi me upyog kiya jaaye to faydakarak hai. Butyrates se sharir mein soojhan bhi kam hota hai aur alzheimer aur arthritis se bacha ke rakhega.
- Shuddh cow ghee se sharir me aam yane acidity kam ho jaata hai.
Shuddha gaay ka ghee mehnga jaroor hai magar itne fayde deta hai aur nuksan se rokta hai ki doctor’s fees se sasta padta hai. Khaane me tasty hai vo to kuch aur baat hai.
TAGS:#cow ghee benefits for eyes #cow ghee for hair #benefits of cow ghee in nose #organic cow ghee #ghee cow #what is cow ghee #cow ghee for hair regrowth/skin #benefits of putting cow ghee in nose #cow ghee and ghee cholesterol #ghee cholesterol #pure cow ghee benefits #ghee for weight loss #benefits of eating ghee
विक्रम , Jul 16, 2017
गाए का घी अम्र्रित सामान है गाए के घी की दो बूंदे रात को नाक में डालने से बुरे बुरे सपने और खराटे नहीं आएँगे नीड भी अच्छी आएगी गाए के घी को बच्चों को खिलाएँगे तो उनका दिमाग़ और आँखें भी तेज होंगी इससे ब्लड प्रेशर और केलस्ट्रॉल भी कम होता है एसिडिटी भी कम होती है डायबिटक मरीज के लिए भी फएदेमंद है